Sharir mein aise to kai prakar ke pathogens aur bacteria dakhil hote hai aur sharir ke protective immune system inhe nash karti hai ya to nishkriya kar deti hai. Kai baar aisa hota hai ki infection aise kisi kitanu ya virus se hota hai ki yeh T cells ko jyaada taqat lagana padta hai aur aise activity mein thode unche tapman mein yeh T cells ki karyakshamta bhi badh jaati hai. Kuch bhi ho infection hone par ya to even ghaav pak jaane par bhi aap ko bukhaar aa jaata hai. Antibiotics ya aspirin se bukhar utar jaata hai magar behtar tarika hai ki aap prakrutik paddhiti apnaye. In mein se ek hai yogkriya.
Yahan 7 prakar ke yogkriya bataye hai jin ke acharan se bukhar ke lakshan ka shaman aasaani se aur prakritik dhang se ho jaata hai. In se bukhar bhi jaldi se nahin aayega aur aaya to shighra hi chutkara milega.
- Kapalbhaati ka prayog har roj kam se kam 10 minute se leke 30 minute tak karne se sharir ki har koi taklif door ho jaati hai. Is yogkriya mein vyakti saans to normal tarike se andar leta hai magar jab bahar nikalna hai to pet ke bal us kho dhakke maarke bahar nikalte ho is tarah karna chahiye. Yeh yogkriya padmasan mein kiya jaaye to achcha hai aur saath mein gale mein Om ka avaz nikalna aur bhi faydekarak hai.
- Anulom-Vilom pranayam bhi ek yogkriya hai, yogasan nahin. Is ka niyamit practice karne se bukhar aur sardi se bach jaayenge. Naake ka daya chidra ko daye haath ke anguthe se dabake saans andar kheenche. Vahi haath ke doosre do ungliyo se naak ke baye side ko dabaye aur daye side par se hi shvaas baahar nikale. Ab yahi kriya nak ke doosre side se kare.
- Nadi Shodhan Pranayam bhi ek yogkriya hai jo sharir ke nervous system ko relax aur strengthen kar dene mein madadroop hota hai. Tapmaan is ke dwara niyantrit ho jaata hai. Padmasan ya khurshi mein seedhe baith ke kare. Ankhe bandh rakhe. Dayi nasika ko daye hath ke anguthe se bandh kar ke shvaas bahar nikale puri takat ke saath. Baye nasika se ab gehri shvaas le. Ab bayi nasika ko bhi bandh kar ke liye gaye shvaas ko andar hi andar circulation karte ho aise lungs ko fulaye aur dabaye aur ho sake tab tak shvaas rok ke rakhe. Daya angutha ko nasika par se hataye aur shvaas dheere se bahar nikale. Gardan upar kar ke dayi nasika se shvaas ko roke aur bayi nasika se bahar nikale. Yaane ki process adla badli karna hai do nasikao ke beech mein.
- Shitli pranayam se bukhar ka tapmaan shighra hi kam ho jaata hai. Saath mein yeh chitt aur manas ko bhi bechaini se bilkul virudh disha mein lejaake shaant kar deta hai. Baith ke yeh yogkriya kare. Jeebh ko bahar nikale aur length-wise fold kare taaki canal ya nali jaisa akar ban jaaye aur jeebh ko muh se bahar rakhe hue shvaas andar le aur bahar nikale. Dheeme se kariye yeh kriya ko.
- Matsyaasan pranayam ko baith ke kare, preferably padmasan mein ya ardhapadmasan mein. Ab peeche ki taraf sharir ko leja ke let jaaye. Ghutne jamin ko touch kar ke rakhe. Dono kohni aur baaye pair ki anguthi jamin se sata kerakhe. Sar ko jamin ko touch kare magar gale ka peeche ka bhaag aur kandhe ka peeche ka bhag jamin se sparsh na ho. Is position mein shvaas le. Yeh position hold karna kathin hai. Pehle ek minute tak kare aur phir samay badhate chale. Ab sar ko seedha kar gale ke peeche ka bhag aur kandhe ko jamin par lagaye. Phir repeat kare. Breathing normal rakhe.
- Sarvangasan blood circulation ko normal kar deta haiaur sharir mein energy level badha deta hai. Sharir ke sabhi ango ko kasrat mil jaata hai. Sarva matlab sabhi aur ang matlab sharir ke purje. Peeth ke bal jamin par let jaaye. Dono hath side mein seedha rakhe. Dono pair ko upar uthaye aur aage ki taraf aise laaye ki sar ke taraf aa jaaye aur ho sake to jamin par laga de. Sharir ko hatheliyo se support kare. Apka chin ap ke chest ko touch karna chahiye. Ab 10 baar dheeme se gehri saans le.
- Viparit karni mudra bhi thodasa kathin yogasan hai. Let jaiye. Dono hatho ko jamin par rakhte hue sharir ko pairo se leke upar karte jaiye ho sake itna ooncha kare. Aap dekhenge ki jhatke se nitambo se sharir ko upar uthaye to aap safal honge. Ho sake itna upar uthaye. Vajan kandho aur gardan par aayega. Ek minute se leke 5 minute tak position hold kare aur dheeme saanse lete rahe.
TAGS: #bukhar ke liye gharelu nuskhe in hindi #bukhar ke liye yoga baba ramdev #bukhar ke liye yoga #वायरल बुखार क्या है #वायरल फीवर का उपचार #वायरल बुखार का इलाज #वायरल बुखार का उपचार #बुखार के घरेलू नुस्खे #बुखार का घरेलू उपचार
Madhavi, Jun 06, 2018
yoga dwara fever ko control kiya ja sakta hai sach mein badiya information.