इन तरीक़ो से करे सिरदर्द का घरेलू अचूक इलाज

इन

Sir dard ka gharelu ilaj : Tension badh jaaye kaam ke bojh se ya pressure se to svabhavik hai ki sir mein dard ho jaaye. Sardard hota hai jab insaan ko kabz hota hai. Poore din adhik kaam karne se, computer ke saamne baithe rehne se, eye strain se, jhuke hue gardan se aur jyada samay dhoop mein bitane se bhi sardard se pareshan ho sakte hai. Aise aap dekhe to alag alag kaaran se sar dard ho sakta hai. In ke liye alag dawaia le sakte hai agar aap ko jaankari hai ki yeh kabz ke karan hai, eye strain se ya dhoop ke asar se. Magar yahan par bataye gaye gharelu upayo se ek minute mein door ho jaayega sar dard.

Gharelu Nuskhe Se Kare Sir Dard Ka Ilaj :

Acupressure Ke Kuch Point Se Kare Sirdard Gayab

  • Angutha aur tarjani ungli ke beech ke hisse ko maalish kare.
  • Aaur do ungliyo ke beech mein dabate rahe.
  • Dono haatho mein yeh kriya thode samay tak karte rahe aankhe bandh kar ke.
  • Sar dard ho jayega gayab.

Laung Ka Desi Ilaj Sir Dard Ko Kaise Gayab Karta Hai

  • Laung ke tel ka ek boond le.
  • Isme kisi bhi tel ke ek chamach mein mila de.
  • Aur forehead par aur kaano ke peeche lagaye.
  • Kaano ki booti par bhi lagaye aur thodi der tak booti ko dabate rahe.
  • Laung ka tel na hone par thodese laung ko halka sek de.
  • Aur roomal mein baandh kar gehri saans leke ise soonghte rahe.
  • Sir dard mein turant aaram milega

Paani Ko Shi Tarike Se Piye

  • Dehydration se bhi hota hai sar dard.
  • Body ke inner core temperature ke badhne se bhi taklif hota hai.
  • Dono ka samadhaan hai paani.
  • Thande paani ko chuski bharte hue 2 glass tak pee jaaye.
  • Bechain aur pareshan ho aur sar mein pressure jaisa lagta hai to halka garam paani se nahaye
  • Aur paani ki dhaar ko sar par girne de.

Green Tea Pine Ke Fayde

Tea mein tannin aur aise polypheno hai jo relaxant hai aur anti-anxiolitics hai yaane ki tanav ko kam karne vaale tatva.

  • Green tea ko aur tulsi ke patto ko aur adrak ke paste bna le.
  • Isko ubalte hue paani mein daale.
  • Aur gas bandh kar ke 10 minute tak dhak ke rakhe.
  • Chaan ke shahad mila ke ek chutki kaali mirch powder daal ke yeh chai piye.

Nimbu Main Chipa Hai Sir Dard Ka ilaj

Nimbu ke chilke mein jo essential oil hai voh sardard ke liye aksir upay hai.

Nimbu ko nakhun se scratch kare aur soonghte rahe.

Is ko aapne maathe par bhi ghis de.

Nimbu ki chaye pine se bhi sir ka dard me jaldi aaram milta hai.

Seb Kitna Laabhkari Hai Sir Dard Main

  • Seb ke slice kaate.
  • Nimbu ko ghise in kate tukde par
  • Aur phir namak chidak ke enjoy kare.
  • Sardard kahan gaya voh pata hi nahin chalega.
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Hira Lal, Feb 09, 2018

Sir dard ke gharelu ilaj bataiye/

mintii, Jan 01, 2017

apke nuskhon se mera sir dard pehle se theek ho raha hai