Garbh dharan karna ek sochniya maamla hai. Is ko jaise taise approach na kare. Poorna taiyari kare aur soch vihar ke yeh kadam uthaye. Nirnay le hi liya hai to in baato ka aap khayal rakhe to aap ke liye aur hone vale santaan ke liye uttam hoga:
- Pehle apna aur apne pati ka doctor se jaanch karvaye. Doctor ke jaanch se pata lagega ki aap ko koi taklif hai ki nahi ya aap ke pati ko koi samasya hai ki nahi.
- Mansik aur sharirik paristhiti anukool banaye. Yoga aur pranayam se mansik tanav kam ho jaayega. Shram kam kar de aur job par jaati ho to tanav kam kare. Physically fit hone ka prayas kare.
- Paushtik aahaar lena shuru kare. Safal garbhdharan ke liye vajan sahi hona jaroori hai. Agar kam hai to badhane ka koshish kare aur jyaada hai to vajan kam kare. Paushtik aur santulit aahar mein fal, sabji, nuts aur doodh/dahi/paneer le aur protein bhi uchit maatra mein ho aisa aahar le. Fish, meat, eggs, daal mein se proteins aap ko mil jaayega. Vitamin B, folic acid, iron bhi paryapt matra mein honi chahiye.
- Contraceptive pills ka lena bandh kar de.
- Sex ke liye mansik aur aas paas ke vatavaran ko anukool banaye aur aapas mein pyar se sambhog kare.
- Sex ke samay koi lubricants ka upyog na kare.
- Ovulation cycle ko dhyan mein rakh ke ovulation ke do din pehle aur do din baad to avashya sex kare hi. Aise to week mein 3-4 baar karne se garbh dharan karna aasaan hota hai magar ovulation ka chartin kar ke un dino ke aspas avashya kare.
- Aap ko aur apke pati ko coffee, chai, nashili padarth, cigarette, bandh karna hoga.
- Aise khadya padarth jo garb nirodhak ho sakte hai unhe tyaag kar de.
- Samundari machli na khaaye. Is mein mercury ho sakta hai jo zeher hai.
- Har roj vyayaam kare. Ghar ka kaam aur walking bhi kaafi hai.
- Hygienic aur healthy environment mein rahe taki infection na lag jaaye.
- Ghar me pesticides aur aise zehreele padarth ka upyog na kare.....और पढ़े>>
TAGS: #how to get pregnant a woman in hindi #diet chart for pregnant lady in hindi #pregnant women jankari in hindi #pregnancy test in hindi #pregnancy diet chart/ information in hindi #pregnancy tips for normal delivery in hindi #pregnancy tips in hindi #गर्भावस्था
रानु, Feb 04, 2018
मैं अभी तक बहुत कोशिश करने के बाद भी माँ नहीं बन पा रही हूँ मैं इसके लिए किया करूँ कि जल्दी से मैं भी माँ बन सकूँ मुझे इसकी पूरी जानकारी दें|