Vasant rutu yaane ki spring ka aagman mein tyohar hote hai jaise ki vasant panchmi. Prakruti mein bhi vasant rutu mein naye patte phoot aate hai aur phool khilte hai to phir agar aap garbh dharan karna chahe to yeh ek uttam samay hai. Vasant nirman ka rutu hai. Is ke peeche kai kaaran hai:
- Vasant ka samay nirman ka samay hai to aap bhi ek bachche ka nirmaan is samay par kare garbh dhaaran kar ke.
- Vasant ke samay apne sharir mein prakrutik tarike se urja jyaada hoti hai, mood achcha rehta hai aur vatavaran mein pyar mohabbat chayi hui hoti hai kadi shardiyo ke baad. Suraj smit karta hai.
- Vasant rutu mein aise badhiya khadya padarth milte hai ki aap tan aur man se khush rehte hai jo garbh dharan karne ke liye uttam hai. Sabhi fal sabji saste honge aur aap jyaada bhi khaa sakenge jis se bhrun ko poshan milega.
- Garbhvati hone par loose kapde pehanna chahiye. Vasant mein garmiyo ka shuruaat hota hai to aap ko tight sweaters aur aise kapde ki jaroorat nahi hogi.
- Vasant mein hawaman swach hota hai aur bina koi infectious diseases ke jo aap ke liye bahut sehatmand hai.
- Vasant rutu mein palash ke phool milte hai jinhe doodh mein pees ke peene se hone vala bachcha shaktiman aur buddhishali banega.
- Vasant ke baad aayega garmi jis mein aayenge aam jo aap bharpur khaye aur sehat ko tagda banaye.
- Vasant rutu mein purush ke shukranu adhik tandurast aur shaktishali hote hai.
- Spring mein pregnant hone se delivery December-January ke aaspaas hoga jo samay anukool hai.
- Spring mein pregnant ho gayi to ulti aur aise taklif aasani se aap sahan kar sakegi.
- Spring pregnancy mein exercise karna, walk ke liye jaana, majedar hota hai.
- Spring pregnancy ho to mausam badhiya hota hai, na garam, na thanda.
marshl, Mar 16, 2017
pregnancy during spring time nice article