जाने त्वचा की देखभाल के असरदार व आसान टिप्स - Skin Care Tips in Hindi

जाने

Twacha ki dekhbhal in hindi, beauty tips in hindi​ ( त्वचा की देखभाल के असरदार व आसान टिप्स): Tvacha unique hai. Tvacha jeevant hai aur sharir ki sabse badi granthi hai jo sharir ke andar ke bhag ko achchi tarah dhak ke surakshit rakhta hai. Sharir me se toxins tvacha dwara nikhal jaate hai aur paseena ho ke sharir thanda bhi rehta hai. Tvacha ka yeh to nature me kam nahin hai ki vyakti ko khubsurat banaye rakhe magar function se jyada form ko mahatva dete hai log aur is me baat yeh hai ki tvacha ka sundar lagna jyada mahatvapurna ban gaya hai. Jis taraf hawa jaye is taraf mude aur samaj me acceptable hone ke liye (aur khud ko khush rakhe, self confidence badhane ke liye) tvacha ki sahi dekhbhal karte rahe. Yahan par prastut hai beauty tips in hindi, tvacha ki dekhbhal ke aasaan aur asardar tips jo saral bhi hai aur kifayti bhi. 

त्वचा की देखभाल कैसे करें - Skin Care Tips in Hindi at Home

Baby Skin Pae

Chote bachche ko dekho. Us ki tvacha kitni nazuk, mulayam aur komal hai. Umar badhne par tvacha me bhi badlav aata hai. Agar aap chahe to yeh tvacha ki nazakat banaye rakh sakte hai dekhbal kar ke. 

Skin ki Roz ke Dekbhal ke Steps

Aaj ke busy life me chehre aur sharir ki dekhbhal karne ke liye samay nikalna mushkil hai kyonki is me kai steps hai jo follow karne hai jaise ki: 

  • Cleansing
  • Exfoliation
  • Moisturizing
  • Toning
  • Nourishing
  • Preventive

Cleansing Kare

Tvacha aur khas kar ke chehre par tvacha par hawa me udta dhool jam jaata hai aur tvacha me se nikalte tel ke sath mil ke dirt ka layer ban jaata hai jo tvacha ko bejaan bana deta hai. Har roj tvacha ke koshika ka nash hota hai aur yeh bhi agar saf na kare to tvacha bejaan ho jaati hai. Tvacha ke samasya bhi khadi hoti hai. 

  • Tvacha ko hamesha har roj saaf kare. 
  • Din me teen baar chehra dhoye. Sabun se dhona jaroori nahin hai. 
  • Raat ko to khas tvacha ki dekhbhal me cleansing karna chahiye. Hafte me 2-3 baar steaming karte jaye aur rui se pochte rahe to dirt ke sath dead skin cells nikal jayenge. 
  • Skin cleansing ke liye anya samagri ka bhi upyog ho sakta hai. Deep pore cleansing milk aur aise cosmetics milte hai. Gharelu samagri me namak aur nimbu ka ras, namak-nariyal tel, chini-nimbu, chini-nariyal tel, coffee powder aur besan se home made cleansar banaye aur use kare. 
  • Tvacha saf aur bedag rakhne ke liye fruit cleansers ka istemal karna behad faydakarak hai. Is me aap ananas, papita, tamatar, strawberry, angur, santra, seb ka upyog avashya kare. 
  • Cleansing me neem ka ras, sabji ka pani jaise samagri ka upyog kare. 

Moisturizing Kare

Cleansing karne se tvacha saaf to ho jati hai magar sukh bhi jaa sakta hai. Isiliye good skin care practice me hamesha cleansing ke bad hamesha moisturize kare. Raat ko avashya tvacha ko moisturize kare. Moisturizer me natural products me shahad uttam hai. Dry skin ho to nariyal tel aur shahad ka mishran lagaye. Moisturizing home made face pack banana chahe to aloevera, dahi, shahad jaise samagri ka upyog kare. 

Nourishing Kare

Tvacha ki dekhbhal me poshan bhi mahatvapurna baat hai. Poshan aahar dwara tvacha tak pahunchti hai aur koshika ke nirman me aur unke swasth ka kaam karti hai. Isiliye aahar me hare sabji, fal, nuts protein aur fiber ka upyog hona chahiye. Khas to Vitamin B, K, A aur E milne chahiye jo fruits, vegetables aur nuts se mil jayenge. Jo khaye vohi chehre par lagaye yeh principle par chale aur chehre ke tvacha ko poshan yane nourishment dene ke liye home made nourishing face packs banaye. Is me aap upyog kar sakte hai aloe vera, egg, avocado, badam, chironjee, malai aur anya fal aur sabji ka. 

Toning Kare

Hafte me tvacha ki dekhbhal karne mein toning masks ka aur facials ka avashya upyog kare. Season ke mutabik aur tvacha kis prakar ka hai us par adharit gharelu home made toning facial masks ka upyog kare. Toning mask se rang nikharta hai, jhurriya control me rehti hai aur tvacha jaandar ban jaata hai. Fruity facial masks me papita, ananas, kela uttam hai. Sabjiyo me kakdi se bana mask thandak deta hai aur teli tvacha ke liye bahut achcha astringent kaam karta hai. Haldi, chandan, besan aur dahi ya doodh ka mishran shresht hai. Is ka gun aur badhaye is me aloe vera, ande, nariyal tel mila ke. Multani mitti ko base banaye aur is me anya samagri milaye. Shahad, anda aur nimbu ka ras multani mitti me milaye to toning ke sath nourishing face mask taiyar ho gaya. Adbhut toning karna hai to chocolate aur coffee ka istemal kare. Shahi rangat ke liye kesar doodh aur badam ka paste istemal kare. 

अन्य ध्यान मे रखने जैसे बाते

  • Cleansing, toning, nourishing aur moisturizing regular hona chahiye yane ki hafte me teen din to sahi. Cleansing har roj karna uchit hai aur moisturizing bhi, khas kar ke sardiyo me. 
  • Preventive measures me chehre ki tvacha ko dhoop ke tej kirano se bacha ke rakhe. Dhak ke rakhe chehre ko aur sunscreen use kare jab bhi bahar jaye. 
  • Chehre ko din me teen bar to pani se dhoye. 
  • Aise aahar na le jis ka asar tvacha par ho jaise junk food, fried food, spicy food, coffee, cola foods. 
  • Chehre ko har roj raat ko maalish avashya kare. 
  • Vyayam kare aur poore 8 ghante ki neend le. 
  • Tanav se bach ke rahe. 
  • Chehre par hamesha chotasa muskan rakhe. Aise vichar dimag me rakhe ki muskan aaye. 

Aaj se tvacha ki dekhbhal karne ka shuru kare yeh tvacha dekhbal tips in Hindi ke jariye.  Lambi umar tak jawan dikhenge en beauty tips in hindi mein batain gae hai enka upyog karke.

TAGS: #त्वचा की देखभाल कैसे करें #skin care at home in hindi #oily skin care tips at home in hindi #soft skin tips at home in hindi #skin care tips at home in hindi #home skin care tips in hindi #skin care home tips in hindi #men's skin care tips home in hindi #skin home tips in hindi #beauty tips for face

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Sudama , Nov 10, 2017

Meri tavcha bahut hi kala aur rukha hai jis wajah se dikhne mai bahut hi bura lagta hai please aap mujhe koi tips batayen jisse main inko mosturise kar sakun. please help me

Reena Chadda , Nov 07, 2017

Mere face par bahut sare daag dhabe hain please aap mujhe koi tips bata sakte hain main isko kaise dur kar sakti hun aur chamakdaar tavcha pa sakti hun?