Shilajit benefits in hindi: Shilajit ek adbhut aur rahasyamay ayurvedic aushadh hai. Shilajit ka matlab hota hai chattano ko jeetne wala yaane ki is ke khaane se manushya ko apurva takat aati hai. Shilajit ka rahasya yeh hai ki yeh chattano se ugalta hai. Kail logo ka maanna hai ki shilajit ek khanij padarth hai. Magar aisa bhi dekha gaya hai ki jahan se shilajit nikalta hai un chattano ke pass me ek cactus ugta hai, Euphorbia royleana, jo shilajit ka mool ho sakta hai. Shilajit ki visheshta yeh hai ki is me khanij padarth bhi hai aur saath me vitamins aur amino acids. Yeh khas kar ke Himalay ke pahadi ilake me paaya jaata hai aur kala shilajit ko uttam maana jaata hai. Kyon ki shilajit ek doosre padarth, ozokerite, se milta julta hai to bazar me kaafi nakli shilajit bhi milta hai jis me asli shilajit ke gun nahin hote hai. Shilajit par vaigyanic research kiya gaya hai aur kai vaigyaniko ne yeh dikhaya hai ki shilajit ke kuch itne karamati asar nahin hai jab ki kai vaigyaniko ne is ke gun ka vishleshan kiya hai. Jaaniye shilajit ke fayde hindi me aur shilajit side effects.
शिलाजीत के फायदे - Shilajit Health Benefits in hindi
- Shilajit napunsakta khatam kare aur swapandosh ko door kare.
- Immunity badata hai.
- Mahilon mein irregular periods ki problem ko theek kare.
- Sex power badhae.
- Twacha ko sunder aur jawan rakhe.
- Sharir mein energy ko badaye.
- Sir dard khatam kerne mein karger hai.
- Youn iksha me vridhdhi kare.
- Dil ke liye hai faydemand.
- Twacha rogon se bachata hai.
- Madhumeh ko thik kare.
- Diabetes mai bhi kaafi asardaar hai.
- Blood pressure mai bhi faydemand hai.
- Mahilaon mein sharir ki sujan door kare.
Shilajit Me Tatva - शिलाजीत की पहचान
Shilajit ki pehchan in Hindi aap padh rahe hai jis me ab jaane ki is ke andar kaunse tatva hai:
- Fulvic acid aur Humic acid
- Di-benzo-alpha-pyrone, 4-methoxy-6-carbomethoxybiphenyl
- Glycine, Aspartic acid, Glutamic acid jo ki amino acids hai.
- 24(Z)-3/3-hydroxytirucalla-7, 24-dien-26-oic acid, a triterpenoic molecule
- Eldagic acid, latex gum, triterpene, sterol, carboxylic acid, polyphenol
Shilajit alag prakar ka hota hai. Rajat shilajit pitta aur kaf ka nash karta hai. Loha aur tamra shilajit kaf sambandhit rog ka shaman karta hai aur swarna shilajit pitta sambandhit rog ka shaman karta hai.
Swad me shilajit kadva-toora hota hai. Pachne ke teekha hai aur gun me bhaari aur ruksh hai ayurveda ke anusar. Yeh rasayan hai aur khaas kar ke nervous system, prajanan tantra aur mootra ke liye uchch koti ka aushadh hai.
Shilajit Ke Asar Sharir Par Aur Shilajit Ke Fayde
Yahan ap janege ki shilajit kya kaam karta hai:
- Studies me se yeh sabit hua hai ki shilajit ke sevan se superoxide dismuta se ki maatra, jo ek anti-oxidant enzyme hai, us ka praman badh jaata hai. Shilajit ke fayde bataye to yeh kaha jaa sakta hai ki yeh ek anti-oxidant hai.
- Shilajit purusho ko diya jaaye to un ke veerya ki maatra aur quality me sudhar aa jaata hai aur banjhpan kam ho jaata hai. Testosterone ka pramaan bhi badh jaata hai. Sthambhan shakti badhta hai silajit ke sevan se. Yeh hai shilajit benefits for men health in hindi.
- Shilajit “good” cholesterol HDL-C ka praman badha deta hai aur LDL-C kharab cholesterol ko ghata deta hai.
- Shilajeet in Hindi jaaniye ki is ke sevan se heart rate kam ho jaata hai aur dil majboot banta hai.
- Shilajit ke fayde hindi me kahe to is ka dimag par seedha asar hota hai. Memory power badhta hai aur ekagrata badhta hai. Bachche aur students ke liye shresht hai.
- Diabetes jinhe hai voh agar 200 mg shilajit capsules har roj le to shilajit capsules benefits in Hindi yeh hai ki blood sugar level 6.8% kam ho jaata hai.
- Shilajit benefits in Hindi jaaniye ki yeh aap ke immune system ko majboot bana deta hai aur allergy ke viruddh resistance power badha deta hai.
- Naariyo ke liye Shilajit ke fayde hindi kahe to ovulation sudhar deta hai aur agar irregular periods hote hai aur pregnant hone me taklif hota hai to shilajit avashya khaaye.
- Aisa maana jaata hai ki Alzheimer’s me, enlarged spleen, epilepsy, pathri, bronchitis aur anemia me shilajit khane ka fayda jaroor milta hai.
- Shilajit piliya ka upchaar hai. Yeh liver function sudhaar deta hai aur recovery tej ho jaata hai.
How To Use Shilajit - शिलाजीत का सेवन कैसे करे
yahan apko shilajit khane ke tarike batae gae hai:
- How to use shilajit in Hindi jaaniye. Himalay ke pahadi ilake ke log samanyatar shilajit ko doodh me mila ke savere is ka sevan karte hai.
- Swasthya barkarar rakhne ke liye aur lambe umar tak active rehne ke liye shilajit ka upyog kaise kare? Ashwagandha, tulsi, green tea ka kadha, triphala aur shilajit ko mila ke har roj sevan kare.
- Shilajit ke fayde hindi me aage jaaniye. Kyonki shilajit me bhaari khanij padarth jaise lead, mercury aur arsenic ho sakte hai, to is ka sahi tarika ayurved ke rasa shastra ke anusar doosre jadi booti aur doodh ke saath kiya jaaye to fayda hoga. Shilajit yoga vahi ka kaam karti hai yaane ki sharir ke koshika me doosre poshak tatva ko dakhil karne me madadroop banti hai. Sirf ashwagandha khaaye ya amla khaaye us se behta hai ki shilajit ke saath khaaye to do no ke gun badh jaate hai aur shilajit ka bhi fayda sharir ko milta hai. Ashwagandha churna, amla churna aur shilajit ko ghee ke saath mila ke goli bana ke khaaye din me do baar bhojan ke baad. Yeh shilajit khaane ka sahi tarika hai.
- Shilajit capsule hindi mai bataye to 200 mg ka dose pratidin kaafi hai. 15 dino tak doodh ke saath lene se sharir me energy ki maatra badh jaati hai aur vyakti balisht hone lagta hai.
- Shilajit ka upyog in hindi bataye to yoon to durbalta door karne ke liye kiya jaata hai. Magar aam taur par jo swasth hai voh bhi shilajeet agar har roj sevan kare to unki jawani, tandurasti aur urja bani rehti hai. Use of shilajit jawan se leke buddhe, purush aur mahila, sabhi is ka niyamit sevan kare to yeh rasayan ka kaam karta hai. Is me 85 se upar khanij padarth hai aur fulvic acid hai. Cancer se rakshan milta hai aur budhapa door rehta hai.
- Shilajit ka istemal kitna karna chahiye aur shilajit ko kaise khaye yeh bhi ek prashna hai. Agar capsules lete hai to shuddh silajit 200 mg kaafi hai pratidin. Jyaada lene se jyaada fayda nahin hai balki side effects ho sakte hai.
Shilajit Side Effects in Hindi - शिलाजीत के नुकसान
Ab jane shilajit ke side effects in hindi :
- Shilajit ke fayde dher saare hai ek baaju to doosri aur shilajit side effects bhi hai. Kyonki Shilajit patthar me se nikalta hai aur is me khanij padarth bhi hai to shilajit side effects in Hindi bhi jaanna jaroori hai. Shilajit me heavy metal tatva hote hai jo reproductive organs aur brain ko damage kar sakte hai agar adhik maatra me lambe samay tak khaaye to. Raw shilajit me mercury, lead aur arsenic ho sakta hai. Isiliye, silajit ka sevan karna hai to shuddh kiya gaya sheelajit ka hee upyog kare jis me se yeh vishiya tatva nikal diye gaye ho.
- Shilajit me mycotoxins bhi hai. Jyaada praman me liye to yeh nasha utpann karta hai. Eslie shilajit dosage badi dhyan se lein aur zaroora ke hisab se hi lein.
- Shilajit side effects in hindi language aage jaaniye ki shilajit me quinone aur free radicals hai jo sharir ke kosho ko nuksan karte hai.
- Jinhe gathiya hai, jo mahila pregnant hai aur jinhe khaas allergy hai to voh savdhani se shilajit ka use kare ya to naa hee kare.
Yeh hai shilajit benefits and side effects in Hindi. Amla jaise uchcha rasayan hai aise hee shilajit bhi uchch rasayan hai magar seemit maatra me le.
ईन घरेलू उपायों के बारे में भी ज़रूर पढ़े
TAGS:#shilajit powder benefits in hindi #benefits of shilajit uses #shilajit patanjali #shilajit Mahilao (Women) Ke Liye #shilajit ke nuksan hindi me #shilajit ke upyog batao #shilajit ke gharelu upay/nuskhe in hindi #use of shilajit in hindi language
प्रेम फुलका, Mar 22, 2018
शिलाजीत को पानी या दूध के साथ ले सकते हैं इसका बहुत ही अधिक फायेदा है शरीर के लिए और इसका कोई साइड एफेक्ट्स भि नहीं हैं