टाइफाइड बुखार के लिए घरेलु उपाय - Typhoid Bukhar ka ilaj in Hindi

टाइफाइड

Typhoid fever treatment in hindi: Typhoid ek infectious yane ki sankramik aant aur pet ki bimari hai jo Salmonella Typhi bacteria ke kaaran hota hai. Yeh bacteria aahar aur pani ke marg sharir me dakhil hota hai aur fir is bacteria ke sharir me multiplication ho ke lahu dwara liver me failne se gambhir haalat ho sakti hai agar samaysar upay na kiya jaaye to. Jaaniye typhoid ke bare mein aur typhoid bukhar ke liye gharelu upay desi nuskhe hindi mein,typhoid ka ilaj in hindi. Sabse pehle jane typhoid ke lakshan ke bare mein.

टाईफाइड के लक्षण - Typhoid Symptoms in Hindi

  • Niyamit badhne wala tez bukhar.
  • Badan dard.
  • Kamjori.
  • Sir dard, Pet dard.
  • Kam bhookh lagna.
  • Bachcho mein dast ki shikayet hona.
  • Bado mein kabz ki shikayet hona.
  • Bimari adhik ho jane per anton mein ulser ho jana.

टाइफाइड का संक्रमण 

Salmonella typhi bacteria paani aur aahar dwara failta hai aur mooh ke dwara sharir mein dakhil ho ke pet me aur fir aant me jaata hai jahan se voh khoon me pravesh kar ka sharir ke anya bhag aur organs mein pahunch jaata hai. Sharir me dakhil hone ke hafte se leke mahine ke andar typhoid ke lakshan pragat hote hai. Pehle bukhar aata hai aur sharir par chaale ya fode gulabi rang ke pad jaate hai, khas kar ke pet aur gardan par. Is ke saath kabz, pet me dard, bukhar aur dast aur ulti bhi ho sakta hai. Pet aur aant me holes ho jaa sakte hai aur yeh khatarnak haalat hai. Jab bukhar sadharan aspirin se nahin utarta hai to is ka turant doctor se parikshan aur treatment karvana hota hai. Pehle charan mein jab bukhar aata hai to turant is ka ilaj shuru kare ghar par aur khas dhyan rakhte rahe. 

देसी टाइफाइड बुखार के घरेलू इलाज - Typhoid Fever ka Desi ilaj in Hindi

Prastut hai desi gharelu nuskhe typhoid bukhar ke liye. Yeh prathmik chinha bukhar ke pragat ho tabhi diya jaaye. Rog aage badhne par nahin jab doctor ke pas ya hospital le jaana chahiye. yahan apko ilaj ke sath typhoid fever diet plan and chart in hindi mein bataya jaega:

  • Typhoid me bukhar ke ilaj mein gaajar uttam hai. Gajar ka ras nikale aur mareez ko din me teen baar pilaye. Gajar ka soup bana ke bhi diya jaata hai. 
  • Typhoid bukhar ke gharelu upay mein lehsun kargaar hai. Lehsun ki kali ko bhun le aur khali pet is ka sevan karvaye mareez se. 
  • Typhoid bukhar mein mareez ko bhook mit jaati hai. Aise mein use seb barik kaate aur us par adrak ka ras chidak de aur kali mirch ka powder mila ke khilaye to bukhar kam ho jayega. 
  • Typhoid bukhar ka ayurvedic nuskha hai tulsi aur kali mirch. Tulsi ke patte ka ras nikale aur is ras me kali mirch powder mila ke mareez ko din mein teen baar pilaye. 
  • Typhoid bukhar ka gharelu upchar me mareez ko paani hamesha peete rehna chahiye. Din me teen baar neem ke patte aur neem ka chaal dal ke ubala hua paani avashya pilaye to yeh bacteria ka nash kar dega aur failne se bacha dega. Yeh pani me thodasa shahad aur chutki sendha namak bhi mila de. 
  • Pudina ka ras typhoid ke bukhar me safal upchar hai. 
  • Typhoid bukhar ke pratham charan me aur baad me bhi mareez ko ubla hua paani hee de. Paani mein long, dalchini aur jeera mila ke ubale aur yehi paani shahad, nimbu ka ras aur sendha namak mila ke pilaye. 
  • Typhoid bukhar ke liye desi upchar hai pyaj. Pyaj ka ras nikale aur  is me kali mirch aur sendha namak aur shahad milaye. Din me 3 baar 2 chamach pilate rahe. 
  • Es typhoid treatment in hindi mein urajmukhi ke patto ka ras nikale aur ise adrak-tulsi ki chay me mila ke typhoid bukhar treatment ke liye istemal kare. Papita ka patta ka ras se bhi fayda hota hai kyonki yeh immunity badha deta hai. 
  • Khane mein mareez ko kela khilaye. Is par shahad aur kali mirch powder daal ke khilaye. 
  • Mareez ko bukhar tez ho jaaye to sharir aur khas kar ke pet aur maathe par gila kapda firate rahe. Jaroor pade to baraf ka tukada ghise. 

Typhoid khas kar ke pet me acidity ho to aasaani se ho jaata hai. Is se bach ke rehne ke liye bahar ke cheez na khaye jis par makhi baithi ho; bahar ka paani na piye aur hygiene ka khayal rakhe. Pet me acidity na rahe aise alkaline aahar lete rahe jaise adrak, patta gobhi aur palak. Typhoid diet in hindi mein wo her ahar bataya gaya hai jinka sewan karne se aap typhoid hone se bach sakenge.

TAGS:#taifaid /tified/tyfied fever ka ayurvedic upchar in hindi #typhoid/tified fever in hindi  #टाइफाइड में क्या खाएं #tified fever diet in hindi #tified fever treatment in hindi #typhoid fever treatment in ayurveda in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

3 Comments

सीमा विशवास , Aug 14, 2017

आपने जो बुखार के उपचार कैसे किया जाए इसके लिए घरेलू नुस्खे बताए हैं वो बहुत अच्छे हैं आप ऐसे ही मुहन में छाले ख़तम करने का कोई अचूक नुस्खे बताएँ जिससे मुझे मेरे मुहन के छालों से आराम मिल सके

हितेश , Jul 03, 2017

टाइफाइड फीवर का सबसे अछा उपचार है आराम करना तथा ग्लो के पोधे का रस निकाल कर दिन में चार बार पिएं पपीते के पतों का रस भी दिन में दो बार पिएं फायेदा होगा पर डॉक्टर से प्रामर्श भी ज़रूर करें

, Apr 19, 2017