Honey benefit in hindi (शहद के फायदे,लाभ गुण): 60000 se bhi jyaada madhumakkhi 55000 mile tak udke 20 lakh se bhi jyaada phoolo par se nectar utha ke laage hai tb jaake banta hai adha kilo shahad. Jama karne ke baad apne pankh se ise voh hawa dete hai jis se jaake nectar gadha ho ke shahad banta hai. Jab bhi aap ek chamach shahad sevan kare to is baat ka khayal kare ki kitna mehnat se banta hai aur mehnat ke fal kitne meethe hote hai. Madhumakhi jis prakar ke phool ko visit karti hai to honey mein bhi us phool ke gun aa jaate hai. Madhu yaahe honey yane shahad khaane mein chini se jyaada meetha hota hai aur is ke gun jitne gaaye itne kam hai. Shahad ke fayde in Hindi jaane aur shahad apne paas hamesha rakhe.
शहद एक गुण अनेक - Shahad ke Aserdaar Gharelu Upyog
Honey benefit in Hindi aap padh rahe hai aur shahad ke faide aur shahad ke upyog kuch aur hai voh bhi dekh le.
Yeh hai shahad ke anginat fayde in Hindi. Agar is ko galat tarike se istemal karoge to nuksan hoga. Shahad ko garam na kare. Ghee mein na milaye. Adhik garam doodh mein na milaye. Bilkul chote bachche ko shahad na de. Bachche khel kood kar ke aaye ho to turant shahad na de. Bahut hi man karta ho to ek chamach khud khaa le. Shahad kabhi bhi khaya jaa sakta hai.
सम्बंधित जानकारी
जाने शहद के अनगिनत फायदे - Shahad ke Faide
Shahad ke faide jaaniye. Chini mein sirf sucrose hota hai aur dead calories. Koi nutrients nahin milenge. Shahad ke 100 gram mein hota hai 5 gram protein, 13 gram fat, 73 gram carbohydrate (fructose aur glucose), 21 mg calcium, 6 mg iron, 48 mg magnesium, 134 mg phosphorus, 168 mg potassium, 278 mg sodium aur 0.86 mg zinc. Saath main aap ko milega ansh maatra mein thiamin, riboflavin, niacin, vitamin B6, folate, vitamin b12 aur vitamin A. Itne saare poshak tatva milte hai to kya shahad mein faida nahin hai chini ki tulna mein?>
शहद कितना है लाभकारी - Shahad ke Labh
Shahad ke labh aur bhi hai:
Bahut hi chote bachcho ko shahad nahin dena chahiye magar badhte bachcho ke liye yeh badhiya hai kyonki yeh resistance power badhata hai. Allergies se hone vaale flu aur season ke badalne se hone vale flu, khaanshi aur jukam ke viruddh immunity badha deta hai.
Shahad ke Gun Aur upyog
Yeh to hai sirf thodese shahad k fayde in Hindi. Aage padhte rahiye shahad ke gun aur shahad ke upyog.
Shahad ke Gun
adharit hai ki madhumakhi kaunse phool par se nectar laayi hai. For example, agar neem ke phool ka nectar ekatrit kiya ho to antibacterial, antifungal properties aur healing properties bahut hi uchch honge. Aap ke paas bilkul shudh gadha, bina processed honey ho to honey ke gun uttam honge. Filter aur pasteurize karne par shahad ke gun kam ho jaate hai. Commercial manufacturers shahad mein glucose ya to corn starch syrup ya sugar syrup mila deta hai jis se shahad ke gun kam ho jaate hai. Taaza honey ke gun jyaada hai. Agar prakrutik, jungle mein se madhumakhi ne nectar ekatrit kiya hai to honey gunkari hota hai. Is ko organic honey kehte hai. Agar pesticides vaale phoolon mein se nectar jama kiya hai to jaahir hai ki zehar bhi aap ke andar aa jaayega.
To yeh hai shahad ke gun aur ab jaaniye shahad ke upyog.
Shahad ke Upyog
नींबू शहद वजन कम करने में है लाभकारी - Nimbu Shahad for Weight Loss in hindi
Agar aap motape se pareshaan hai to nimbu shahad weight loss upay ka prayog kare. Jaaniye nimbu shahad weight loss in Hindi tarika:
TAGS:#shahad ke fayde in hindi #benefits of honey in hindi #honey benefits in hindi #शहद के लाभ #शहद के फायदे #शहद खाने के तरीके #honey ke fayde in hindi #uses of honey in hindi #शहद और दूध के फायदे #शहद के औषधीय गुण #शहद के उपाय #nimbu shahad weight loss in hindi #shahad ke labh #shahad ke upyog #शहद और नींबू #शहद की पहचान कैसे करे #शहद और मोटापा #benefits of honey for skin in hindi #health benefits of honey in hindi #शहद खाने के फायदे
Shubham Maarwaah, Feb 13, 2018
Maine suna hai ki ghav theek karne ke liye hum shehad ka istemaal kar sakte hain kiya aisa sach hai ki hum ghav theek karne ke liye hum shehad ka istemaal kar sakte hain.
Navin Sharma , Feb 17, 2018
Haan hum shehad ke istemaal hum ghav mai kar sakte hain yeh aapke ghav ko theek karne mai bahut hi jaayeda helpful rahega iske alawa shehad ke kai faayede hain.
Mohini Suri, Feb 12, 2018
Kiya shehad ka istemmal hum apne baalon ke liye kar sakte hain kiya shehad hamare jhadte baalon ko rokne mai koi madad karta hai agar haan to bataiye kiyunki main apne jhadte baalon se bahut hi jaayeda pareshaan hun.
Kiran Mathur, Feb 08, 2018
Hum shehad ka use apne face par bhi kar sakte hain isse hamara face soft rehta hai aur ek taraf se yeh aapka facepack ka bhi kaam karta hai kiya aisa sach mai hai ya yeh mera sirf manna hai.
Shrubhi Malhotra , Feb 14, 2018
Mere gale mai bahut hi jaayada kharash hai aur khansi bhi hai isliye kiya main shehad ka istemaal isko chutane ke liye kar sakta hun kiya please aap mujhe isko khatm karne ke tips in hindi batayen