Sugar problem solution in hindi : Diabetes ya madhumeha ek lifestyle disease hai.Yahan Diabetes ka Ilaj in hindi mein hum apko yeh batainge ki Uchit aahar na lene se aur vyayaam na karne se badhti umar to kyaa, aajkal jawano ko bhi diabetes ka rog lagu ho jaata hai. Diabetes ho jaaye to is ka koi cure nahin hai, bas har roj goli ya injection lete rehna padta hai. Magar allopathic dawai se ayurvedic aur desi ilaj for diabetes aap ke sehat ke liye behtar hoga. Sugar or diabetes ke lakshan aur desi ilaj in Hindi aage jaaniye.
डायबिटीज़ के लक्षण - Symptoms Of Diabetes In Hindi
- Jyaada bhook lagna
- Baar baar peshab aana
- Jyada pyas lagna
- Bhojan ke baad bhi bhook lagna
- Ulti hona
- Sharir aur hath pair mein akdan aur jhanjhanahat rehna
- Kamjori aur thakaan lagna
- Urinary infection
- Skin disease hona
- Chidchidapan
- Body temperature down hona
- Sharir ke alag ango mein dard rehna
- Vajan kam hona ya jyada badh jaana
डायबिटीज़ को समझें - Understanding Diabetes In Hindi
Diabetes ke lakshan aur chinha ki madd se apko pata chek sakta hai ki apko sugar hai. Diabetes ko silent killer kaha jaata hai kyonki aise khaas lakshan nahin hote hai jaise bukhar. Magar anya lakshan se shak jaroor ho sakta hai.Sugar high ho jaaye to khatra hai stroke aur paralysis ka. Aage jaa ke kidney failure ho sakta hai. Ilaj karna jaroori hai magar allopathic medicines se anya organs ko damage ho sakta hai. Sugar kam karne ke upay hindi or diabetes treatment in hindi me jo yahan bataye hai us ka prayog kare to all round benefit hoga.
Diabetes ke Prakar- Type 1 and Type 2 Diabetes in Hindi
- Type 2 diabetes jyada prachalit hai aur lifestyle ke kaaran ho sakta hai. Is mein sharir mein insulin kam hota hai ya to us ka upyog nahin ho sakta hai. Parinamswarup mareej ko hamesha synthetic insulin goli ya injection lena hota hai.
- Type 1 diabetes me autoimmune disorder ke karan pancreas ke koshika nasht ho jaate hai aur insulin nahin ho paata hai. Is prakar ka diabetes jawano me jyaada dikhai deta hai.
डायबिटीज का घरेलू उपचार - Treatment of Diabetes in Hindi or Natural Remedies for Diabetes in Hindi
Sugar kam karne ke upay Hindi me: Pehle jeevan shaili par dhyan de aur yeh avashya kare.
- Sugar yaane chini aur jyada sharkara fruits ya packaged foods bilkul bandh kar de. Tali hui cheez, maide se bani cheez ko tyag kar de aur high fibre sabut anaj, fal, sabji ka sevan kare.
- Salt ko bhi seemit matra mein khaaye
- Vyayaam kare jaise morning walk aur raat ke bhojan ke baad walking
- Jyaada ek saath na khaaye. Din me 5 baar seemit maatra mein khaaye
- Deri tak na jaage aur din mein na soye. Hamesha active rahe to metabolism top rahega aur blood sugar level control mein rahega.
शुगर कम करने के उपाय - How to Control Sugar without Medicine in Hindi
(Ayurvedic Treatment of Diabetes in Hindi ) Ab dekhe kai aise sugar control diet in hindi:
Aamla aur Haldi
Sugar ka gharelu ilaj in Hindi hai aamla aur haldi. Savere uth ke amla ka churna garam paani me milaye ya fresh amla ka juice le aur paani me mila ke haldi mila ke sevan kare aur raat ko sone se pehle.
Koi bhi Kadva Padarth Pie
Sugar ka gharelu ilaj in Hindi hai koi bhi kadva padarth. Din ka shuruat kare karele ke juice se, thodasa neem ka juice se aur dekhe kaise aap ka din bhar sugar control mein rehta hai. Kirayta ka kaadha bhi kabhi kabhi peete rahe.
Methi Daana khaaye
Sugar ka ilaj hai methi daana. Methi daana bhigo ke rakhe aur savere ise chaba ke khaaye.
Aloe vera ka Upyog Kare
Diabetes ke gharelu nuskhe mein aloe vera ka upyog kare. Is ka fresh juice savere sevan kare to bahut fayda hota hai.
Jamun Khae
Sugar ke upay in Hindi bataye to jamun uttam upay hai. Jamun khaaye season me aur us ki gutli ko suka ke churna bana ke niyamit ek chamach savere aur shaam ko lete rahe.
Dalchini ka Prayog
Sugar ka desi ilaj Hindi me hai dalchini ka prayog. Dalchini powder ko khaane me aur salad me upyog kare.
Tulsi ka Upyog Kare
Gharelu nuskhe for diabetes in Hindi jaaniye kaise tulsi ka upyog kare. Savere tulsi ke patte ka ras nikale aur ek chamach sevan kare.
En pdartho ko khae
Sugar control karne ke upay Hindi me aahar hee hai. Aahar mein gehu aur chaval na khaye, maide ki banavat na khaye. Jawar ka khichdi khaaye aur bhindi ki sabji khaaye to apne aap sugar niyantran mein rahega.
Drumstick ka Prayog
Sugar kam karne ke upay in Hindi ek aur hai aur yeh hai drumstick ka prayog. Sahjan yane drumstick ke phool aur patte ka kaadha banake piye ya plain sabji bana ke khaaye to poshan milega aur saath me sugar par niyantran.
Wheat Grass Juice
Sugar ki bimari dur karne ke gharelu nuskhe me gehu ka jwara yaani gehu ka ghas yane wheat grass juice bahut fayda deta hai.
Shalgam ki Sabji
Suger ki bimari ho to sabji me shalgam ki sabji ko pasand kare aur is ka soup ya sabji bana ke khaaye. Savere is ka juice peene se bhi fayda hota hai.
Aam ke Patte ka Upyog Kare
Aam ke patte ka upyog avashya kare diabetes control karne ke liye. Thodese patte ko dho ke paani mein ubale aur yeh kaadha ka sevan karte rahe to kidney health bhi improve hoga. Aam ke patto ka churna bana ke bhi sevan kiya jaa sakta hai aur ubale bina raat bhar bhigoye paani ko piya jaa sakta hai.
Bili ya bael Upyog Kare
Bili ya bael bhi diabetes mein bahut upyogi hai. Sugar se bachne ke upay mein bael ke patte ka juice ko tulsi juice aur kala mirch powder ke saath mila ke khaali pet sevan kare.
Anjeer ke Patte
Sugar control kaise kare ka jawab hai anjeer ke patte. Agar yeh taaje patte mil jaaye to khaali pet is ka ras nikal ke peene se sugar control mein rehta hai.
Trifala
Blood sugar ko kam karne ka naturl upay hai Trifala jis se pet saf rehta hai aur jeher bahar nikal jaata hai.
Savdhani yeh rakhna hai ki agar allopathic dawai lete ho to in blood sugar ke ghrelu nuskhe se blood sugar aur bhi kam ho sakta hai to check up karvate rahe aur aise dawai ya yeh nuskhe ko adjust kare. Kai baar kai ayurvedic aushad aur allopathic dawai se reaction bhi ho sakta hai.
Diabetes Care Tips Hindi - Home Remedies For Diabetics In Hindi
Sugar ko aur diabetes ko control karne ke anya upay or diabetes tips in hindi:
- Suger dibteez ka upay ilaaz in Hindi aur tarike ke sath yeh bhi avashya kare jaise yoga aur pranayam.
- Suger ka ilaz hai yoga jis me vakrasan aur mandukasan se kaafi fayda hota hai. Yoga se tanav kam hoga aur sharir me andaruni samtulan badh jaata hai jis se diabetes ka prakop kam hota hai.
- Savere uth ke pehle kapalbhaati kare kam se kam 20 minute tak to diabetes ke saath anya taklif bhi door ho jayenge. Kapalbhati ke bad anulom aur vilom karna jaroori hai.
शुगर (मधुमेह, डायबिटीज) की दवा - Ayurvedic Medicines for Diabetes in Hindi
Jahan allopathic paddhati ne madhumeh ko 2-3 varg mein baata hai jaise ki type 1 diabetes aur type 2 diabetes, prachin ayurved mein 20 alag prakar ke madhumeh ka ullekh hua hai jaise ki sahaj prameha yane ki vansh paramparagat, apathaya nimmitaj jo galat khane ke aadato se hota hai, krisha prameha aur sthula prameha. Aage aur bhi hai jaise ki pitta prakar ke madhumeh mein 6 alag jaati, vata mein 4 aur bachcho ko hone wali madhumeh. Jahan allopathic paddhati mein diabetes ke liye koi mitane vali dawai nahin hai, vahan par ayurved mein diabetes mitane ke upay bhi uplabdh hai. Madhumeh ka ilaj kar ke mitana hai to allopathy ke bajai ayurvedic medicine for diabetes ka upyog shuru kare aur parhej paale jo ayurved mein dawai ilaj ke sath juda hota hai.
Ayurved madhumeh par drashtikon - Ayurvedic view of diabetes in hindi
- Lamba chauda hai ayurved mein gyan diabetes par sankshipt roop mein dosho ke kaaran madhumeh paida hota hai jo gyan aap anpe aak ko diabetes treatment mein upyog mein le sakenge.
- Ayurved mein madhumeh pithaja, vathaja, kaphaja, kapha-vathaja, pitta-vathaja aur vatha-pitta-kaphaja prakar ke hai.
- In dosho ke kaaran khade hote hai samasya jaise ki pachan, bhook na lagna, ulti, atishay neend, kaf, sardi, mutrashay ke samasya, jalan, amla, pyas, chakkar aana, ango ka fadfadana, sharir sookh jaana, swas lene mein taklif, kabz aur dard. In sabhi ka alag se ilaj karne ke bajay dosh aur herbal medicine for diabetes le to yeh sabhi ka apne aap shaman ho jayega.
- Charak ke anusar madhumeh teen prakar ke hai. Ek hai sadhya yane jo theek ho sakta hai agar chikitsa shuru ke charan mein ho jaye. Doosra hai yapya jis haalat mein niyantran ho sakta hai ayurvedic medicine for diabetes dwara. Teesra hai asadhya yane ki voh jis ka ilaj nahin hai aur khas kar ke duble sharir ke vyaktiyon mein.
- Ayurved mein madhumeh ka nidan hota hai sahi chikitsa se jo adharit hai prakriti, par, dosh par, ojus ke marg mein baadha par, mansik prakriti par, aahar aur vihar par aur vanshparamparagat kaaranosar.
Ayurvedic dawai madhumeh ke liye - Ayurvedic medicine for diabetes in Hindi
- Type 2 diabetes jo umar badhne se aata hai aur jis mein sharir pancreas se utpann kiye insulin ka upyog nahin kar paata hai, aise haalat mein ayurvedic medicine for diabetes treatment hai vijaysar. Vijaysar kashaya aur tikta hai jis ke sevan se diabetes symptoms kam ho jaate hai.
- Agar madhumeh asadhya ya yapya hai to symptoms of sugar diabetes niyantran mein rakhne ke liye jambul ke beej ka churna ka niyamit din mein 2 baar to sevan kare.
- Best herbs for diabetes ki baat kare to gudmar ati uttam hai sugar treatment ke liye. Asadhya madhumeh ho to yeh uttam ayurvedic medicine for sugar control hai aur sadhya rog hai to is ke niyamit sevan se diabetes mit jaa sakta hai agar sahi parhej paale to.
- Bargad ke ped ke chilke ko paani mein ubale aur maatra adha ho jaye to chaan ke rakhe aur har roj adha cup ka sevan kare.
- Ayurvedic medicine for sugar control hai tamalpatra jis ko paani mein ubal ke kaadha din mein teen baar peeye.
- Sugar medicine in Hindi jo khoon mein sharkara ko niyantran me rakhe to voh hai methi daana jis ke churna ko paani mein mila ke din mein do baar peeye ya to beej ko bhigoke raatbhar, savere uthne par chaba ke khaa le.
- Best cure for diabetes ayurved ke anusar hai haldi aur amla ka mishran jo paani mein mila ke din mein teen baar peeye
Ayurved me kadva swaad madhumeh marne ke liye - Importance of bitter taste in diabetes treatmetn in Hindi
- Ayurvedic medicine for diabetes kadvi ho to is ke upyog se blood sugar kam karne mein bahut kamyabi milti hai. Neem ke patte ko ubal ke is paani ka niyamit sevan kare sugar medicine ki tarah.
- Herbs for diabetes type 2 hai kirayta aur kadu jin ko pani mein ubal ke sevan kare din mein do baar to sugar control achcha rehta hai din bhar.
- Karela kadva hai aur sugar treatment ke liye kamyaab sabit hua hai.
- Methi dana kadva hai aur diabetes mein upyog kare, khas kar ke type 2 diabetes mein.
- Yeh sabhi ayurvedic medicine for diabetes ghar par bana sakte hai magar yeh sab nahin karna hai to latest ayurvedic medicines for diabetes goli ke roop mein milti hai ya to dravya ke roop mein jaise ki trivang bhasma, chandraprabha vati, madhuvijay capsule, vasant kusumakar ras aadi.
Madhumeh ke liye anya ayurvedic nuskhe - Ayurvedic remedies for diabetes in Hindi
- Neend poore 8 ghante ki le diabetes symptoms ko niyantran mein rakhne ke liye.
- Diabetes treatment chalta hai to vyayam jaroor le aur vihaar yane tehelne jaroor jaye khane ke baad.
- Panchkarma vidhi ek baar jaroor karvaye ayurvedic medicine for diabetes shuru karne ke pehle. Jadi buti ka asar aur badh jayega.
- Aahar par dhyan de aur supachya khurak ka sevan kare nimn maatra mein magar din mein 4-5 baar.
- Chintamukt rehne ke liye yoga pranayam ka abhyas jaroor shuru kare. Kaafi farak padega.
- Din mein kabhi na soye. Hamesha kuch na kuch karyo mein lage rahe. Ek hee jagah lambe samay tak baithe na rahe.
Madhumeh aur anya saath me hone vali pareshaniyo ke liye – Diabetes and associated conditions treatment in Hindi
- Khaansi ho madhumeh mein to herbal medicine for diabetes ke saath yashtimadhu aur kali mirch ki goli banaye shahad ke saath aur chooste rahe.
- Diabetes mein gathiya ho sakta hai aur jodo mein dard hota hai to ayurvedic medicine for diabetes lete ho to allopathic dawai na le aur is ka ilaj kare dasamoolarishtha ka sevan se. Jodo par dashang lep lagaye.
- Kabz ho jaye to sugar treatment ke saath ayurvedic jadi booti mein triphala ka sevan kare.
- Diabetes mein pyas jyada lagti hai to sugar ayurvedic medicines ke saath praval pishti aur guduchi ka sevan kare.
- Madhumeh mein jyada peshab hona bhi sadharan baat hai to is ke liye trivang bhasma aur jasad bhasma ka sevan kare.
- Madhumeh mein thoda bahut kam shakti kam ho jaati hai to is ke liye ashwagandha, musli aur kavach beej ke churna ko garam doodh mein daal ke sevan kare diabetes ke ayurvedic treatment ke saath.
Ayurvedic aahar madhumeh mein - Ayurveda permitted foods in Hindi
- Ayurvedic medicine for diabetes lete ho to varjit aahar na le aur ayurved me jo nirdesh diya hai vahi aahar le jaise ki haldi, amla, sahjan, hari patte vali sabji, fal (adhik meethe fal jaise ki angoor, aam na khaye).
- Dhaan mein gehu aur chaval na khaye magar kodra, jau, kulthi, jawar aur bajra khaye.
- Daal khaaye
- Sabji mein karela, lauki, hari mirch, jaroor khaye.
- Ghee, tel, chini, kanda mool, madirapan, maas, maida aur tale hue cheez, dahi na khaye diabetes ho to. Doodh ke banavat ka sevan kam rakhe.
- Jo ayurvedic treatment of diabetes kare aur supachya aahar ko apnaye to pehle jo vyakti mote hai voh samshodhana aur apataparna yane detox aur upvas kare 2-3 dino ke liye.
Yeh hai ayurved par adharit salah soochna ayurvedic sugar treatment ke liye. Prayog kare yeh ayurvedic diabetes treatment ke to jaroor fayda hoga.
शुगर (मधुमेह) के लिए योग - Yoga For Diabetes in hindi
Diabetes yane madhumeh jeevanshaili sambandhit bimari hai, na koi kitanu se hone vali bimari. Is mein niyantran rakhna behtar upay hai aur madhumeh mein yoga bahut labhdayi sabit hua hai. Yoga sampurna swasthya ka aadhaar hai. Agar yoga kare har roj to aap diabetes se bach ke rahenge aur ho gaya hai to yoga for diabetes control uttam upay hai is ke hanikaran asar se bachne ka. Yoga aur pranayam kare to madhumeh kabu mein rehta hai aur dawai ki bhi jaroorat nahin rehti hai. Jaaniye yoga for diabetes control aur banaye ise apne jeevan ka ek hissa.
Ayurved drashtikon – Ayurved view of diabetes in Hindi
- Yoga aur ayurved ka prachin kal se antarik sambandh hai kyonko dono hee sharir ke dosho ko door karne mein kaam aate hai, santulan laate hai aur tan, man aur praan ko jod dete hai. Yog ayurved ka ek bhaag hai to yoga for diabetes in Hindi mein jaaniye ki agar yoga kare to ayurvedic jeevan shaili bhi apnaye.
- Yoga for diabetes patient faydakarak hota hai kyonki yeh teeno dosho ka shaman karta hai aur saath mein ayurvedic madhumeh upay apnaye to aur bhi achcha asar hota hai.
- Ayurved aur yoga to jude hai aur ayurved ka maanna hai ki madhumeh ek prameha hai jis ka mool kapha dosh mein hai aur ayogya aahar aur jeevan shaili. Tanav bhi asar kata hai to yoga se tanav kabu mein aa jaata hai aur parinam swarup madhumeh bhi. Sirf kapha dosh hee nahin balki ayurved mein madhumeh ka mooh pitta aur vata dosha mein bhi hota hai.
- Yoga for sugar kare to saath mein satvik ayurvedic aahar le jis mein fal, sabji aur daal ho to yoga ka asar aur achcha hoga.
- Yoga for diabetes patient fayda deta hai aur saath mein pehle agar panchkarma kriya kare to yoga ka sakaratmak asar aur badh jayega.
Yoga for diabetes ke prakar - Types of yoga for diabetes in hindi
- Yoga for sugar shuru kare is ke pehle jaan ke ki kitne prakar ke yoga hai.
- Ashtanga yoga for diabetes ke prayog mein ek aasan se doosre aasan mein parivartan hota hai aur yog karne vala pranayam bhi har ek yogaasan ke saath karta hai aur yeh yog un ke liye uchit hai jin ka swasth bahut bigda nahin hai diabetes ke kaaran.
- Yoga for diabetes in Hindi jaaniye ki anusara yoga shayad aap ko uchit hoga kyonki naam ke anusar yeh yog mareez ke sharirik haalat ko dekhkar chuna jaata hai aur un ko jo saral ho vahi kare.
- Yogasan ki baat kare to hatha yoga mein vibhinn prakar ke asan uplabdh hai jin ke acharan se best yoga for diabetes yeh ho sakta hai.
- Agar yoga asanas for diabetes cure karna chahe to kripalu yoga ke baarre mein jaane kyonki is mein hota hai asan, dhyan aur pranayam jis se aap apne bheetar ko pehchan payenge aur khud hee sharir ko theek kar sakenge.
- Sivananda yoga paddhati bhi kai yoga poses for diabetes se bhara hua hai aur saath mein hota hai sahi satvik aahar, vyayam, sakaratmak soch aur pranayam.
- Yoga asanas for diabetes cure aap ko viniyoga prakar mein bhi prapt hoga kyonki is se aap apne maspeshiyo ko aur dimag kosakriya banayenge.
Yogasan ke fayde diabetes mein - Benefits of yogasan in diabetes in hindi
- Niyamit savere uthe aur pehle pranayam aur yogasan kare to pancreas granthi sakriya ho jaate hai aur sharir bhi insulin ka achchi tarah se upyog kar sakega.
- Yoga for sugar patient un ke maspeshiyo ko achchi tarah se sikud-kheench lega aur ang ang tak khoon ka bahav sahi ho jayega aur khoon mein sharkara kam ho jayega.
- Yoga for diabetes patient fayda deta hai ki vajan bhi kam hone lagta hai.
- Yoga and diabetes mein fayda yeh hai ki mansik paristhiti sudhar jaati hai aur santulan aa jaata hai.
Ab aage padhiye best yoga poses for diabetes ke baare mein.
Baba Ramdev ke yoga asan madhumeh mein karne layak - Ramdev yoga for diabetes in Hindi
- Ramdev yoga for diabetes in Hindi, shuru kare us ke pehle bhastrika pranayam kare aur fir anulom-vilom. Yeh karte samay padmasan baithak lagaye. Dono nathuno se gehra swaas le aur takat ke saath swaas fir bahar nikale.
- Ramdev yoga for diabetes in Hindi, hai mandukasan jis me vajrasan lagaye, hatho ka muththi banaye aur pet par rakhe nabhi ke upar aur fir mastishk ko jamin par lagaye aur 20 second tak yeh banaye rakhe.
- Padmasan laga ke baithe aur dahina hath apne baye hath par rakhe aur yeh dono hath baye ghutne par rakhe aur sharir ke upar ke bhag ko ek taraf mode. Fir ulta kare.
- Ramdev diabetes yoga in Hindi, mein ardha matsyendrasan lagaye jis mein jamin par baithe, pairo ko seedha aage rakhe. Dahine pair ko baye pair ke upar chadhaye aur baye hath ke upar ka bhag dahine jangh par rakhe ghutne ke paas. Gehra swas le aur chode aur 30 second tak banaye rakhe.
Yogasan diabetes ke liye - Yoga poses for diabetes in Hindi
- Setubandhasan raktchaap mein faydakarak hai, dimag ko shant kar deta hai aur pachan sakriya kar deta hai. Jamin par let jaye. Pairo ko aur kandhe-sar ko jamin par rehne de aur hatho ko lamba kar de jamin par aur fir sharir ke beech ke bhaag ko upar uthaye ghutno ko modte hue.
- Best yoga asanas for diabetes mein aasaan jo hai voh hai balaan jis mein jamin par baithe ghutno ke bal aur nitamb ko pairo tak laga de aur sharir ke upar ke bhaag ko aage ki taraf mode aur mathe ko jamin par lagaye. Baaho ko aage ki taraf lamba kar de aur jangho ko pet se sata de.
- Jamin par baithe ghutno ke bal aur pairo ke talwe upar ho, nitamb pairo se laga de, hath ko ghutno par rakhe. Yeh hai vajrasan yoga for diabetes jis se pachan sudhar jaata hai. Pranayam kare.
- Best yoga for diabetes jo thoda mushkil hai voh hai sarvangasan jo thyroid ko bhi theek karta hai. Is me jamin par let jaaye aur mathe aur kandho ko jamin se sata ke rakhe. Hatho se kamar ko pakde aur sharir ke neche ke bhaag ko hawa mein upar uthaye aur pair bilkul seedha kar de.
- Halasana yoga for diabetes patient karne ke liye jamin par let jaye, hatho ko sharir ke baju me seedha jamin par rakhe aur sharir ko utha ke pairo ko sar ke upar se jamin par mod ke laga de. Yeh kathin hai aur na ho sake to na kare. Yakrut aur spleen sahi nahin hai aur raktchaap vale rogi ke liye yeh asan uchit nahin hai.
- Yoga poses for diabetes patient kai hai aur saral hai dhanurasan jis mein pet ke bal jamin par let jaye, pairo ko mode aur hatho se pakde aur sharir ka peechla aur aage ka bhag upar uthaye. Uch raktchap, sar ka dard aur sar me dard hota hai to yeh asan for diabetes na kare.
- Chakrasan yoga for diabetes saral hai aur is se reed ki haddi ka lachilapan badh jaata hai. Jamin par let jaye aur ek pair ko mod ke sharir ki taraf laye aur hatho faila de. Upar uthaye pair ka ghutna jamin ko chuye is ka dhyan rakhe aur sar ko viparit disha mein ghumaye aur sharir ko thoda mod le. Pair aur disha ki adla badli kar ke chakrasan diabetes yogasan kare to aap relax ho jayenge.
- Paschimottasan yoga pose for diabetes patient saral hai aur is mein baith ke pairo ko lamba kare aur sharir ke upar ke bhag ko jhuka ke sar ko ghutno ke aage ke bhaag par laga de. Hatho se pairo ko pakad ke rakhe. Is se jangho ke snayu majboot hote hai aur pachan sudhar jaata hai.
- Best yogasana for diabetes jis se pancreas sakriya ho jaata hai un me se ek hai vriksha asan. Seedha khade ho jaye pairo ko jod ke aur fir dahina pair utha ke baaye jangh par rakhe. Hatheliyo ko jod de aur chati par rakhe jis me ungliya aakash ki taraf upar ho aur fir hatho ko sar ke upar uthaye aur seedha aage dekhe. 10 second tak yeh pose banaye rakhe.
Yoga asan karne se pehle dhyan de - Keep in mind before you choose any yogasan in Hindi
- Best yoga asanas for diabetes apne haalat ko dhyan me rakhte hue chune. Jo sharir mein reed ki haddi ki samasya hai, sar mein dard hai, raktchaap hai to aise me jo varjit hai voh aasan na kare.
- Har ek asan ko 20 second tak banaye rakhe aur swas aasaani se le aur nikale. Yeh kriya 5-10 baar dohraye.
- Pratah kal yoga for sugar karne se din bhar labh rehta hai.
- Yoga for diabetes karne ke baad pranayam jaroor kare to aur labh hoga.
- Khali pet yoga for diabetes control ka prayog kare.
Yeh hai diabetes yoga Hindi mein. Jaroor yogasan ki aadat daale aur ek mahine mein aap ke andar parivartan mehsoos karenge.
जाने हो सकता है टाइप 2 डायबिटीज का इलाज, पाया वैज्ञानिको ने
Adhunik chikitsa paddhati mein madhumehko do hisso mein baanta gaya hai. Ek hai type 1 diabetes aur doosra hai type 2 diabetes. Aisa kaha gaya hai ki diabetes ka koi ilaj nahin hai aur dawai se yeh sirf niyantran mein rehta hai magar aaj kal vaigyaniko ne aage itna khoj kiya hai ki allopathy mein diabetes ko mitane ke tarike bhi dhoondhe gaye hai. Aane vale samay mein yeh shakya ho ki type 1 aur type 2 diabetes ka sampurna ilaj ho sakega. Jaaniye diabetes symptoms aur kaise ilaj ho sakta hai.
Type 1 Diabetes ka ilaj in hindi
Type 1 madhumeh ke lakshan - Type 1 diabetes symptoms in Hindi
टाइप 1 मधुमेह के लक्षण - Symptoms of type 1 diabetes in Hindi
- टाइप 1 मधुमेह के लक्षण kai jai jaise ki ek to peshab jyada lagta hai jis se sharir mein dehydration ho jaata hai.
- Doosra टाइप 1 मधुमेह के लक्षण mein mareez ka vajan lagatar kam hota jaata hai jo dehydration ke kaaran aur koshika theek se kaam na karne ke kaaran hota hai.
- Type 1 sugar symptoms jo gambhir ho sakta hai aage jaake voh hai ki sharir vasa ke koshika ka nash karta hai aur is ke kaaran ketone paida hota hai. Saath mein sharir mein glucose bhi badh jaata hai aur is se ketoacidosis haalat hota hai jo jaan leva ho sakta hai.
- Type 1 sugar symptoms mein aage jaake ankhe kamjor ho jaati hai aur dil aur gurde par bhi asar hota hai. Arteries sankuchit ho jaati hai aur dil ka daura ho sakta hai aur stroke bhi ho sakta hai.
- Anya lakshan type 1 diabetes ke hai pet mein dard, saans lene mein taklif, tvacha mein aur mutrashay mein sankraman aur jyada bhookh jo khas kar ke khane ke baad badh jaata hai.
- Gambhir type 1 diabetes ke symptoms hai behoshi, saanso me falo ka boo, teji se saanse lena, vyakti ka kampan aur dimag uljha hua rehna jin haalaato mein turant doctor ke paas lejakar ilaj karvana hoga.
टाइप 1 मधुमेह के घरेलु नुस्खे - Home remedies for type 1 diabetes in Hindi
- टाइप 1 मधुमेह के घरेलु नुस्खे agar sahi dhang se kare to khoon mein sharkara ka pramaan niyantrit rehta hai aur madhumeh ke lakshan aur parinaamo se vyakti bach ke reh sakta hai.
- टाइप 1 मधुमेह के घरेलु उपाय mein mareez ko khaas aahar par dhyan rakhna hoga. Maida, chini aur tale hue cheez bilkul bandh kar de aur aahar nimn maatra mein le jis mein carbohydrate ki maatra kam ho aur khoon mein ekdum se glucose badh na jaye. Sharab, dhumrapan aur aise sabhi aadat ko bandh kar de.
- टाइप 1 मधुमेह के घरेलु उपाय mein madhumeh ke vyakti ko din bhar kuch na kuch kaam mein lage rehna uchit hai kyonki vyayam se glucose niyantran mein rahega.
- Paani bhi poorte pramaan mein peete rahe.
- Madhumeh ke mareez ko apne pairo par khas dhyan dena hoga aur ghav lage to bhi khas dhyan rakhna hoga kyonki kuch bhi ho jaye to jaldi se mitega nahin.
टाइप 1 मधुमेह के घरेलु उपाय - Home remedies to reverse type 1 diabetes in Hindi
- टाइप 1 मधुमेह के लक्षण pragat ho aur chikitsa se yeh pata chale ki yeh type 1 diabetes hai to fauran is paristhiti se bahar nikal ne ke liye ghar par hee upay kare, insulin par adharit na ho jaye.
- Doodh aur doodh ki banavat ka sevan karna hai to टाइप 1 मधुमेह के घरेलु उपाय mein aap sirf gaay ka doodh aur gaay ka ghee ka upyog kare.
- Gehu aur chaval na khaye, sirf bajra, jowar, kodra aur aise dhaan ka sevan aur daal ka sevan fal sabji ke saath kare agar type 1 diabetes ka shaman karna chaahte hai aap. Soy, makai aur aise jyada hormone ya to sharkara vale dhaan ka bhi upyog na kare.
- Khane mein tel ka uyog kare magar soyabean oil, cottonseed oil, dalda aur canola oil ka upyog na kare aur refined tel to kadapi na sevan kare.
- Fiber yukt aahar le aur khas kar ke daalo ka upyog kare aahar mein aur saath mein palak, kaddu ke beej, badam, udad ka bhi sevan kare.
- टाइप 1 मधुमेह का इलाज shuru kare to amla aur haldi ka mishran, dalchini, karele ka ras, methi daane jaise jadi booti aur khadya padarth ko rojinde khane mein shamil kare.
Adhunik diabetes ko mitane ke sanshodhan - Modern research to cure diabetes in hindi
Type 2 diabetes ka ilaj - Type 2 Diabetes Treatment in hindi
Type 2 sugar kya hai - What is type 2 diabetes in Hindi
- Jahan type 1 diabetes kam umar mein hone ki sambhavna hoti hai vahan par type 2 diabetes badhti umar mein hota hai, khas kar ke 35 ke umar ke baad.
- Type 2 sugar kya hai saval ka jawab yeh hai ki is prakar ka madhumeh ho to sharir mein pancreas granthi insulin hormone ka utpadan to karte hai magar yeh yaa to kam pramaan mein hai ya to fir sharir kisi kaaran se insulin ka upyog nahin kar paata hai.
- Type 2 diabetes ke peeche badhti umar ek kaaran hai, jyada vajan ek aur kaaran hai aur pachan kriya aur metabolism mein badlaav bhi ek aur kaaran hai. Vanshparamparagat bhi hota hai type 2 sugar ki bimari.
- Yakrut ke karya mein bhi badlav ho to type 2 diabetes ho jaata hai kyonki yakrut glucose banaye rakhta hai magar lahu me rahe pancreas mein utpann hue insulin yeh sabhi glucose ko theek tarah se upyog mein nahin le sakta hai.
टाइप 2 मधुमेह के लक्षण - Symptoms of type 2 diabetes in Hindi
iIlaj shuru kare is ke pehle टाइप 2 मधुमेह के लक्षण ko pechan lena jaroori hai aur kai baar yeh type 1 diabetes ke lakshan se milte jhulte hai.
- Type 2 sugar symptoms mein to pehle jaaniye ki diabetes halka hai to mareez bilkul agyan rehta hai aur nazar andaz karta hai madhumeh ke lakshan ko jaise ki pyas jyada lagna.
- Magar pyas lagne ke saath peshab bhi badh jaye aur fir chidchidapan bh aa jaaye to sajaag ho jaye kyonki yeh टाइप 2 मधुमेह के लक्षण ho sakte hai.
- Saath mein pair aur hath sunn ho jaaye ya tilmilane lage thakaan bhi lagne lage to yeh टाइप 2 मधुमेह के लक्षण mein se hai.
- Agar ghav ho jaye aur mite nahin aur sankraman bhi jaldi se mite nahin to avashya type 2 sugar symptoms hai yeh maan ke chikitsa karvaye aur fir टाइप 2 मधुमेह का इलाज shuru kare taaki aage jaake paristhiti gambhir na ho jaaye.
टाइप 2 मधुमेह का इलाज - treatment of type 2 diabetes in Hindi
- Adhunik vigyan mein madhumeh ke liye aisa koi dawai nahin hai jis se yeh rog mit jaaye. Is baare mein sanshodhan abhi jaari hai. Jab tak aisa ho tab tak टाइप 2 मधुमेह का इलाज ghar par gharelu nuskhe aur savdhani rakh ke karna hoga.
- Aahar par niyantran rakhe, din mein 4-5 baare khaye thodi maatra mein taaki type 2 sugar levels bilkul teji se badh na jaye khoon mein.
- Niyamit vyayam karna jaroori hai type 2 diabetes mein aur is se blood sugar niyantran mein rahega.
- Doctor ko theek lage to insulin ki goli ya injection lene ka salah dega aur niyamit roop se blood test bhi karvana hota hai.
- Type 2 sugar diabetes diet in Hindi mein jaaniye ki maida, chini, tale hue aahar, masaledar aahar aur jyada maatra mein bhojan na kare ek samay par. Aahar mein fal, sabji, sabut anaj aur daal ka upyog kare. Gehu aur chaval na khaye magar bajra, kodra aur jowar ka upyog kare to diabetes niyantran mein rahega.
टाइप 2 मधुमेह के घरेलु नुस्खे - Type 2 diabetes home remedies in Hindi
- Kyonki dawai jaise ki metformin lene se yakrut ko nuksan ho sakta hai vahan par टाइप 2 मधुमेह के घरेलु नुस्खे asarkarak hote hai jaise ki savere uth ke karela aur lauki ka ras peena. Neem ke patte ka ras bhi blood sugar maatra kam karne mein sahayak hai.
- Madhumeh mein kadva swad vale jadi buti aur aahar uchit rehte hai jaise ki kirayta ka ubla hua paani khali pet lena aur methi dane bhigo ke rakhe raat bhar aur savere uth ke kha le jo टाइप 2 मधुमेह के लक्षण ko kam karne mein sahayak hai.
- टाइप 2 मधुमेह के घरेलु नुस्खे mein har roj jambul ke beej ka churna ka sevan kare jo pani mein ek chamach mila ke ghol kar ke din mein 2 baar le.
- Kyonki type 2 diabetes mein sugar atishay jyaada bhi ho sakta hai aur atishay kam bhi ho jaa sakta hai to dono ke lakshan pehchane aur agar sugar kam ho gaya hai aisa lage to fruit juice ya koi bhi meethi cheez kha le.
- Dhyan mein rakhe ki doctori ilaj chal raha hai aur goli lete hai blood sugar ke liye aur saath mein gharelu nuskhe bhi apnaye to blood sugar bahut kam ho jaa sakta hai to salah anusar yeh टाइप 2 मधुमेह के घरेलु उपाय ka prayog kare.
- Aadhunik rasaynik sanshodhan se type 2 diabetes mit sakta hai – Modern research shows diabetes can be cured
- Vaigyaniko ne yeh shodh kiya hai ki yakrut mein LMTP naamak protein enzyme ke kaaran insulin ka upyog nahin ho sakta hai isiliye ek aisi dawai banaye hai jo LMTP ke asar par rok laga de aur diabetes mit jaye.
- Ek sanshodhan mein yeh paaya gaya hai ki lorcaserin dawai jo charbi kam karne ke upyog mein lete hai yeh dawai dimag mein utpann hone vali hormone POMC par rok laga deta hai jis se blood sugar niyantran mein rehta hai.
- Doctoro ne prayog kiya hai ki insulin utpann karne vale koshika ko ek mareez ke pet ke charbiyukt reshe mein dakhil kiya jis se diabetes niyantran mein aa gaya.
- Aise bhi dawai banaye jane vale hai jis ka ek baar sevan kare to asar hafto tak rehta hai type 2 diabetes ke niyantran mein.
- Kai vaigyanik aur doctor ka maanna hai ki vajan niyantran mein rakhe aur jeevan shaili sudhare to type 2 diabetes bilkul niyantran mein aa jaata hai.
टाइप 1 और टाइप 2 डायबिटीज में क्या है अंतर -= Difference between type 1 and type 2 diabetes in Hindi
- टाइप 2 मधुमेह के लक्षण aur type 1 madhumeh ke lakshan kai baar kaafi milte julte hai to in done ke beech mein antar pehchanna mushkil ho jaata hai.
- Type 1 madhumeh mein pratikarak pranali pancreas ke koshika ka nash karti hai aur insulin paida nahin hota hai jis se vyakti ko insulin lena padta hai.
- Type 1 madhumeh jyadatar jawano mein paaya jaata hai.
- Type 2 madhumeh badhti umar aur ayogya aahar aur jeevan shaili se hota hai. Type 2 diabetes mein pancreas mein insulin ka utpadan hota hai magar sharir yeh insulin ka upyog nahin kar paata hai. Aage jaake pancreas bhi nishkriya ho jaa sakte hai.
- Type 1 diabetes ke lakshan bachpan se dikhai dete hai aur hypoglycemia jyadatar ho jaata hai aur type 1 diabetes ko rokna namumkin hai.
- Type 2 diabetes ke lakshan khas ubhar nahin aate hai aur chikitsa par hee pata chalta hai. Khas kar ke is mein hypoglycemia (kam sugar) nahin hota hai, jyadatar hyperglycemia (jyada sugar khoon mein) hota hai. Agar vyakti sahi dhyan rakhe to type2 diabetes se bach sakta hai.
- Dono ke khatre ek jaise hai ki dil, gurde, yakrut aur aankho par gehra prabhav hota hai.
Yeh hai diabetes ke baare mein jaankari. Yeh ek “silent killer” hai isiliyesamaysar jagrut ho jaye aur ilaj kare to is ke khatre se bach sakenge aur sahi ilaj kare type 2 ya type 1 diabetes ka to yeh mit bhi sakta hai.
मधुमेह व डायबिटीज़ में यह खाद्य पदार्थ भी उपयोगी होते है
TAGS:#Diabetes Ayurvedic Treatment, Remedies in Hindi #Diabetic Diet Tips Hindi #Foods to Eat in Diabetes in Hindi #Natural Remedies for Diabetes in Hindi #blood sugar treatment in ayurveda in hindi #diabetes treatment at home in hindi #type 2 diabetes treatment #diabetes diet in hindi #what is diabetes in hindi #sugar ki desi dawa in hindi #sugar bimari ke lakshan
tanu, Jul 15, 2017
agar kisi ka sugar level kam hai to kya usko bhi hum ye kah sakte hai ki us person ko diabetes hai