जानिए सुंदर और आकर्षक दिखने के बेस्ट टिप्स

जानिए

Har aurat (aur har aadmi) ko sundar dikhne ki ichcha hoti hai. Kudrati saundarya hona sabhi ke bhagya mein nahin hai magar aap jaroor koshish kar sakte hai aapka appearance sudharne mein jis se aap aur akarshak lagenge. Samaj ka niyam hai ki jo akarshak hai voh avkarya hai. Isiliye aap ko thoda sa jyaada sundar dikhne ka koshish karna chahiye. Aajmaaye yeh sundar kaise dikhe uske nuskhe aur aap ke dikhave mein jaroor farak padega. 

Self confidence badhaye

Sirf chehra hi nahin, aap ka personality bhi aap ko sudharna hoga. Aap ka self confidence badhaye kuch naya jaankar, knowledge badhake ya phir koi physical achievement se jaise ki dance, gymnastics, swimming ya anya koi activity jis mein aap ko ruchi ho. 

Posture

Posture aap ke personality ka pratik hai. Erect khade rahiye. Baithe tab bhi jhuk kar na baithe. Relaxed aur erect pose mein baithe to log impress honge aur aap ka image achcha banega. 

Chehra

Chehra ka dekhbhaal avashyak hai. Din mein 2 to 3 baar chehra dhoye aur raat ko khaas kar ke achchi tarah cleanser se saaf karke halka sa moisturizer lagaye. 

Agar tvacha thoda sa shyaam ho to haldi, malai aur nimbu k eras ka mishran ka lep kare. Dry skin ke liye coconut oil uttam hai. Aise hee shahad, kakdi, tamatar aur anya cheezo ke upyog se chehra mein kaafi farak hoga. 

Baal

Baal ko aap ke chehre ke anuroop styling kare. Baal hamesha achchi tarah savare hue hone chahiye. Bikhre baal achche nahin lagenge. Agar aap ke baalo mein safedi aane lagi hai to mehndi ka istemal kare. Coconot oil baalo ke liye shresht hai. Dandruff ho to aloe vera, nimbu ka ras jaise nuskhe apnaaye. Purusho ko apne baal adhik lamba na ho jaaye is ka dhyan rakhe. 

Tvacha

Baahon ke tvacha par baalo ko nikaliye shaving ya waxing karke. Sunscreen lagaye jab aap bahar dhoop mein jaaye aur sharir ko kapde se dhak ke rakhe. Chehre ko bhi dhak le jab dhoop mein jaay. 

Naakhoon

Ladkiyon ko nakhoon badhane ka shaukh hota hai magar aaj me mahol mein adhik lamba nakhoon shobha nahin deta hai. Shaping kariye aur nail polish regularly lagaye. Nail polish ukhda nahin ho uska dhyaan rahe. 

Dress

  • Dress ka fitting achcha ho—na jyaada loose, na jyaada tight.
  • Dress saaf ho
  • Dress ko press karke pehne
  • Fashion mein jo style hai use apnaye. 
  • Dress ka color aap ke tvacha ke rang ko suit ho yeh dhyaan mein rakhna jaroori hai. 

Speech

Vaani madhur ho to voh vyakti sabhi jagah welcome hai. Isliye baat karne ka tarika polite rakhe aur sabhi ko respect dete rahiye—aap ko bhi respect milega. 

Khurak

  • Aahar paushtik ho to chehra par jhalkega. Jo season mein ho vohi fal, sabji, daal aur doodh ka avashya sevan kare.
  • Agar aap logo mein interest le, unko sahayroop bane to aap ke liye yeh positive point hai. 
  • Plastic surgery karke naak, honth ya aur koi shaping karane se akarshakta badhti nahin hai. Koi defect ho to jaroor yeh sudharta hai. 
  • Aage badhiye aur koshish kare. Aap ka personality jaroor akarshak hoga.

TAGS : #gora kaise dikhe #gora kaise bane #beauty tips in hindi #hair care tips in hindi #gora hone ka tarika #Sundar Kaise Dikhe #Smart Kaise Dikhe #Handsome Kaise Dikhe #Beautiful Kaise Dikhe #Khubsurat Kaise Bane

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

8 Comments

Niteh, Jun 08, 2018

mujhe Stylish banana he

पुष्पा, Jan 13, 2018

सुंदर कैसे दिखूं और आकर्षक कैसे बन सकता हूँ इसके तरीके बताइए?

 

किरण बाला, Mar 03, 2018

सुंदर कैसे दिख सकती हूँ और इसके साथ आकर्षक कैसे दिखूं मुझे बताइए आप ऐसे कोई बढ़िया से नुस्खे और टिप्स दें

मुस्कान , Oct 16, 2017

मैं ठीक से सुंदर आकर्षक और स्मार्ट दिखना चाहती हूँ पर यह सब कैसे हो सकता है इसके बारे में प्लीज़ बताइए रिप्लाइ मि

मिताली , Oct 05, 2017

मैं सुंदर दिखना चाहती हूँ और आकर्षक भी पर यह कैसे हो इसके बारे में मैं जानने में बढ़ा ही उत्सुक हूँ प्लीज़ मुझे इसकी पूरी जानकारी दें|

 

Ambuj Trivedi, Apr 30, 2018

Dekhiye mitali ji sundar dikhane ke liye aapko apne body figure par jayada dhyan dena hoga. 2nd step hoga aap apne chehre ko saaf rakhen din mai chaar baar baar face ko saaf pani se dhoyen aur do baar face wash se morning aur evening me facewash use karen tab aapke chehre par nikhar aayega aur khanpan par vishesh rup se dhyan pani jyada piyen din me kam se kam 2litere pani jarrur piyen.

Anjali Sahni, Aug 23, 2017

I like it,and suparb really

Dilshad, Mar 26, 2017

neend puri le aur raat ko badam tel ki malish ankho ke aas pass kare

Chatur mejor singh, Jan 31, 2017

Vahut badia cheej batai hai in logo ne mujhe bahut acha laga

hritik roshan , Jan 21, 2017

Ek he baat bolunga Paisa h tou personalaty h

 

Tuhin, Jan 22, 2017

kya baat hai ur right

 

baba, Feb 25, 2017

acche Laga hmko

 

neha, Mar 13, 2017

Yeah tumne sahi kaha paise ke bina kuch nahi h log kehte h sb kuch paisa nhi hota lekin aj kal paisa he sbke liye sb kuch h