अच्छे स्वास्थ्य लाभ के लिये सोंठ या सूखी अदरक - Sonth or Dry Ginger Powder Benefits For Health in Hindi

अच्छे

Sontipodi/Dry Ginger powder benefits in Hindi : Adrak anokha hai. Yeh har roj apne khaane mein upyog hota hai aur adrak ke swasth gun bhi anek hai. Aahar aushadh hai kahe to yeh adrak ko laagu padta hai. Ab jane ginger powder meaning in hindi or how to make sonth or yeh bhi keh sakte hai what is sonth, Aam taur par taaja adrak ka upyog hota hai aur jab ise sukha dete hai aur is ka powder banaya jaata hai to yeh hai soonth ya dry ginger. how to dry ginger in hindi mein eska utter yeh hai ki adrek ko khule mein kuch dino tek ager rakh dein to bhi adrek sookh jata hai yeh khane mein bhi upyog hota hai aur aushadh ke roop mein bhi. Jaaniye soonth ke gun aur soonth ke upyog aur uthaye is ke fayde.

Sonth Khane ke Fayde - सोंठ खाने के फायदे - Benefits of Ginger/Sonth

  • Danton aur Masooron ke dard mein aram dilata hai.
  • Bukhar mein bhi rahet pradaan kare.
  • Hichki mein aram dilae.
  • Pet ka dard theek kare.
  • Pesliyon mein hone wale dard ko theek kare.
  • Gathiye ke rog mein aram dilaye.
  • Sardi khasi mein aram dilaye.
  • Bukhar utare aur bookh barae.
  • Diarrehea ka ilaj kare.
  • Kabz ki shikayet door kare.
  • Migrain mein rahet dilaye.

सोठ के गुण - Sonth/sonti Podi ke Gun - Benefits of Dry Ginger in Hindi

Ginger health benefits in hindi: Ginger benefits humare shareer ke lie bahut upyogi hote hai .Soonth mein kai aise tatva hai jis se fayda hota hai. To ab jane what are the benefits of ginger in hindi:

  • Yeh tatva hai gingerols, cancer se bachane vale shagaols, zingerone, galanal aur paradol.
  • Ginger plant mein antioxidants hote hai.
  • Sonth (सोंठ पाउडर) anti-inflammatory hai yaane ki soojhan mein fayda deta hai aur arthritis ke mareez ke liye behad labhkari hai.
  • Sonth me rahe terpenoid cancer se suraksha dete hai.
  • Is mein rahe paradol, shagaol, zingerone aur gingerol anti-viral aur anti-bacterial hai.
  • Diabetes ke mareez bhi agar soonth ka sevan kare to blood sugar control mein rehta hai. Soonth me rahe tatva central nervous system ke gyantatu ko bhi surakshit rakhte hai.
  • Sonth ke sevan se pet mein ulcer nahin hota hai aur gastritis mein yeh labh deta hai. Aise aur bhi soonth ke fayde hai jo aage jaaniye.

Sonth ke Gharelu Upay in Hindi - Dry Ginger Health Benefits In Hindi

Health Benefits of Sonth in Hindi: Yahan apko Sonth Ke Desi Nuskhe or what are the health benefits of ginger in hindi mein eska utter milega :

  • Agar dast ho jaaye to sonth ka desi nuskha hai ki aap garam paani mein sonth or dried ginger root, kala namak aur gud ubale aur har ek ghante yeh paani peete rahe to dast bandh ho jayenge. 
  • Sonth pachak ke liye shresth gharelu upay hai. Sonth ka gharelu nuskha hai ki sonth, kala namak powder, hing aur ajwain ka choora khaye to pet me gas ke karan dard ka shaman hoga aur gas bhi kam ho jaayega. 
  • Soth ka fayda paane ke liye shardiyo mein avashya upyog kare. Sonth ko gud aur ghee ke saath mila ke goli bana ke chooste rahe to sharir mein garmi utpann hoga. 
  • Agar hichki aati hai to soonth ka desi prayog is prakar kare. Sonth ko gud ke saath mila ke chaate aur hichki bandh ho jayegi.  Ya to doodh mein mila ke piye to hichki se chutkara milega. 
  • Sonth ka upyog sardi, jukham aur khansi mein bhi kiya jaa sakta hai. Sonth, shahad, kala mirch, yashtimadhu powder ko mila ke goli bana ke chooste rahiye. 
  • Jinhe dama ki bimari hai voh soonth ka gharelu prayog is prakar kare. Sonth ko desi ghee mein mila ke chaate. Sath mein thodasa kala mirch powder bhi milaye. 
  • Sonth ke fayde kai hai. Agar saans badbudar ho to sonth ko garam pani mein mila ke garare kare. Sonth powder daanth aur masudho par ghise haldi mila ke. 
  • Dry ginger benefit kaano ke taklif mein bhi istemal hota hai. Dry ginger powder paani mein milaye aur do teen boond kaan mein daale to dard ka shaman hoga. 
  • Dry ginger fayde aur bhi hai jaise ki gale me kharash ho to yashtimadhu aur shahad ke saath mila ke chaate. 
  • Bhook na lagti ho to khaane ke adhe ghante pehle soonth powder, kala mirch aur sendha nimak ko chaate. 
  • Dry ginger detox mein bhi istemal hota hai. Paani mein daal ke ubale aur nimbu ka ras, shahad aur kala mirch mila ke khaali pet le to pet saf hoga, vish nikal jayega aur sharir halka hoga. 
  • Dry ginger gathiya rog mein bhi fayda karak hai. Hamesha savere uth ke garam pani mein soonth powder, nimbu ka ras aur haldi mila ke piye. Sarson ke tel mein sonth powder daal ke garam kare aur yeh jodo par lep kare. 
  • Jinhe diabetes hai unhe har roj savere sonth ka sevan karna chahiye. Green tea aur soonth ke sevan se blood sugar niyantran mein rahega. 
  • Mandagni mein sooth aur shahad khane se fayda hota hai aur pachan majboot hota hai. 
  • Gastritis mein savere aap sonth aur shahad ka sevan kare. 
  • Benefits of dry ginger for weight loss in hindi: Ab hum sonth powder benefits for weight loss in hindi mein parege ki ager aap cholesterol se peedit hai to sonth khaaye savere aur din me sabji aur aahar mein sonth ka poora upyog karte rahe. Aisa kerne se dry ginger powder weight loss bhi karega.
  • Chakkar aata hai, ulti hota hai, kamjori mehsoos hota hai to sonth powder, gud aur desi ghee mila ke chaate. Garbhvati mahila sonth ko tel mein mila ke hatheli par laga ke soonghe to ulti aate ho to bandh ho jayenge. 
  • Aam taur par mahavri ke samay agar pareshaniya rehti hai to is dauran sooth ka thodasa adhiktar prayog kare. 
  • Bache ko janam dene ke baad maata ko sonth, shatavri aur safed musli ka churna gond aur ghee aur gud ke sath khilane se takat aata hai aur doodh badhta hai. 
  • Gurde ki pathri se pareshan ho to dard kam karne ke liye sooth aur paani ubal ke piye ya to muli ke ras ke saath piye. 
  • Sonth ke fayde anginat hai aur bilkul swasth insan bhi ise le to use cancer se suraksha milti hai. 
  • Sonth benefits dil ke liye bhi hai. Har roj adrak ke sevan se dil majboot bana rehta hai aur blood pressure bhi niyantran mein rehta hai. 
  • Kamar mein dard hota hai to soonth ko paani me daal ke ubale aur maatra adhra hone par is mein ek chamach aerandi ka tel milaye aur yeh kaadha ek chamach har roj peete rahiye. 
  • Sonth ka upyog aankho me dard ho to kiya jaata hai. Neem ke patte ko pees ke kapde mein bandh ke aankho ke upar patti bandh de.
  • Adhshishi migraine sonth ke upyog se door hota hai. Bas chandan ko paani ke saath ghise aur sonth powder mila ke sar par lep kar de. 
  • Kai logo ko lakva ka asar ho jaata hai. Sonth lakva ke asar mein fayda deta hai. Sonth, jigri aur garam masoor ki daal mila ke khaane se jaldi recovery aata hai. Lakva asargrast bhaag par lehsun, sonth aur pani ka paste bana ke lep kare.
  • Benefits of ginger juice bhi humare shreer ke lie bahut hote hai yeh antiinflammatory hota hai, cancer theek kare, khoon ko patla ker blood pressure ko jladi se kam ker de, Her tarike ke dard ko kam kare, Cholestrol kam kare, purane jamane se ginger juice ko cold, nausea, flu ko theek karne mein upyog kiya jata hai.

Abhi apne sonth powder benefits in hindi mein jane enko zaroor estemaal kare apko fayda hoga. Ab aap dried ginger tea ke fayde kya hai uske bare mein janege.

Dried Ginger Tea Benefits in Hindi - अदरक की चाय के फायदे

  • Matli se aram pahunchae.
  • Ginger tea digestion ko behter banatee hai.
  • Adrek mein jalan ko kam kerne ke gun pae jate hai,
  • Sans lene sambandhee samaya se nijaat dilae.
  • Ginger tea blood circulation ko behter banatee hai.
  • Masik dharam ki pareshani se aram dilatee hai. Ek toliye ko garam adrk ki chai mein bhigo ker lower abdomen per lagae esse dard se nijat milega aur muscles relax honge sath mein honey ke Ginger tea ka sewan kare.
  • Adrek ki chai immunity bhi strong kertee hai.

Sonth ke Nuksan aur Dhyan Rakhne Wali Baate - Ginger Benefits and Side Effects in Hindi

  • Side effects of sonth powder in hindi : Side effects of ginger bhi apko pata hona chahie. Sonth bahut tikha hota hai. Jyaada khane par soonth se nuksan hota hai ki jalan hota hai pet me. Din me 5 gram se jyada dry ginger ka sevan na kare. 
  • Garbhvati mahila ko jyada se jyada 2 gram sonth powder lena chahiye. 
  • Chote bachcho jo 2 saal se kam hai unhe sonth na de.
  • Kai davai ke saath interaction ho sakta hai to agar dawai lete ho to doctor ka salah bhi le.
  • Ginger cultivation gher pe bhi asani se ki ja sakti hai bas adrek ki jad or ginger root ko mitti mein daba do ginger plant or ginger plant flower bahut easily nikal aega.

Yeh hai sonth ke fayde, gun aur desi nuskhe uyog kare. Sonth ko aap honey ke sath mila ker ya sonth laddu bana ker bhi kha sakte hai. Ghar me hamesha sonth ka powder rakhe. Kabhi bhi kaam aayega.

TAGS:#benefits of ginger root  or eating ginger dry #ginger juice benefits #ginger in hindi #benefits of eating ginger in hindi #dry ginger sonth powder for weight loss in hindi #sonth in english #dry ginger powder in hindi #dried ginger powder #benefits of dry ginger powder with honey in hindi #benefits of dry ginger for weight loss #ginger powder benefits for skin in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

1 Comments

सुरेंदर जाट, Aug 28, 2017

मैं रोज थोड़ा सा अद्रक नमक के साथ ख़ाता हूँ लेकिन बिना नमक के साथ नहीं खा सकता मैं ये जाना चाहता हूँ की किया नमक के साथ इसकी पावर ख़त्म तो नहीं हो जाती है