Causes, symptoms and Home remedies for urinary tract infection in hindi (यूरिनरी ट्रैक्ट के इन्फेक्शन के कारण, लक्षण और उपचार): UTI yane urinary tract infection ya bladder infections jyadatar mahilao ko pareshan kar deti hai. Is haalat ko gambhirta se lena chahiye kyonki na rokne par yeh sankraman kidneys tak fail jaata hai aur parinam gambhir ho sakte hai. Yeh mahilao ko hee nahin, purusho ko bhi ho sakta hai magar kam maatra mein. To jane frequent urination home remedies in hindi mein.
Urinary Tract Infection Kaise Hota Hai
Jyadatar urinary tract infection ke peeche kaaran hai bacteria Escherichia coli jise E.coli kehte hai. Yeh guda mein aam taur par paye jaate hai aur yaha se mutra marg tak pahunch kar sankraman ka karan ban jaate hai. Swachta na rakhne par,ayogya sexual practices ke kaaran aur urine bladder theek se khali na karne par yeh bacteria ka vikas hota hai. Aise to peshab ke samay bacteria bahar nikal jaate hai magar kuch reh jaye to infection failta hai. Yeh bladder se upar kidney tak bhi pahunch kar serious condition khada kar sakti hai. Garbhvati mahila ko jaldi se infection hone ki sambhavna hai kyonki bladder par dabav hota hai aur urine sampurna bahar nahin nikal jaata hai.
- Kidney stones ho to yeh karan hota hai UTI ka.
- Urinary tract infection mahilao me tab hota hai jab sharir me estrogen kam ho, khas kar ke menopause mahila mein.
- Jin ka immune system kamjor ho jaaye bimari se ya diabetes se to voh bhi urinary tract infection ka shikar ban jaate hai.
- Jin mardo me prostate fool gaya hai un ka mutrashay khali na hote yeh bacteria ka failav ho jaata hai.
- Mahilae jo IUD aur diaphragm use kare to un ko UTI hone ki shakyata jyaada hai.
सम्बंधित जानकारी
Yeh hai kai kaaran jin se hota hai urine infection in Hindi. Aage jaaniye urine infection treatment aur urine infection home remedies in Hindi. Lekin is ke lakshan kya hai?
UTI infection ke Lakshan
- Peshab karte samay jalan hona aur kasht hona yeh ek chinha hai UTI infection ka.
- Peshab clear nahin hota hai yeh UTI infection ke symptom hai.
- Bar bar peshab jane ki ichcha hoti ho to yeh lakshan hai UTI ka.
- Sankraman ke karan peshab par control nahin rehta hai aur pet mein aur peeth ke neeche ke bhag me dard hota hai.
- Peshab me durgandh hona yeh UTI sankraman ka lakshan hai.
Agar yeh UTI infection kidneys tak fail jaaye to peeth ke neechle hisse ke dono bhaag par dard hoga kyonki kidneys mein soojhan aa jaata hai. Ulti hota hai. Bukhar bhi rehta hai.
Aisa ho to maan lo ki UTI infection hai aur is ke liye turant kadam le. Gharelu upay urine infection ke liye try kare
Urine infection Home Remedies in Hindi
Ab jane frequent urination home remedies aur enka prayog kare:
- Seedhi si baat hai. Peshab reh jaata hai bladder me aur bacteria failte hai. To bacteria ko bahar nikal dene ke liye urine infection home remedies in Hindi sab se saral upay hai paani. Paani khoob peete rahe to chutkara milega.
- Urine infection treatment in Hindi me jaaniye pineapple ka upyog. Ek do din tak aur kuch na khaaye. Sirf pineapple ka juice peete rahe. Is me rahe enzyme bromelene se infection khatam ho jaata hai.
- Gharelu nuskhe for urine infection in Hindi mein savere uth ke nimbu ka ras aur adrak ka ras ka sevan kare ya to vitamin C ki goli khaye to bladder ka pH sudhar jaata haia ur urine infection khatam ho jaata hai.
- Sujhan ho gaya hai to urine problem home remedy in Hindi hai sek karna. Namak ko tave par garm kare, potli mein bandhe aur sek kare.
- Home remedies for urine infection in female hai muli ka ras. Muli ka ras nikale aur ek chamach jeera powder daal ke din me 3 baar peeye.
- Urine infection treatment at home in Hindi hai hari elaichi. Sooka hari elaichi ko koot de aur doodh me thodi der ubale aur din me 2 baar is ka sevan kare.
- Urine problem home remedy in Hindi hai pyaj ka upyog. Pyaj khaye ya to ras nikal ke din me 3 baar peeye.
- Urine infection treatment at home karna hai to bael ke fruit ke guda me gud mila ke khaye.
- Home remedies for urine infection in kids hai dahi. Dahi me jeera, kali mirch aur sendha namak mila ke sevan kare to yeh pareshani se chutkara milta hai.
- Home remedies for urine infection ke liye upyog kare amla ka. Amla mein bharpoor vitamin C hota hai jo bacteria ka nash karta hai.
- Urine infection treatment in Hindi jaaniye upyog dalchini ka. Ek tukda mooh me rakhe aur chooste rahe ya to powder ko shahad ke sath mila ke sevan kar din me 2 baar. Garbhvati ho to cinnamon (dalchini) ka upyog kam kare.
- Urine infection treatment at home karna hai to gajar aur palak ka ras ka sevan kare ya to soup bana ke piye.
Yeh hai kai kai urine infection treatment at home in hindi upay. Ayurved mein bhi kai jadi booti hai jis ke sevan se UTI door ho jaata hai. Janiye urine infection ayurvedic treatment in Hindi.
Urine infection Ayurvedic Treatment in Hindi
- Giloy ki goli milti hai. Is ka sevan kare. Urine infection ayurvedic treatment in Hindi kahe to giloy koi bhi infection ke liye shresht hai.
- Shilajit ko garam doodh me mila ke raat ko piye.
- Urine infection ayurvedic treatment in Hindi for female hai upyog is ayurvedic ilaj ka. Chitrak mool, daru haldi, haldi, vacha churna aur badi
- Elaichi ko churna bana de aur shahad ke saath din me 3 baar sevan kare.
- Yashtimadhu aur dalchini powder ko shahad ke saath mila ke chaate.
- Urine infection treatment in ayur hai upyog kapoor kachri ka. Yeh kidneys ke liye uttam tonic hai.
- Urine infection treatment in ayur hai upyog haritaki, haridra, guggul, chandan, punarnava, amla aur guduchi ka. In sabhi ka churna mila ke paani me ghol bana ke piye.
- Ayurvedic upay UTI ka is prakar kare. Sabut dhaniye aur tej patta raat bhar bhigoye. Savere pani me ubale. Yeh pani din me 3 baar piye.
- Chai patti pani ke mila ke pee le.
- Ayurvedic treatmenrt for urine infection in female me upyog kare shatavri aur punanarnava powder ka. Pani me mila ke din me 3 bar piye.
Thode parhej bhi palne hai urine infection ke samay par. Jyada meetha aur teekha aahar na le.
Yeh urine infection home remedies in Hindi aur urine infection ayurvedic treatment in Hindi se jaroor fayda hoga. Samay lagega results ke liye magar sampurna raahat milega.