Rang nikharne ke gharelu upay (चेहरे का रंग गोरा और साफ करने के विधि): Sabse pehle jane, त्वचा की देखभाल कैसे करें?Tvacha yane skin sharir ka sab se bada organ hai. Yeh rakshan karta hai, sharir se toxins bahar nikal deta hai aur dikhave ke liye important hai. Tvacha me problems ho jaate hai jaise ki skin infections. Aam baat yeh hai ki alag alag tvacha ke prakar ke anusar daag ho jaana, muhasse nikal aana, jhurriya hona aur tvacha nistej hona yeh samasya bahut logo ko pareshan karti hai. Jaaniye tvacha sambandhi samasya aur unke upchar jis se nikhre rangat, ek din mein gora hone ke nuskhe.
Twacha (skin) ke prakar aur sambandhi samasya ke baare me pehle jaaniye.
Skin ke Prakar - Skin Types in Hindi
Tvacha smooth aur lachili hoti hai aur tvacha me chidra bhi barik hote hai. Yeh prakrutik tarike se nikhra rehta hai. Is me samasya laparvahi aur ayogya aahar ya kuposhan se ho sakti hai jaise ki kale dhabbe, pimples, sun damage aur jhurriya.
Mix type ki tvacha me tvacha ke kai bhag atyant teli hote hai jaise ki thothi, maatha aur naak aur kai bhaag shushk hote hai. Aise me chidra bade lagte hai. Teli jagah par acne aur pimples hona sambhav hai. Teli jagah jyada chamakti hai.
Dry skin tvacha barik aur mahin hoti hai aur chidre bilkul bareek hote hai. Kabhi kabhi nikhar hee nahin hota hai kyonki tvacha shushk rehta hai aur kai jagah par chale bhi pad jaate hai. Aisi tvacha me samasya hoti hai jhurriyon ki. Sukha tvacha ka rang badal jaata hai aur tvacha ukhad bhi jaati hai. Yeh Sunlight se bahut jaldi damage ho jaata hai. Cosmetics aur sabun se bhi is shushk tvacha me samasya khadi ho jaati hai.
Teli tvacha me sebaceous glands tel jyada utpann karti hai. Is ke karan chidra bade dikhai dete hai. Chehra bahut jyada chamakta hai aur dull dikhta hai. Aisi teli tvacha ke samasya hote hai pimples aur kaale daag. Puberty hone par pimples aise tvacha me khas ho jaate hai. Tanav aur jaya garmi aur humidity se bhi teli tvacha me samasya ho jati hai.
Sensitive tvacha bahut maheen hoti hai. Dhoop se, thandi hawa se, hawa me rahe allergen se, dhool mitti se, acid se aur alkali se is par asar dikhai dete hai. Sensitive tvacha ke samasya mein jaldi se laal ho jaata hai, fode pad jaate hai, jalan hota hai, khujli aur aise anya problems hote hai.
Tvacha ke anusar dekhbhal honi chahiye. In sabhi me hone vale common tvacha ke samasya ke upay hindi me padhe aur problem solve karne ke saath tvacha ko bhi nikhare.
Sardiyo me aur mausam anukool dekhbhal
Sardiyo me teli tvacha me aur sukhi tvacha me problems jyada hote hai. Rukhi tvacha fat jaati hai aur teli tvacha me mrut koshika aur gard jama ho jaata hai. Teli tvacha winter care me astringents ka upyog kare jaise ki kakdi aur alu se chehra ghise aur fir aloe vera ka upyog bhi to ho sakta hai. Rukhi tvacha vale ko aloe vera ke saath nariyal tel mila ke lagana chahiye. Raat ko nariyal tel me thodasa haldi mila ke maalish kare to behtar hoga. Savere bahar jaye us ke pehle chehre par moisturizer laga le. Sardiyo me amla milta hai to har prakar ke tvacha ke samasya me amla ka fresh juice lagaye chehre par to nikhar aata hai. Monsoon me high humidity se teli tvacha me problems hote hai aur is ka samadhan hai ki multani mitti dahi face pack ka upyog kare.
Jhurriyon ki Dekhbhal
Badhte umar me rukhi aur sensitive tvacha me jhurriya jaldi se dikhai dete hai jab ki teli tvacha me thode chipe rehte hai. Jhurriyo se bachne ke liye har prakar ke tvacha vale log vyayam kare, pani khoob peete rahe, poshtik aahar le aur yogya jeevan shaili apnaye. Chehre ko maalish kare har roj raat ko ungliyo se aur tvacha ko upar ki taraf kheench ke maalish kare. Snaan karne ke pehle agar nariyal tel chehra aur sharir par laga ke halka sa malish kare to nikhar aane ke saath jhuriyan door rahegi lambe samay tak.
Kale dhabbe ki samasya
Kale dhabbe ki samasya sabhi skin types me dikhai deta hai. Teli tvacha ho ya rukhi ya anya aur koi, aise me nimbu ka ras lagaye shahad ke sath mila ke. Anya kale dhabbe ke upay hai santre ke chilke ka paste, baking powder aur vinegar, lehsun aur yashtimadhu ka churan. Sab se achcha upay hai ki falo aur sabji ka paste chehre par lagate rahe. Vitamin B deficiency se bhi yeh problem hota hai to aahar me Vitamin B complex goli le. Pani ki kami se bhi tvacha shushk ho ke aankho ke neeche dark circles hote hai.
jaisi tvacha ki samasya aise us ki dekhbhal. Yeh prakrutik dekhbal ke thodese nuskhe ajmaye aur rakhe tvacha ko taro taaza.
TAGS: #rang nikharne ke tips in hindi #rang nikharne ke totke #rang nikharne ke gharelu upay in hindi #त्वचा की देखभाल कैसे करें #त्वचा को निखारने के उपाय #त्वचा के प्रकार # चेहरे की झाइयों के लिए # चेहरे के दाग धब्ब #चेहरे की झाइयों के लिए #चेहरे की चमक बढ़ाने के उपाय
Triveni, Aug 12, 2018
rang nikharne ke upay bahut badiya hai great job
Divya , Nov 10, 2017
Mera chehara thoda kala hai aur dekhne mai bahut dull lagta hai mere office mai party hai jisme mujhe khubsurat dikhna hai kiya aap mujhe gora hone ka tips bata sakte hain please help me
Madhuri Dutt , Nov 07, 2017
Mere chehara bahut hi jayeda rukha hai jis wajah se mera face white white ho jata hai ab sardi aa gai hai ab jayeda hoga please aap koi tips batayen jisse mere chehare ki rangat thik ho jaaye.
asha, Mar 28, 2019
rang nikharne ke liye kya karna chahiye?