होली के रंगों से करें त्वचा एंव बालों की देखभाल

होली

Skin and hair care tips for this holi in hindi (होली के रंगों से करें त्वचा एंव बालों की देखभाल) : Holi ka tyohar ek aisa hai ki man me aur ungliyo me khujli hone lagti hai ki yeh din kab aaye aur hum nikal pade dosto ko rangne ke liye. Ek baaju aise bhi log hai jinhe rang karna ya color ho jaana bilkul pasand nahin hai kyon ki holi me synthetic aur fast colors ka upyog hota hai jise dhone me bahut pareshani hoti hai aur tvacha lal lal hota hai aur nuksan hota hai. 

Yeh farmaish hai ki aap holi jaroor khele, jee bhar ke khele magar jimmedari ke sath aur organic, vegetable based colours ka upyog kare. Aap khud kam pareshan honge aur doosre bhi kam pareshan honge. Kya aap jante hai ki yeh synthetic dyes skin cancer aur anya cancer ka mool ban sakti hai? 

Khair, Holi khelna hai to yeh bhi dhyan rakhna hai ki aap ke tvacha ko kaise kam nuksan ho aur kaise jaldi se jaldi aap rang ko dho de. Jaaniye holi me baalo ki dekhbhal aur holi me tvacha ka dhyan kaise rakhe.

Holi me Tvacha ki Dekhbhal

Buzurgo ne kaha hai prevention is better than cure. Rang kaise nikale us se to behtar hai ki tvacha par rang ka asar kam ho voh kaise ho is ka khayal rakhe. Yeh tips hai holi me tvacha ki dekhbhal ke liye. Yeh holi skin care tips try kare: 

  • Sab se saral upay hai ki aap elbow length gloves pehne. Haatho ke tvacha ko surakshit rakhne ke liye yeh behtar upay hai. 
  • Baarish me pehen ne ke liye plastic jacket milta hai. Us ko pehen le aur holi khele to sharir ke upar ke bhag par rang nahin lagega. 
  • Chehre ko dhak de. Yeh shayad mumkin nahin hai. Koi baat nahin. Chehre par sarson ka tel ya aerandi ka tel achchi tarah se laga le to water based rang chipkenge nahin. 
  • Chehre par aur haatho par fevicol lagaye aur sukhne de. Yeh ek patla plastic film ban jayega aur paani me ghisne se baad me nikal jayega. 
  • PVA (polyvinyl alcohol) gum powder milta hai jo garam pani me pighlaue aur chehre par lagaye to ek film ban jaata hai tvacha par. Holi ke rang tvacha ke andar nahin utrenge. Yeh water soluble hota hai aur baad me ghis ke nikala jaa sakta hai. 
  • Silicone mould release spray milta hai. Silicone ek aisa material hai jo water repellent hota hai. Balo me aur tvacha par aur hatho par spray kare to thoda bahut protection milta hai. 

Baalo ki baat aayi to janiye kaise balo ki dekhbhal kare holi mein. 

Holi me Baalo ki Dekhbhal aur Suraksha

Holi me color powder aur color water ka upyog hota hai. Balo me gaye to taklif hota hai inhe nikalne me. Yeh holi hair care tips follow kare. 

  • Sab se aasan tarika hai ki aap balo par swimming cap laga de. Is me rubber band hota hai aur upar se polythene to na powder na paani ke rang kuch bhi baalo me ya balo ke jado me nahin jaa sakenge. 
  • Balo me tel jaroor laga sakte hai aur yeh water color ko repel karega magar kisi ne powder chidak diya to oil se aur chipak jayenge aur fir balo ko dhona mushkil hota hai isiliye kisi prakar ka plastic cap lagaye aur strap vala cap ho to aur bhi achcha, masti me nikal nahin jayega. 
  • Kai logo ne sujhav diya hai ki wax ko pighla kar balo ke upar lagaya jaye. Try kar ke dekhe. Baad me kaise nikalenge pehle yeh soch le. 
  • Holi me balo ki suraksha ke liye ek din pehle baal dho de. Gandki na ho to rang lagne par dhone me dikkat nahin hoti hai. 
  • Balo ko fine kanghi se kanghi kare aur bilkul tight bandh ke rakhe taaki powder aur paani balo ke jado tak pahunch na paye. Aisa karne ke baad upar water repellent spray laga le. 
  • Bilkul sampurna suraksha ke liye holi ke din ghar ke bahar na nikle aur holi na khele.  Aise jagah par vacation ke liye jaye jahan holi na khelte ho.

सम्बंधित जानकारी

Holi me maje bhi le aur surakshit bhi rahe. Yeh holi skin care tips aur holi hair care tips dhyan me rakhe.

TAGS:#skin care tips for holi in hindi #beauty tips for holi in hindi #skin and hair care tips for holi in hindi #holi precautions in hindi #holi safety tips in hindi #hair care tips for holi in hindi #twacha ki dekhbhal in hindi #होली में बालों की देखभाल #होली में त्वचा की देखभाल

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Meena Sehgal, Mar 05, 2018

Holi khelne ke baad mere baal bahut hi jaayeda rukhe ho gaye hain jabki maine holi khelne se pehle sir mai bahut saara tel bhi laga rakha tha taaki jaldi rang nikal jaaye par 3 din tak color hi nikalata raha aur saath hi ab mera baal bahut hi jaayda rukhe rukhe sa lag rahe hain please isko moisturize karne ke tips in hindi batao

Suman Jha, Mar 01, 2018

अगर आपने लिक्विड रंगों से होली खेली है तो गर्म की जगह ठंडे पानी से नहाएं इससे रंग आपके पोर्स में नहीं घुसेगा और जल्दी हट जाएगा|