चन्दन के बेहतरीन फेस पैक्स (फेशियल) - Sandalwood Face Pack in Hindi

चन्दन

Sandalwood Chandan Face Pack in Hindi:  Chand se mehbooba aur chandan sa badan. Chandan ki jitni tarif kare itni kam hai. Is ki khushboo dil aur dimag ko prasann karti hai aur is ka lakdi ka powder chehre ko sundar banane ke liye uttam samagri hai. Aaj charcha kare kaise ghar baithe chandan se nikhare apna chehra alag alag face pack dwara. 

चंदन पाउडर फेस पैक के फायदे - Chandan Face Pack ke Fayde

  • Muhaso ko door kare.
  • Twacha ka tone badhae.
  • Chandan powder face pack skin ko glowing banaye.
  • Dark circles ko door kare.
  • Chandan face pack antiaging ke roop mein kaam kare.
  • Twacha ko naram aur swasthya banaye.
  • Chehre ke tel ko kam kare.

चन्दन के गुण

Sandalwood face packs & benefits in Hindi es prakar hai:

  • Chandan ek adbhut saundarya prasadhan hai jis ka upyog hazaro saalo se kiya jaata hai. Chandan me voh gun hai jo tvacha ke rang ko nikhare, tvacha ko jawan rakhe, bade chidra ko chote kar de aur complexion smooth banaye.
  • Chandan ke lakdi me voh tel hai jo tvacha ko saaf suthra banake glowing bana deta hai.
  • Chandan se tvacha me jhurriya mit jaati hai aur chehra jawan dikhta hai.
  • Kale daag dhabbe mit jaate hai chandan ke upyog se.
  • Chandan ke upyog se tvacha komal ho jaata hai baby ki skin ki tarah.
  • Garmiyo me gamorria se bachna hai to sandalwood prickly heat se bachata hai.
  • Khujli hoti hai to chandan powder se mit jaata hai.
  • Har roj thodasa chandan ka upyog kare chehre par aur dekhe kaise lambe samay tak chehra nikhra aur jawan lagta hai.
  • Chandan astringent, disinfectant, anti-inflammatory aur antiseptic hai. 

Chandan se roop nikharne ke liye kai formula hai. Sabse achche hai gharelu sandalwood nuskhe for beauty treatment. Chandan se beauty badhane ke liye yahan par bataye face packs banaye aur upyog kare. 

चंदन और बादाम फेस पैक

Sandalwood powder face pack for fairness in hindi: Rukhi tvacha me jaan laane ke liye upyog kare chandan aur badam ka. Raat ko badam bhigo ke rakhe aur pees de gulab ki pankhudi ke saath. Ab is me chandan ka powder mila ke paste banaye aur chehre par laga ke ek ghante tak rehne de. Daag dhabbe to mitenge aur saath me rang bhi sudhar jayega aur badam se chehre ka tvacha hara bhara ho jayega. Shyam tvacha bhi gori hone lagti hai is face pack se. 

चंदन हल्दी बेसन फेस पैक

Besan haldi chandan face pack in hindi: Tvacha me khaami hai aur pimples se pareshan hai to apnaye yeh chandan haldi besan face pack. Chandan powder ek chamach, haldi powder ek chamach aur besan ek chamach le. Ab is me thodasa dahi mila ke paste banaye. Pimples aur kale dhabbe vale chehre par yeh behtreen results deta hai. Rang nikharne ke sath dhabbe hat jaate hai aur pimples bhi kam ho jayenge. Rangat behad badh jaati hai. 

चंदन एग फेस मास्क

Sandalwood face pack for glowing skin in hindi: Ek anda le aur bowl me tode. Is me jaroor ho itna chandan powder daal ke paste banaye. Chahe to haldi ya nimbu ya nariyal tel dale (dry skin ke liye oil ka upyog kare aur oily skin me nimbu ya kakdi ka ras). Yeh paste banale aur chehre par lep kar ke ek ghante tak rakhe. Tvacha tight ho jayegi, jhurriya kam hongi, chidra chote ho jayenge, chehre ka tvacha damakne lagega aur saundarya behisaab badh jayega. 

निखार लाए चेहरे पर चंदन और दूध से

Sandalwood face pack for skin whitening in hindi: Adhe cup doodh me chandan ka paste mila ke chehre par lagaye aur ek ghante ke bad dho de. Dekhiye ki ek mahine me kaise rang nikhar jaata hai. 

चंदन एलोवेरा

Sandalwood face pack for skin tightening in hindi: Aloe vera juice me chandan mila ke face pack bana ke lagaye chehre par. Aloe vera se skin tightening bhi hota hai, dag dhabbe kam hote hai aur skin soft ho jaata hai. Saath me chandan ke bhi fayde milte hai. 

चंदन गुलाब जल

Sandalwood face pack for dark spots in hindi: Gulab jal me chandan powder mila ke lagaye chehre par. Khas kar ke garmiyo me adbhut thandak milta hai. Saath me dag dhabbe mit jaate hai. 

चंदन और जैतून तेल  moisturiser

Sandalwood/Chandan face pack for fairness: Chandan powder me jaitun tel aur shahad mila ke shushk tvacha par lagaye aur dekhi kaise chehra hara bhara ho jaata hai. Dhoop me jaake aye ho aur tvacha kali pad jaye to is lep se vapas rang sudhar jaata hai. 

रक्त चंदन

Sandalwood face pack for acne scars in hindi:  Agar kheel muhaso ke karan kale daag dhabbe ho gaye hai to chandan, rakt chandan aur kachcha papita ka paste ka upyog kare dahi ya to nimbu ke ras ke saath. Yeh rakta chandan face pack keel muhason ke daag bahut jaldi hatata hai.

चंदन तेल से कोमल बने त्वचा

Sandalwood powder face pack for dry skin in hindi: Rukhi tvacha ke liye chandan tel me chandan powder mila ke lagaye chehre par. 

चंदन मुलतानी मिट्टी तेली त्वचा के लिए

Sandalwood powder face pack for oily skin in hindi: Teli tvacha me se tel hata ke chehre ko fresh aur glowing banana hai to chandan powder, multai mitti aur dahi ka mishran se lep kare. Es multani mitti and chandan face pack mein chahe to nimbu ka ras aur kakdi ka juice milaye. 

चंदन, दही और अंडे से झुर्रिया दूर रहे

Sandalwood powder face pack for wrinkles in hindi: Jhurriya ho gayi hai to chandan, dahi, anda aur 2-3 boond nariyal tel ka mishran se lep kare. Yeh lep ka regular use se facial wrinkles se aap bach ke rahenge.

चंदन पाउडर, बेसन और गुलाबजल फेस पैक

Sandalwood face pack for pimples in hindi: Do chamach besan, do chamach chandan powder aur adhe chamch gulab jal ke sath mishrit kare. En sab ko mila ke gara paste banaye aur chehre pe 20 min tak lagain yeh pack muhason ke khilaf kaam kerta hai aur unhe sukha deta hai jisse wo baad mein chehre se gir jate hai.

हल्दी चन्दन फेसपैक

Haldi chandan face pack homemade in hindi: Ager apke chehre per muhase aur funsi ho gae hai to eske lie ek chamch chandan ka powder lein usmein adha chamach haldi mila ker pack tyar ker usse apne chehre per 20 -25 min tak lagain aur sade pani se dho lein. Chandan and turmeric face pack se keel muhason se jaldi chutkara milega aur chehre per glow bhi aega. 

Jis prakar ka skin hai to anya samagri is prakar chune aur apna khud ka formula banaye jo aap ko man chahe result dega. 

Yeh sabhi sandalwood facial mask benefits pana hai poorte praman me to jab sukh jaye to pani se spray kar ke gila kare. Aisa 3-4 baar karte rahe aur baad me dho de. 

Sandalwood face pack lagane ka doosra fayda yeh hai ki is ki khushboo se mood bhi sudhar jaata hai.

TAGS: #chandan powder face pack in hindi #chandan face pack in hindi #patanjali chandan face pack #chandan face pack for pimples #chandan face pack for acne #best chandan/sandelwood face pack for fairness #chandan pack for face #chandan face pack for oily skin #face pack with chandan powder #sandalwood powder face pack in hindi #multani mitti and sandalwood face pack #sandalwood and turmeric face pack

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

Sumita Negi, Nov 06, 2017

Aapne jo yeh article likha hai ki kaise hum ghar baithe chamakati tavcha pa sakte hain that was awesome and well written Thanks for sharing this post

KHUSHBOO SHARMA, Nov 06, 2017

OILY SKIN KE LIYE KIYA KAREN BAHUT PARESHAN HUN KIYA YEH SANDALWOOD CHANDAN FACE PACK WALE NUSKHE SE THIK HO JAAYEGA? PLEASE BATAYEN

Deeksha Vohra, Nov 02, 2017

Aapne jo facepack bataye hain wo bahut hi kamal ke hain Thanks for this post kiyunki ab jaruri nahin hai ki sabko ab parlour jana pade.

Jubeda Saiad, Oct 28, 2017

Aapne jo chandan ke fayede bataye hain wo kamal ke hain lekin chandan ki lakdi to bahut mehangi hai na isliye aap koi aur tarika bata sakte hain to bata den.

Jyotsana Singla, Oct 24, 2017

Aapne jo chandan ke fayde bataye hain bahut hi kamal ke hain lekin chandan ki lakdi bahut hi mehngi aati hai koi aise hi gunwaan chiz lekin jo affordable ho please bataiye

Damti Rani , Oct 21, 2017

Aap lemon aur orange juice ke ras ko mila ke aap apne liye facepack use kar sakte hain yeh bahut hi jayeda asan hai aur affordable bhi hai.