Season badalta hai aur us ke saath laata hai infections. Jyadatar infections viral prakar ke hote hai. Ab aap ko maaloom ho na ho magar virus ke liye koi dawai nahin hai. Jyadatar virus ke saamne sharir hi ladta hai aur thode dino mein virus infections ke symptoms ka shaman ho jaata hai. Thode hi virus hai jo ek baar lag gaye to phir un ka koi ilaj nahin hai, jaise ki HIV, udaharan ka taur par. Viral infection antibiotics ko respond nahin karte hai magar is ka matlab yeh nahin hai ki aap is ka ilaj na kare. Yahan par prastut hai viral fever ka ilaj/वायरल बुखार का उपचार jis se aap ko jaldi raahat milega aur sharir ko kam nuksan hoga.
Virus kai alag prakar ke hote hai aur sharir ke andar dakhil ho ke cells par attack kar ke multiply hote hai aur tab jaake viral bukhar ke lakshan (वायरल बुखार के लक्षण) pragat hote hai. Virus bacteria aur fungus jaise nahin hote hai. Un ki rachna alag hai. Mool mein hai DNA ya RNA genetic material aur is ke upar protein coat hota hai aur us ke upar bahari par hota hai lipid ka. Yeh host cell mein dakhil ho ke cell division nahin karte hai magar replication karte hai aur cells ka nash kar ke viral bukhar ke lakshan parinamswaroop pragat hote hai. Kai gambhir virus itna nuksan karte hai ki koi organ ka, blood cells ka ya anya tissue cells ko bilkul nash kar ke maut ka khatra khada karte hai. Kyonki antibiotic aur antifungal se koi asar nahin hota hai to aap dekhenge ki bukhar ka desi ilaj in hindi jo yahan par batayenge, vohi aap ko jyaada fayda aur raahat denge.
Bukhar aane ke karan (बुखार आने के कारण ) viral ya bacterial ya fungal infection ho sakta hai. Jyaadatar influenza virus ka infection lag jaata hai. Aisa to hamesha hawa mein koi na koi virus hote hi hai magar sharir ka immune system agar majboot ho to virus ka koi asar nahin hota hai. Agar immune system kamjor ho jaaye, jaisa hota hai mausam ke badalne par to virus sakriya ho jaate hai. Jyaada shram ke karan thak jaane se, aahaar kam lene se, kisi sankramit vyakti ke sampark mein aane se, aise kai karanosar viral bukhar aa sakta hai.
Viral bukhar ke lakshan (वायरल बुखार के लक्षण)
Jyaadatar jo virus infections hote hai voh shardi jukham paida karne vaale virus hote hai. Doosre virus hai jo chikunguniya jaise infection ke liye jimmedar hai. Sabhi viral infection ke nirdharit chinha hai. Jaaniye viral bukhar ke lakshan:
Doctor ke paas jaayenge to antibiotics dega jis ka aad asar kidneys aur liver par hota hai. Is se behtar hai ki viral bukhar ka ilaj (वायरल बुखार का इलाज) aap ghar par hee kare. Viral bukhar ke upchar(वायरल बुखार के उपचार) kuch is prakar hai:
Viral Bukhar ke liye sadharan treatment
Bukhar ke gharelu nuskhe aur bukhar ke ayurvedic dawa
Viral bukhar ki dawa ( बुखार की दवा )to koi nahin hai magar bukhar ka desi ilaj jaroor hai. Aisi dawa nahin hai jo virus ko naash kare magar yeh indirectly sharir ke immune system ko aur organs ko madadroop hote hai aur recovery jaldi hota hai. Dekhiye aise hi kuch bukhar ke gharelu nuskhe (बुखार के घरेलू नुस्खे) aur bukhar ki ayurvedic dawa (बुखार की आयुर्वेदिक दवा):
Jyaadatar viral infection mein 4-6 din mein hi sharir vapas normal ho jaata hai. Uparyukt upay karne se recovery jaldi hoga, kasht kam hoga, sharir aur majboot hoga aur aap fir se sfurtile ban jaayenge.
TAGS : #viral fever symptoms in hindi #viral fever treatment in hindi #viral fever ka ilaj #viral fever ka gharelu upchar #jukam ka gharelu upchar #बुखार का इलाज
कृष्णा पुरी, Nov 03, 2017
वाइरल फीवर के सिम्टम्स किया हैं और आप यह भी बताएँ कि इसका ट्रीटमेंट कैसे होगा सब कुच्छ आप ज़रा विस्तार से बताएँगे तो हमे समझने में आसानी हो जाएगी|
Anushka Sharma, Sep 23, 2017
What is viral fever, what is the symptoms of viral fever, how fever comes, how we can relief from viral fever,what is the treatment of viral fever and also tell which type of pr cations we have to take? Please share me sure
Akriti , Aug 04, 2017
mene apke desi gharelu nuskhe read kiye lekin Viral fevar ka desi gharelu asan upaye kya hai ? jo me asani se kar saku aur mujhe viral fevar k gharelu nuskhe se jald hi rahat ,mile
Pintu Gautam, Nov 08, 2017
Diagnosis treatment of bacterial and viral fever in children and adult also dose