जाने गर्भावस्था के तीसरे हफ्ते में होता है भ्रूण का विकास

जाने

Garbhavastha ke teesre hafte mein kai mahilao ko shak bhi nahin hota hai ki voh pregnant hai. Sab kuch normal nahin lagta hai aur ulti shuru ho jaata hai jis ke kaaran aap test karvake confirm kar sakte hai ki aap pregnant hai. Teesre hafte main bhrun ka vikas jor shor se hone lagta hai aur is ka asar aap par bhi padta hai. Ek baaju khushi hai aur doosri baaju hai sabhi prakar ke taklif ka shauruat kyonki bhrun teesre hafte se teji se vikas karne lagta hai.  

  • Kai mahilao ke dimag mein yeh prashna hota hai ki garbhavastha ki ginti kaise ki jaati hai? Teesra hafte maane kya? Sadharan tarike mein garbhavasta ke hafte aap ke aakhri mahavri ke din ke baad ginti karne mein aate hai. 
  • Shuru ke samay mein shukranu ande ko mil ke us ko fertilize karte hai. Is ande ko zygote kaha jaata hai. Yeh fallopian tubes se garbhashay ke taraf prayan karta hai jahan par voh andar ke bhaag par sthapit ho jaata aur is ko confirmed pregnancy kehte hai. 
  • Is samay dauran bhrun ka teji se vikas hota hai aur cell division aur multiplication hone lagta hai. Placenta ka nirman hota hai jo human chorionic gonadotropin hormone (HCG) ka nirman shuru kar deta hai jis ka asar aap ke sharir par bhi padta hai aur jis ke dwara pregnancy confirm ho sakta hai. 
  • Bhrun ke cell division hone ke saath bachche ka brain, dil, reed ki haddi aur aant ka nirman hone lagta hai. Amniotic fluid ka bhi straav hone lagta hai jo bachche ko surakshit rakhega agle samay me. 
  • Teesre hafte mein bhrun ka size bahut chota hota hai, karib 0.048 mm se leke 0.2mm lambai aur dikhne mein goli jaise lagta hai. 
  • Sharir mein parivartan shuru ho jaata hai. Stano mein chubhan hota hai, nazuk lagte hai aur sujhe hue lagte hai.
  • Bhrun ke vikas se aur HCG hormone se ulti hone lage, pet mein dard ho, sadharan bukhar ho, thakaan lage, yeh sabhi mamooli baate hai is teesre hafte main. 
  • Bhrun ke vikas ke liye aap ko bilkul paushtik aahaar lena hoga, tanav mukt rehna hoga aur ayogya cheezo ka sevan bandh karna hoga nahin to baby mein abnormalities honge. Folic acid, vitamin B complex, iron aur calcium poorna maatra mein milna chahiye. 
  • Doctor se complete check up karvana avashyak hai.....और पढ़े>>
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

Shana , Sep 19, 2018

Mai pregnant hona chahti hu

दीप शिखा , Aug 28, 2017

आपका ये आर्टिकल बहुत अच्छा है ख़ास कर उनके लिए जिनके मन में प्रेग्नेन्सी को लेकर कई सवाल उठते हों और वो किसी से पूछ ना पाती हों इसकी वजह से हो सकता है की शरम आती हो तो ये आर्टिकल उनकी हेल्प कर सकता है जिनको शरम आती है|

कमलेश मीणा , Aug 14, 2017

आपने जो लिखा था कि माँ के पेट में बच्चे का विकास कब और कैसे होता है बहुत अच्छा लिखा है कोई भी लेडी जो अपनो से कन्सल्ट करने में शरमाती है उसको ये आर्टिकल बहुत हेल्प करेगा|

meenu, Apr 28, 2017

I feel I m pregent but I m not conform