reason or karan why fever increases during night in hindi
By : Desi Gharelu Nuskhe Staff Writer, 28-02-2017
Bukhar ka matlab hai ki sharir mein koi infection hai aur aap ka immune system is ke saamne lad raha hai. Bukhar din mein bhi hota hai aur raat ko magar raat ko agar bukhar tej ho jaaye to savdhaan ho jaana chahiye kyonki yeh serious matter hai.
Raat ka bukhar
Kai aise infection hai jab din mein bukhar utar jaata hai magar raat mein temperature badh jaata hai aur mareez ko neend nahin aati hai. Aise haalaat mein doctor se diagnosis karvana jaroori hai kyonki is ke peeche koi serious infection ho sakta hai. Raat ke bukhar ke peeche alag alag karan ho sakte hai jaise ki skin infection.
Fungal infection se bukhar aana sadharan baat hai.
Sharir ke andar bacteria ya virus dakhil ho gaye aur sharir ka immune system is ke viruddh sakriya ho jaaye tab bhi raat ko tej bukhar aa jaata hai.
Kidney ki taklif, liver ka problem aur TB jaise khatarnak haalat mein bhi bukhar raat ko avashya aata hai.
Urinary tract infection (UTI) mein bukhar aaye to nazar andaaz na kar de kyonki yeh aage jaa ke kidney ko asar kare to mamla gambhir ban jaata hai.
Lymph nodes ko agar aap check kare to yeh sujhe hue ho to koi infection hai aur is ke kaaran raat ko tej bukhar aata hai. Yeh sadharan bacterial ya viral infection ho sakta hai ya to koi serious infection bhi isiliye doctori jaanch karva lena theek hai, khaas kar ke agar do ya teen dino mein bukhar kam nahin ho jaata hai.
Flu virus ka infection ho jaaye to chinha dikh aate hai jaise ki sardi aur khaansi aur saath mein raat mein bukhar. Yeh jyaada chintajanak nahin hai agar yeh sadharan flu hai.
Flu allergy se bhi juda hai aur allergy ek alag hi karan hai. Koi aise cheez ka sevan kiya ho ya sampark mein aa jaaye to sharir mein is ka reaction ho ke raat ko tej bukhar aane lagta hai.
स्किन इंफेक्शन
किसी भी तरह के इंफेक्शन में शरीर का तापमान बढ़ने लगता है। इसी तरह के इंफेक्शन में स्किन इंफेक्शन भी शामिल है। अगर आपको स्किन इंफेक्शन है तो आपको रात में तेज बुखार आ सकता है। ऐसे में आपको डॉक्टर से अपनी जांच जल्द से जल्द करवानी चाहिए।
TAGS: #बार बार बुखार आना #वायरल बुखार के उपचार #बुखार के कारण #वायरल बुखार का इलाज #बुखार के प्रकार #बुखार आने के कारण #बुखार की दवा #वायरल बुखार के लक्षण #bukhar ke liye gharelu nuskhe in hindi
इसका किया कारण है कि मुझे रात में ही फीवर हो जाता है प्लीज़ आपसे इसकी संपूर्ण जानकारी विस्तार पूर्वक बताएँगे तो मुझे समझने में भि आसानी होगी| प्लीज़ शेयर मि इन ब्रीफ
अरविंद , Oct 27, 2017
इसका किया कारण है कि मुझे रात में ही फीवर हो जाता है प्लीज़ आपसे इसकी संपूर्ण जानकारी विस्तार पूर्वक बताएँगे तो मुझे समझने में भि आसानी होगी| प्लीज़ शेयर मि इन ब्रीफ