Self confidence ho to aap jeevan mein bahut kuch achieve kar sakenge is liye aage badhe aur apna atma vishwas jagaye. Log impress honge. Darwaje khulenge aur tarakki hogi. Jaaniye self-confidence kaise badhaye in tariko se aur safalta ka marg apnaye.
1. Self Examination-Analysis
Pehle to aap apne andar jhaank kar dekhiye ki who kaunsi baate hai jo nakaratmak hai. Dar rehta hai harek ke andar ke aise karne se logo ko theek nahin lagage, vagera vagera, isliye pehle is dar hataye aur yeh soch apnaye ki jo hoga dekha jayega magar jo karna hai woh main karunga. Agar aap ne bhootkal mein galti ki hai to is mein se seekhe aur bhavishya mein is lesson ka fayda le.
2. Positives
Aap ka positive side kya hai? Yeh sabhi ko list kare aur inko aur badhava de. In cheezo mein aap garv le ki aap ek khaas insaan hai aur aap jaisa doosra nahin hai is duniya mein.
3. Soch
Dar ko bahar nikal de aur positive vichar se aage badhe. Goals banaye aur in ko poora karne ke liye din nischay kar le. Goal poora hone par aap ko satisfaction hoga jo self-confidence badhayega. Hontho par muskan laaye aise vichar se bhi aap ka self confidence ubhar aayega. Ek notebook mein goal ko likhe saath saath time schedule bhi banaye aur achieve karne ke baad is ka analysis kare. Shuruaat kare aasaan kamo se to mushkil kaam karne mein aage jaake taklif nahin hoga.
4. Talent
Harek insaan mein kuch na kuch talent hota hai. Aap mein jo talent hai jaise ki dancing, singing, writing, acting, sports, music, chitrakala ko aur aage badhaye. Public mein is talent ka dikhava kare. Logo ki prashansa se protsahan milega aur aage badhne ke liye. Koi hobby apnaye, activities kare aura age badhne mein busy rahe.
5. Positive Company
Aise hi logo ke saath rahe jinke vichar bhi sakaratmak hai aur jo helpful hai positive actions karne mein. Support jaroori hai aap ke atma vishvas ko tika ke rakhne ke liye. Agar doosre achievers ke saath rahenge to aap ko bhi achieve karne ka protsahan milega.
6. Grooming
Andar ka image achcha ho magar bahar se aap ka personality prabhavshali nahin hai to bhi log aap ko itna welcome nahin karenge. To aap ke baalo ko savariye, exercise kar ke fit rahiye aur neat kapde pahiniye. Society mein well-dressed ke liye darwaje khul jaate hai.
7. Boli
Positive vichar ke saath positive boli bhi apnaye. Ha mein ha milane ki jaroorat nahin hai magar ek baat ko kai tarike se pesh kar sakte hai jis se aap ka vichar vyakt hoga aur samne vale ko bura bhi nahin lagega to is se aap ka image achcha banta hai .
8. Yog aur Dhyan
Yoga karne se internal balance yaane samtulan aa jaata hai aur aap calm ho jayenge jo bahar bhi dikhai dega. Is se farak padega.
TAGS : #manobal kaise badhaye #mind power kaise badaye #aatmvishwas kaise badhaye #self confidence kaise badhaye in hindi #aatmvishwas kaise prapt kare#self confidence tips in hindi #self confidence tips in hindi #how to improve self confidence in hindi #confidence kaise badhaye #confidence badhane ka wazifa