- Bukhar aane par sharir ka tapman normal 98.6 degree F se badh ke 100 aur upar chala jaata hai. Sadiyo se chali aati ek nuskha hai ki thande paani ke patte ka upyog kiya jaate hai tapmaan kam karne ke liye. Aam taur par maathe par yeh thande pani ke pote lagaye jaate hai. Kya yeh sahi mein kargar hai tapmaan kam karne aur bukhar utarne ke liye?
- Bukhar mein sharir ka tapmaan 98.6 degree F se badhke upar tak jaata hai. Infection ya aur koi karan sar yeh hota hai. Agar bukhar ko na roke aur tapmaan badhta jaaye to kharab asar hote hai jaise ki mareez confuse ho jaata hai, chid chida ho jaata hai, us ko convulsions hote hai, dehydration hota hai aur hallucination hota hai. Tapman ko niyantrit kiya jaaye to yeh sab lakshan se mareez bach sakta hai. Thande pani ke pote lagane se temperature down ho sakta hai magar kya yeh kaam karte hai?
- 100 degree tak chinta karne ki jaroorat nahin hai magar 101 se 103 ho jaaye to jaroor kadam uthana chahiye. Thande paani ke pote lagane se mareez ko raahat milta hai. Yeh prakriya chote bachche, navjaat shishu aur budhe tak sabhi par asar karta hai aur is ka koi side effect nahin hai. Is ka koi shak nahin hai ki thande paani ke pote ka asar hota hai tapmaan kam karne mein aur raahat dilane mein.
- Ek hi savdhaani rakhna hai ki baraf ya baraf ka paani ka istemal na kare sadharan bukhar mein. Is ka istemal tab karna chahiye jab bukhar 104 se 105 degree tak pahunch jaata hai. Is bukhar mein thande pote se sirf rahat milta hai, ilaj nahin hota hai. Doctor treatment jaroor hai aise haalaat mein.
- Kapda, towel ya sponge ko sadharan paani mein hi bhigo ke istemal kare. Doosra savdhani yeh hai ki pote ko sirf maathe par, sar par aur hatheli par hi nahin balki sharir par bhi is pote ko firate rehna chahiye. Agar mareez ke poore sharir ko sponge bath de ya khud naha le to aur bhi achcha hai. To aap befikr thande paani ke pote ka istemal kare agar kisi ko bukhar aa gaya hai aur tapmaan kam karna hai. Is se mareez chain ki saans le sakega.
TAGS: #fever meaning in hindi #types of fever #fever treatment #fever in children #fever symptoms #bukhar ke liye gharelu nuskhe in hindi
अभिषेक, Jun 28, 2017
कोल्ड स्पंज तब किया जाता है जब फीवर अधिक हो जाए या फीवर कम ना हो रहा हो रहा हो एमर्जेन्सी मैं यह घर पर कर सकते हैं लेकिन अगर फीवर फिर भी ना कम हो तो डॉक्टर की सलाह लेना ज़रूरी है