Aaj kal ghare me wooden parquet flooring bahut fashionable hota jaa raha hai. Agar aap North India me rehte hai jaha thand kaafi ho sakta hai to is thand ke kaaran wood flooring ko nuksan ho sakta hai. Thand se lakdi sikud jati hai aur daraar paida hoti hai. Is se apne hardwood floor ko bachane ke liye yeh baate dhyan me rakhe.
- Hardwood floor me dirt nahin jaana chahiye to joote hamesha bahar hee utar de. Hardwood floor par carpet bichaye to us ka chamak barkarar rahega.
- Har roj hard wood floor saaf kare aur ho sakte to vacuum kare. Kabhi bhi paani se hardwood floor saaf na kare aur solvent ya detergent bhi use na kare.
- Floor par surya ke kiran jyada der tak padne na de. Ho sake to halke curtains windows me lagaye.
- Saaf karne ke baad floor wax avashya lagaye to chamak aur wood ki sehat bani rehti hai.
- Ghar me tapmaan aur humidity control kare aur ho sake to heater bhi chaalu kare. Humidifier ke upyog bahut hee faydemand hoga winter me.