लम्बाई बढ़ाने के 5 बेस्ट योगासन - Yoga for Increasing Height in Hindi

लम्बाई

Best 5 Yoga for increasing height in hindi (लम्बाई बढाने के योग) Agar gorapan ka craze ek baaju chal raha hai to height ka craze doosri baaju hai. Jo lamba aur tagda hai voh personality vala gina jaata hai. Even ladki bhi agar tall ho to us ka impressive personality hota hai. Baat yeh hai ki height to genetics aur aahar par adharit hai. Growth 18 se 20 saal tak hota hai aur us ke bad lambai sthagit ho jaati hai. Aisi koi goli nahin hai ki jis ke khane se ped paudhe ki tarah height badhti jaaye. Magar ek rasta hai aur yeh hai height badhane ke liye yogasan jo sharir ke reed ki haddi, joints aur mas peshiya ko stretch kar ke aise impression jarroor denge ki aap ka height badh gaya hai.

हाइट बढ़ाने के लिए योगा - Height Badhane ke Yoga in Hindi

Height yoga tips in hindi : Yogasan karne ka samay hai aur tarika hai. Savere uth ke asan kare suryodar par tabhi is ke maximum fayde honge. Pet khali hona chahiye yogasan karte samay. Padhiye aage kaise yogasan dwara height badhaya jaye hindi me. Shuru me asan lambe samay tak karna kathin hai isiliye ek minute se shuru kare aur sharir jaise accustomed ho jaaye to samay badhaye. Yogasan karte samay jo asan kare tab saans dheere se ande le. Position hold kare tab dheeme se swas andar bahar kare. Fir original position me return ho jaye aur thodi der aise hee relax kare. Bad me pranayam kare 5 minute tak tab jaake fayda hoga. Ab jane lambai Badhane Ke Paancha Yoga abhyas.

Halasan (हलासन)

Halasan se sharir ke sabhi ang  achchi tarah stretch hote hai. Oonchai badhane ke liye halasan is prakar kare. 

  • Jamin par let jaye pairo ko seedha rakhe. 
  • Haath side me rakhe
  • Sharir ka neechla hissa upar uthate hue gol mod ke pairo ko sar ke aur laake jamin par tikane ki koshish kare. . Pehle ye sambhav na ho isiliye ho sake itna stretch kare aur position hold kare. 

Fir position reverse kare. Aise dheeme dheeme repeat kare. 
Side benefits me yeh abdominal muscles majboot karta hai, gas nikal deta hai aur balo ko jhadne se rokta hai. 

Tadasan (उर्ध्व ताड़ासन)

Teji se height badhana hai to height badhane ke yoga mein tadasan bahut asardar hai. Lambai badhane ke liye tadasan is prakar kare: 

  • Khade ho jaye pairo ko saath me rakhte hue.
  • Hath side me rakhe. 
  • Haatho ko upar uthaye aur sar ke upar rakhte hue hatheilyo ko jod de
  • Pair barabar jamin par hona chahiye. 
  • Hatho ko ho sake itna upar tak kheenche aur kandhe me bhi khinchav aaye aisa kare. 
  • Saas dheeme se andar le aur nikale. 
  • Pairo ki aedi ko jamin se upar uthaye aur panjo par vajan rakhe aur fir pairo ki ungliyo par. Kuch der position hold kare. 

Side benefit me reed ki haddi flexible rehti hai, kandhe aur chest muscles ki tarakki hoti hai aur lambai badhti hai.

Paschimottanasan (पाश्चिमोतानासन)

Yeh height badhane ka yoga thoda kathin hoga magar shuru kare paschimottanasan se height badhane ke prayas is tarah: 

  • Jamin par baith jaye
  • Pairo ko seedha rakhe jamin par lagaye hue
  • Aage jhuke aur hatho se aunguthe pakad le aur paio ko mudne na de
  • Kohni ko pairo se touch kare aur sar ko itna jhukane ki koshish kare ki ghutno ke sath touch ho. Position hold kare. 
  • Aage jhuke samay saans andar le. Position hold kare thode second tak aur saans bhi aur fir release kare. 
  • Yeh repeat kare. 
  • Bad me jamin par thode samay tak let jaye. 

Side benefit me reed ki haddi kheench kar lambi ho jati hai aur majboot bhi. 

Bhujangasan (भुजंगासन)

Bhujang yane saanp. Yeh asan snake ka pose mimic karta hai. Height increase bhujangasan is prakar kare: 

  • Pet ke bal jamin par let jaye.
  • Panje aur aedi mila de.
  • Kohni ko kamar ke aas paas rakhe. 
  • Kohni mode aur sharir ke aage ka bhag hawa me uthaye. 
  • Sharir ka neeche ke bhag jamin se laga hua hona chahiye
  • Sharir ko ho sake itna upar uthaye aur gardan ho sake itna peeche ki aur muda le. 
  • Gardan mode taaki thothi gardan aur chaati ki taraf andar jhuk jaye aur sir ko jamin par lagaye. 
  • Fir sir ko uthaye aur peeche ki taraf mode sharir ko upar uthate hue. 
  • Jab sharir muda ho aur sar upar ki aur ho tab saans ho hold kare. Saans ko nikalte hue sar ko vapas jamin ki aur le aaye. 

Side benefit me reed ki haddi majboot rehti hai. 

Sarvangasan (सर्वांगासन)

Lambai badhane ka yoga sarvangasan thoda saral hai aur har koi kar sakta hai. Height badhane ke liye sarvangasan es prakar kare: 

  • Jamin par bilkul seedha let jaye. 
  • Sharir ke neechle bhag ko, pair ko seedha sath me rakhte hue, hawa me uthaye. 
  • Saans andar le. 
  • Kohni se hath mod ke kamar ko support kare aur kanndhe se leke pairo tak ka bhag hawa me uthaye sirf hatho ke support rakhte hue. 
  • Ek minute tak is position hold kare aur sadharan swasan kriya kare. 
  • Return ho jaye aur fir repeat kare. 

Side benefit yeh hai ki yaddasht badhti hai, dimag tej ho jaata hai, thakan aur tanav kam ho jaata hai aur ankhe bhi tandurast ho jaate hai. 

In ke alava chakrasan, suryanamaskar, sukhasan, talasan aur bidalasan bhi yoga height badhane ke liye madadroop hote hai. En कद बढाने के आसन ka avashya upyog kare apki height jaldi ber jaegee....आगे पढ़े >>

TAGS: #height badhane ke yoga #Yoga to increase your height #Yoga for Height Increase #yoga for height #yoga for increasing height #height badhane ka yoga in hindi #height increase yoga #yoga for height in hindi #long height yoga #yoga for height growth in hindi #height growth yoga in hindi #long height yoga in hindi #yoga tips to increase height #how to increase height by yoga baba ramdev

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

21 Comments

Pankaj Yadav, Mar 11, 2018

Very nice Sir good one in future you may also do the same

Mohit Pawar, Jan 09, 2018

Very nice upaye

Gurpreet Kundra, Dec 19, 2017

Main 3-4 inch height badhna chahta hun so please kuchch tips bata do

Jatin Gupta , Nov 10, 2017

Meri height bahut choti hai meri agle mahine shaadi hai aur ladki mere brabar hai main chahta hun ki meri lambai thodi si aur ho jaaye please koi tips batayen jinse main 1 manth mai apni height badha sakun

 

Sohan kumar Paswan, Jan 28, 2018

Meri height 5 feet hai or main apni height ko 6 feet yoga se karna chahta hun kiya aap yoga karne ke upay bata sakte hain ki kaise height badha sakta hun uska koi asan sa yoga karne ka tarika batayen

Noori, Nov 07, 2017

Aapne jo lambai badhane ke tips batayen hain wo bahut hi kamal ke hain kiya aap ladkiyon ke liye bhi lambai badhane ke tips bata sakte hain.

Rita Malhotra , Nov 06, 2017

Mujhe apni height ko bdhani hai kiyunki main bahut choti hun aur main jisse love karti hun wo thoda lamba hai please aap koi tips bata sakte hain ki main apni height kaise bada sakti hun

Mamta Tyagi, Nov 02, 2017

Aapne jo lambai bdhane ke tips bataye hai bahut hi kamal ke hai aur aapne jo bhi yoga ke asan bataye hain bahut hi kamal ka hai.

Priya Mehta, Oct 28, 2017

Aapne jo yoga tips bataye hain wo bahut hi kamal ke hain lekin yeh saare yoga aasan bahut hi mushkil hain please aap koi easy wala yoga aasan bata sakte hain.

Manish Borde, Oct 27, 2017

Nice Information received from your article.

Kusum Gupta, Oct 26, 2017

Aapne jo article likhe hain wo badhiya hai lekin agar aap is yogasan ki images bhi lagate to jayeda attractive hota aur samajh mai bhi aata lekin aapne jo bhi yogasan batayea hai wo bahut hi achcha hai.

Jatin Pahuja, Oct 24, 2017

Aapne jo yogasasn bataye hain bahut hi kamal ka hai isse aapki lambai to badhegi hi saath hi saath aap fit bhi rahenge.

Suman Singla , Oct 18, 2017

Aapne jo lambai badhane ka jo yoga batye hain wo bahut hi kamal ke hain aur saath hi easily affordable bhi hain the article is very nice.

देवी दत्त, Oct 09, 2017

२०, साल के बाद 7inch लम्बाई कैसे बढाये.

Akash Tiwari, Oct 02, 2017

Jalde speed se height badane ke tarike Yosasan exersaaij kiya hai sabhi kuchch bataiye.

रोहन शर्मा , Aug 26, 2017

आपने जो हाइट बढ़ाने के लिए योगा आसन लिखे हैं वो बहुत कमाल के हैं मुझे इससे काफ़ी आराम मिला है साथ ही इससे फेस का टोन भी इन्करीज हुआ है

धनेश घिनोत्रा, Jul 26, 2017

हमे बदाना है कद अपना कैसे करें और कौनसा योगा विस्तार पूर्वक बताएँ

nayan, Jul 12, 2017

sir meri agg 19running hai lekin meri height bahout jyada kam hai kya meri help kr sakte ho sir please help me

फूल सिंग, Jul 07, 2017

योगा से हम कैसे अपनी हाइट बदाएं क्या यह मुमकिन है की कोई भी अपनी हाइट योग करने से बड़ा सकता है अगर यह मुमकिन है तो बताएँ कौन से योगा आसान से हम अपनी हाइट बड़ाएँ

Kuntal , May 18, 2017

Sir mere age 19 h kya mere lambaaai bd jaayega Plz sir help a tips

 

भारती, Oct 11, 2017

सर मेरी हाइट बहुत कम है मेरी उम्र 20 साल की है मैं किया करूँ कि जिससे मेरी हाइट बढ़ जाए किया योगा करने से भी मेरी हाइट बढ़ सकती है तो मुझे यह बताएँ की वो कौन्से योगा हैं जिनसे मेरी हाइट बढ़ जाएगी|

Gauravkutal, May 18, 2017

Sir koe aisa upaay jo 40din m height improve kra DE Help me sir plz suggest me

 

राहुल, Oct 28, 2017

योगा करके कैसे हाइट बढ़ाई जा सकती है मेरे को जानना है और वो सारे आसान भी बताएँ जिनको करने के बाद हाइट बढ़ जाती है प्लीज़ शेयर मी विध पिक्चर|

Rajeev kr. Singh, May 06, 2017

Sir hanko 5.8 ka hight badana hai mera age 17 saal aur mera hight 5.3 ka hai mujhe army me jana hai

 

sumaita, May 06, 2017

height badhane ke upay mein palak, brocli, shalgam, beans yeh sab sabjiyan khae aur latakne ki practice bhi karte rahe har roz soyabean vadi khana bhi lambae badhane mein maddgaar hai.