जाने चिकनगुनिया वायरस के बच्चों में लक्षण

जाने

Bachcho ko koi na koi infection lagta rehta hai aur yeh sadharan baat hai kyonki hawa mein aur paani mein hazaro virus aur bacteria hote hai. Shardi jukham (influenza) ke virus hazaro mein hai aur mausam badalne par aisa hona sadharan baat hai. Magar kai aise virus hai jo jyaada pareshan kar deti hai. Yeh hai chikunguniya. 

Aap ke bachche ko chikunguniya ho gaya hai to aap is ke lakshan kaise pehchanenge? 

Bachcho mein chikunguniya virus infection ke lakshan - चिकुनगुनिया के लक्षण

Yeh hai bachcho mein chikunguniya virus infection ke lakshan:

  • 1 saal tak ke bachche mein teevra bukhar, soojhan aur thodasa kaf rehta hai. Bachcha hamesha rota rehta hai, idhar udhar haath pair maarta hai aur bechain rehta hai. 
  • 1 se 5 saal ke bachche mein bukhar aur kaf bahut adhik praman mein badh jaata hai. Ghutno aur ango mein dard ka shikayat karenge aur soojhan bhi dikhai dega. Halka sa choone par bhi unhe tej dard hota hai jodo mein. 
  • 5-10 years ke bachche mein chikunguniya ho jaaye to kaf aur bukhar ke saath ango mein jakdan hota hai jis se haath pair seedhe karna ya modna kashtdayi hota hai. Khaas kar ke ghutno mein dard hota hai aur aediyo mein. Bachche chidchide ho jaate hai aur khaane nahin khaayenge aur neend bhi achchi tarah se nahin aayegi. 
  • 10 saal se upar bachcho mein tej bukhar aata hai, bhookh nahin lagta hai aur ek jagar par sthir pade rehte hai. Soojan aur jakdan ho sakta hai ango mein. 

Bachcho ke sharir par dhabbe aur rashes pad jaane ki sambhavna hai. 

Kyonki yeh machchar ke kaatne se hota hai to poorna savdhani le ki machchar ghar ke andar ghus na paaye.

Dekhbhaal - कैसे करें बच्चे की देखभाल

  • Koi allopathic dawai nahin hai chikunguniya ke liye. Achchi dekhbhaal kare aur bachcho ko aaraam karne de. 
  • Paani jyada piye us ka dhyan rakhe. 
  • Bachcho ko aspirin na de. 
  • Ibuprofen aur aise dawai na de soojan ke liye.

Gharelu upchar- चिकुनगुनिया के घरेलू उपचार

Saat din tak pareshani rehti hai. In saat dino mein 

  • Har roj 3 baar papeete ke patte ka ras pilaye.
  • Adrak, shahad, nimbu, tulsi ka sharbat pilate rahe.
  • Savere aur raat ko neem ke patte ko paani mein ubal ke adha cup paani pilate rahe.

TAGS: #chikungunya ka ilaj hindi me #chikungunya ke lakshan in hindi #chikungunya treatment in hindi #chikungunya ke gharelu nuskhe #चिकनगुनिया का आयुर्वेदिक इलाज #चिकनगुनिया के घरेलू उपचार #चिकनगुनिया के लक्षण #chikungunya symptoms in hindi #चिकुनगुनिया से राहत पाने के घरेलू उपाय #home remedies for chikungunya in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments