Garbh dharan par khushi ka mahol chaa jaata hai parivaar mein. Kya aap ko maalum hai ki 15% pregnancies mein miscarriage yane ki garbhpat apne aap ho jaata hai? Yeh jyaadatar genetic kaarano se hota hai aur thodasa asar hai khadya padarth aur jeevan shaili ka. Apne aap hi aap aise barte ki garbhpat ka khatra door rahe.
- Garbh dharan karne ke pehle hi gynecologist se poori janch padtal karva le taaki pehle se hi saavdhaani le sake. Is mein aap ka test hoga blood ka, chicken pox ka, sankaratmak rogo ka, aur kai baar genetic history bhi poocha jaayega. Ho sake to vaccination bhi kiya jaata hai kyonki garbh theherne par vaccination mumkin nahin hai.
- Garbh theher gaya hai to khaan paan mein khaas dhyaan rakhe. Har roj aap ke diet mein iron aur folic acid mil jaaye aise khadya padartho ka sevan shuru kar de. Fal aur sabji poorte praman mein khaaye to aap ko iron aur folic acid mil jaayega.
- Halka sa vyaayaam aur har roj ka kaam kaj niyamit karte rahe. Sirf pregnancy ke aakhri daur mein aap ko sharirik shram kam karna hoga aur aaraam jyaada.
- Caffeine yukt drinks jaise ki coffee, chai aur cola bandh kar de ya niyantrit praman mein hi le.
- Sharab aur nashili cheezo ko door hi rakhe.
- Blood sugar ka test karvate rahe taaki prenatal diabetes hone ki shakyata ho to us ka bhi samaysar ilaj shuru kiya jaa sake.
- Koi bhi dawai khaaye to doctor se pooch ke hi aap sevan kare.
- Papeeta, peach, til, aloe vera aur aise khadya padarth jo garbhpaat kar sakte hai, in ka sevan na kare 4-5 mahino tak.
- Vitamin E aap ko aahar mein milna chahiye. Shak ho to vitamin E ke capsules ka sevan kare.
- Dhoop mein bhi ghoome taaki sharir vitamin D bana sake.
- Jyaada vitamin C yukt aahar na le aur is mein nimbu, papeeta aur pineapple hai jo abortion karva sakte hai early stages mein.
- Seedhiya dheere se chadh utar kare taki jhatka na lage.
- Cheese ko khaana bandh kar de.
- Tanav se mukht rahe. Yoga aur pranayam se tanav niyantran mein rahega.
- Raat ko 8 ghante ki neend le to anichchaniya garbhpat se aap bache rahenge.
TAGS : #गर्भ गिराने के घरेलू नुस्खे #garbhpat ke gharelu dawa #bacha girane ka gharelu nuskha in hindi #गर्भपात करने के तरीके #गर्भ गिराने के देसी उपाय #गर्भपात के आयुर्वेदिक उपाय #गर्भपात के प्राकृतिक तरीके #गर्भपात करने के घरेलु उपाय #garbh se bachav #garbh nirodhak desi upay #anchahe garbh se chutkara #pregnancy rokne ke gharelu upay #garbhpat ke lakshan #garbhpat kaise hota hai #garbhpat karne ke gharelu tarike #गर्भपात के घरेलू उपचार #गर्भपात के लक्षण #गर्भपात की प्रक्रिया #गर्भ गिराने के आयुर्वेदिक उपाय #home remedies for abortion in hindi #abortion ke gharelu nuskhe
Samar, Mar 25, 2017
sir mera ek sawal hai maine apni gf ke saath 6 din pahle sex kiya tha lekin uski pireyad ek din pahle he poora hua tha to kya wo pregnent ho sakti hai agar ha to mujhe kya karna chahiye ?