Sardi jukam ka gharelu ilaj in hindi (सर्दी जुकाम का घरेलू उपचार): Sardi jukham ho jaana aam baat hai, khas kar ke sardiyo me aur badalte season me. Sardi jukham aur is ka bukhar ke peeche karan hai virus. Sirf ek virus nahin, senkdo virus ke kaaran hota hai sardi aur har ke ke liye immunity build up karna bhi sharir ke liye mushkil hota hai. Jin ka immunity kam ho unhe sardi jukham asani se ho jaata hai aur parinam yeh hai ki nak se paani behta hai ya nak bandh ho jaata hai, bukhar ho jaata hai, gale me kharash hoti hai aur fir khansi ho jaata hai. Log doctor ke pas jaate hai aur antibiotics lete hai jis se koi farak nahin padta hai kyonki virus ke liye dawai nahin hai. Sharir apne aap is ke samne ladta hai aur ek hafte-10 din me shaman hota hai. Sardi jukam kaise thik kare??? To sardi se bachne ka tarika yeh hai ki behtar to yeh hoga ki aap peedhiyo se chali aayi desi aur gharelu nuskhe for sardi jukham ka upyog kare. Jaaniye alag alag sardi jukham ke desi nuskhe aur upay, sardi jukam ka gharelu upchar in hindi.
सर्दी जुकाम का घरेलू उपचार - Sardi Jukam ka ilaj in Hindi
- Ek glass garam panee mein namak mila ke pie.
- Haldi ka sewan kare.
- Halka Bhojan khae.
- Vitamin -C ka sewan kare.
- Khajoor ka sewan kare.
- Fruit juice pie.
- Tulsi ka prayog kare.
- Tulsi, pudina, adrak aur tulsi ki tea pie.
- Din mein do baar shahed aur adrek ka sewan kare.
- Lehsun ka soup pie.
सर्दी जुखाम के घरेलू उपाय - Ayurvedic Treatment for Cough and Cold in Hindi
Nazla zukam ka desi ilaj in hindi : Sardi jukham ke gharelu upay,dadi maa ke nuskhe for cough saral hai aur ghar me upasthit samagri ke upyog se kiya jaa sakta hai. Yeh hai kai aise aasaan desi sardi jukham ke upay in Hindi.
- garam paani me namak daal ke garare karte rahe to 3 din ke andar bilkul aaram ho jayega.
- Adrak anmol khajana hai sardi jukham se ladne ke liye. Din me teen bar adrak ka ras ka sevan kare. Sirf adrak ka ras piye ya to is me kali mirch powder aur shahad mila ke le.
- Balgham ka desi ilaj mein shahad ki baat kare to is me kai aise anti-allergenic, anti bacterial aur antiviral tatva hote hai. Shahad aur adrak ka sevan se gale me kharash bhi kam hoga, balgam bhi bahar nikal jayega. Bachon ki balgham ka ilaj bhi es nuskhe se kiya ja sakta hai.
- Dadi maa ke nuskhe for cold mein nimbu sardi aur jukham me ramban aushadh hai. Nimbu ke tukde kaate, paani me dale, saath me kali mirch dale, adrak ke tukde dale aur ubale. Thoda thanda hone par nimbu ko kuchal de aur chaan kar shahad mila ke din me 3 baar se 5 baar sevan kare.
- Jukham aur sardi virus ke karan hai. Jukham sardi ke desi ilaj me upyog kare lehsun ka. Savere uth ke kachcha lehsun chaba ke khaye. Din bhar aahar me lehsun shamil kare aur dekhe kaise yeh shresht prakrutik anti-viral aur anti-bacterial aap ko theek kar deta hai.
- Jukham sardi ke gharelu ilaj me upyog kare pyaj ka. Kachcha pyaj chaba ke khaye. Khane ke saath salad me pyaj khaye. Soup banaye pyaj, gajar, adrak, lehsun aur hari mirch ka. Chaan le aur is mein kala namak aur yeh soup din me 3 bar piye. Yeh ek band naak kholne ka totka bhi hai.
- sardi ke gharelu upay mein hare mirch aur kachche pyaj saath me khane se raahat milta hai sardi jukham mein. Pyaj me sulphur based compounds hote hai aur mirch me capsaicin jo dono milke sardi me se jaldi se chutkara dete hai. Sharir se balgham bahar nikal jaata hai.
- Khansi, sardi aur jukham ka aksir ilaj hai haldi. Garam doodh me haldi ek chamach milaye aur chutki kala mirch powder dale. Raat ko peene se achcha neend aata hai aur khansi ka shaman hota hai.
- Sardi, jukham aur khansi ke liye khas ayurvedic upay hai yashtimadhu. Is ka mool ka tukda aap apne mooh me rakhe aur ras chooste rahe to khansi kam ho jayegi. Yeh itna safe hai ki bachcho ko bhi de sakte hai. Yashtimadhu churan me kala mirch powder, sendha namak ek chutki aur shahad mila ke goli bana ke din bhar chooste rahe.
- Ayurvedic desi upay sardi jukham ke liye aur khas kar ke bachcho ke liye hai ardusi ke patte. Patte ko koot ke ras nikale aur bachho ko shahad ke sath din me 3 baar pilaye. 3 din me yeh taklif se milega chutkara aur immunity bhi badh jaata hai.
- Desi ayurvedic upay sardi ke liye hai tulsi. Tulsi ka ras nikale aur din me 3 baar sevan kare.
- Band naak ka ilaj in hindi mein aap pudine ka ras ka upyog kare. Chahe to adrak ka ras, tulsi ka ras, pudine ka ras, shahad aur nimbu ka ras, sabhi ka mishran kar ke sevan kare.
- Balgam ka ilaj karne ke lie sardi jukham me gharelu upay ek hai ki paani jyada peete rahe aur voh bhi garam pani to sharir me se vish aur balgam bahar nikal jayega.
- Khansi aur sardi me green tea ka upyog kare. Green tea banaye to us me kali mirch powder, tulsi aur adrak ka ras dale. Nimbu ka ras aur shahad mila ke garam green tea ke chuski lete rahe to aaraam milega. Yeh zukam ka desi ilaj bhi bahut jaldi aser kerta hai.
- Ayurvedic upay sardi jukham ka is tarah kare. Peepli ka churna, soonth ka churna, bel ke fal ka churna aur munakke paani me dal ke ubale pani adha hone tak. Fir is me sarson ka tel daal ke ubale aur pani ud jaye to thanda kare aur yeh tel ke do boond nak me dale to band naak khul jayega. Yeh naak band ka desi ilaj in hindi me bataya gya hai bahut jaldi aser kerta hai.
- Sardi jukham me khansi bahut pareshan kar deti hai. Khansi ka kudrati upay hai jaiphal. Doodh me jaiphal aur kesar daal ke bhigo ke rakhe aur ubale aur adha hone par thanda kar ke piye.
- Band naak ke desi nuskhe mein ghee me seke hue kali mirch 4-5 chaba ke khaye to bandh nak khul jaata hai.
- Mooh me laung rakh ke chooste rahe to sardi aur khansi me raahat milta hai. Yeh sardi khasi ki dawa bahut aserdaar hai.
- Dadi ma ke gharelu nuskhe for sardi jukham hai neem. Neem ke patte, nimbu aur adrak pani me dal ke ubale aur yeh paani chaan ke din me 3 baar piye.
- Sardi me nahaye to garam pani se nahaye magar us ke pehle badan par namak ka paste laga ke rakhe.
- Ek aur gharelu nuskha hai sardi, jukham aur khansi ke liye. Dalchini powder ko shahad ke saath milaye aur chaate to gale ki kharash mit jaati hai.
- Jukam ke gharelu upay in hindi mein apko batana chahenge ki aap hot packa ka estemaal kare. Garam pack dawa ki hukaan per asani se mil jate hai esse apne jame hue naser pe lagain.
- Band naak ka gharelu ilaj mein bhaap lein yeh band naak kholne ka sabse purana tarika hai jo turant apko rahet deta hai.
Ager apke gale mein kamf hai to yeh sabhi gharelu nuskhe for sardi jukham saral hai, saste hai, bina koi side effects ke hai aur kargaar hai aap dadi maa ke nuskhe for cold and cough in hindi ka estemaal ker sakte hai. Koi bhi try kare aur paye raahat apko sardi jukam medicine nahi lene padege.
TAGS: balgham ka desi ilaj in hindi #gharelu nuskhe for cold for babies #gharelu nuskhe for cough #jukam ki dawa in hindi #purana nazla ka ilaj in hindi #saradi/najla jukam/naak band ke dadi ke gharelu nuskhe hindi me #
DHARMENDAR KUMAR , Nov 25, 2017
Achcha hai aapka yeh walamaeticle.