उलझे बालों को सुलझाने के टिप्स

उलझे

bikhre hue hai voh untidy dikhta hai. Yeh duniya ka dastoor hai. Uljhe hue baal kadapi aap ko akarshak nahin banayenge. Suljhane ke liye aap gel ka istemal karne ke badlye yahan par bataye nuskhe ka Jis me baal sar ke upar sahi tarah se set hue hai voh neat aur smart lagte hai aur jis ke baal prayog kare. 

  • Baal uljhe rehne ka karan hai bal dry hai aur stiff ho gaye hai. Unhe mulayam aur moisturize karne ke liye upyog kare ande aur nariyal tel ka. Yeh prakrutik tarike se baalo ko suljha denge. 
  • Kachche nariyal ka doodh bhi behad asarkarak hai baalo ko suljhaane mein. 
  • Baalo ko dhone se pehle aerandi ke tel mein nimbu mila ke baalo mein lagaye aur phir dhoye bilkul mild shampoo se. dhone ke baad thodasa chai ka kaadha (bina pani aur shakkar!)  le aur ek-do boond glycerin is mein daal ke baalo mein laga de.
  • Kanghi karne ka sahi tarike hai ke thode baalo ke lat haath mein le ke unhe suljhaye. Chaude danto vali kanghi ka istemal kare.
  • Baalo ko khulla na chode aur unhe dhak ke rakhe agar aap dhoop mein jaate hai. 
  • Baalo ko dhone ke baad tauliye se kabhi na jhatke. Kudrati sookhne de. 
  • Avocado paste mein nimbu ka ras aur shahad mila ke baalo mei lagaye. 20 minute ke baad dhoye. Yeh baalo ko soft aur manageable bana deta hai. 
  • Aloe vera aur shahad ka mishran baalo mein laga le aur 10 minute ke baad dhoye. 
  • Raat ko sone se pehle soft brush leke 15 minute tak baalo ko brush karte rahe.

TAGS: #baal ghane karne ke gharelu nuskhe #balon ko ghana karne ka tarika #ghane balo ke gharelu nuskhe #balo ko ugane ka tarika #baal ghane karne ka totka #balo ko silky banane ke gharelu nuskhe in hindi #baal mote karne ka tarika in hindi #hair ko silky karne ke tips in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments