यह सुझाव अपने बेस्ट फ्रेंड तो क्या अपने दुश्मन को भी ना दे

यह

Sayanapan isi me hai ki logo ki takleef sune magar saamne jaake koi salah soochan na kare. Maange tab de voh alag baat hai.  Fir bhi kai aise salah soochan mashwara aise hai ki best friend to kya, dushman ko bhi nahin dena chahiye, kai aise mamle me. 

  • Personal baato me har ek ka situation alag hota hai jaise ki love life. Love life me kabhi salah mashwara na kare. Pooche to bhi keh dena ki yeh aap ka maamla hai. Kisi ko kisi par shaq ho ya to kaise approach kare date ke liye aur anya aise saval unhe khud suljhane ko kahe.
  • Kisi ne badi galti kee hai to yeh un se kabhi na kahe ki kaise bewakoof jaisi kaam kee hai aur glati kiya hai. Comment karne ke badle chup rahe ya kahe ki aap un ki haalat samajh sakte hai aur aise kabhi kabhi ho jaata hai. 
  • Koi naukri badalne ke liye raay mange to naukri tyag karne ki salah na de. Agar us ne advice follow kiya aur fir musabit me fas gaya to aap ko blame karega ki us ki jindagi bigad dee hai. 
  • Family members ke andar apas me kuch na much misunderstanding hote hai. Ek ko doosre ke khilaf na kare apne baato se. Hota hai hota hai aisa kehke baat taal de yaa to sahmati dikhaye.
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments