India me har ek ghar me tulsi ka paudha hota hai aur din ka shuruaat hota hai surya pooja aur tulsi pooja se. Tulsi Laxmi devi ka vaas hai aur is ke poojan se Laxmi devi prasanna rehti hai aur ghar me sukh samruddhi chayi rehti hai. Duniya me tulsi ko holy basil kehte hai aur alag prakar ke basil bhi paaye jaate hai jin ka upyog khaane mein hota hai. Bharat mein तुलसी की पूजा bhi ki jatee hai.
Tulsi ke Prakar
How many tulasi are thare in world??? ka jawab hai ki 60 alag prakar ke tulsi prachalit hai vishwa mein. Is ka family naam hai Ocimum aur yeh Asia mein, Africa mein, Europe mein, American continents mein aur Australia mein paaya jaata hai.
Vargikaran kare to different type of tulsi plant is prakar hai:
Eugenol Type Tulsi
Eugenol type tulsi kyonki is prakar ke tulsi me eugenol ka praman jyaada hai aur swad me teekha hota hai.
Reunion Type Tulsi
Reunion type tulsi me chavicol aur kapoor jyaada hai magar linalool nahin hai.
Methyl Cionnamate Type Tulsi
Methyl cionnamate type tulsi mein cinnamate, methyl chavicol aur linalook hote hai aur is ka swad kuch alag hee hai.
European type tulsi me chavicol aur linalool jyaada hote hai.
Types of Indian Tulsi - तुलसी के पौधे की जानकारी
Types of tulsi plant jo India mein paaye jaate hai us mein hai rama tulsi, Shyam Tulsi aur anya. Yeh five types of tulsi in India is prakar hai:
Rama Tulsi
Rama Tulsi (राम तुलसी) jis ke patte hare hote hai aur jis ki pooja hoti hai. Yeh ocimum tenuiflorum family ka tulsi hai aur is mein eugenol khaas tatva hai. About rama tulsi kahe to yeh dawai ke kaam mein bhi upyogi hai. Baalo ke liye, tvacha ke liye, pachan ke liye aur sardi-khaansi me ram tulsi rambaan ilaj hai. Kusht rog yane leprosy mein bhi ram tulsi bemisaal hai.
Shyam Tulsi
Shyam tulsi ko krishna tulsi bhi kehte hai. Is ke patte aur daaliya ke kinare jamun rang ke hote hai aur yeh jyaada tej hota hai magar is ki pooja kam hoti hai. Botanical name of shyam tulsi plant hai Ocumum sanctum. Is ko Krishna tulsi bhi kaha jaata hai.
Drudriha Tulsi
Bengal, Nepal aur Maharashtra mein paaya jaata hai Drudriha Tulsi jo gale ke kharesh aur kaf mein upyogi hai aur saath mein jodo ke dard aur soojan mein.
Babi Prakar ka Tulsi
Babi prakar ka tulsi thoda alag hai aur is ke patte nokile aur lambe hote hai. Pani mein bhigoye to chikna ho jaata hai. Khushboo nahin hoti hai magar teekha swad hota hai.
Vana Tulsi
India mein paye jane vale types of tulsi plant mein vana tulsi bhi shamil hai aur tukashmiya tulsi. Vana tulsi (वन तुलसी) ko ocimum gratissum kehte hai jis mein maruvak tulsi aur babul tulsi shamil hai aur is me eugenol ka pramaan kaafi hota hai. Maruvak jaati ka tulsi ke patte ko pees ke ghaav par, insect bites par lagaya jaata hai aur is ka swad laung jaisa hota hai. Vana tulsi ke upyog malaria me kiya jaata hai, bukhar mein aur diabetes ke liye. Vana tulsi ke ras ko dandruff mein, khujli mein aur pimples mein bhi kiya jaata hai. Eslie yeh kehna galat nahi ki तुलसी की खेती ke apne hi gun hote hai.
Yeh hai five types of Tulsi jo India mein paaye jaate hai. Five types of tulsi name in Hindi jaanne ke baad aage padhte rahe.
India mein to hum sirf ek hee tulsi ko jyaada pehchante hai aur is ka poojan ya dawai mein upyog karte hai. How many types of tulsi plant available mein aage padhiye. Magar Europe mein aur South-East Asia mein tulsi yane ki basil ko jyaadatar herb ki tarah khaane mein upyog kiya jaata hai.
Europe me Prachlit Tulsi ke Prakar
Different types of tulsi plant jo Europe me prachalit hai voh is prakar hai. Jahan India ke tulsi ke patte ko flavor teekha aur tej hota hai vahan Mediterranean types of tulsi, jo Ocimum Basilicum family ke hai, thode madhur hote hai aur khaane me swad badha deta hai.
Purple Ruffle Basil
Purple ruffle basil ke patte sham tulsi ki tarah jamun rang ke hote hai aur un ka swad kuch alag hota hai jis ke karan voh Italian dishes me upyog kiya jaata hai. Yeh ek black and green tulsi plant hai.
Mediterranean Basil
Mediterranean basil types mein Nufar basil Italy mein ugta hai aur vaha ke regional cooking me upyog hota hai.
Mammoth leaf basil ek type of tulsi plant hai jis ke patte kaafi bade hote hai aur jo salads mein jyadatar upyog hota hai.
Mediterranean different types of tulsi plants me hai Genovese basil jo sab se jyaada Italy, Greece aur mediterranean rajyo mein upyog hota hai.
Lettuce Leaf Basil
Lettuce leaf basil swad me itna teekha nahin hota hai jis ke karan voh salads aur vyanjano me upyog kiya jaata hai. Is ke bhi patte bade aur madhur hote hai.
Spicy Globe Basil
Spicy globe basil ke patte chote hai magar bade patte vale basil jaisa swad hota hai.
Total typs of tulsi to 60 se bhi jyaada hai magar Mediterranean tulsi ke patte smooth, komal aur madhur hote hai. Aushad ke roop mein bhi is ka upyog kiya jaata hai.
How many types of tulasi are there? Aage padhte rahe. Kai scholars ka maanna hai ki jaati bhale kam ho magar cross breeding aur hybridization ke kaaran 160 alag prakar ke basil ya thulasi maujood hai.
Cinnaon Basil
Types of Tulsi plant in Hindi kahe to aur bhi hai jaise ki Vietnam aur aaju baju ke desho mein paaya jaata hai. Ise cinnaon basil kehte hai kyonki is me cinnamate hone ke karan dalchini jaisa swad hota hai. Patte par jamun rang ke spots hote hai. Yeh aap types of tulsi with images dekhenge tabhi pehchan payenge ya to chakh ke.
Lemon Basil
Thai cooking me adrak aur nimbu ka upyog kiya jaata hai yahan tak ki nimbu ke patte bhi daala jaata hai. Magar yaha par milta hai Thai lemon basil Ocimum citriodorum jis ka swad bilkul nimbu jaisa hota hai.
African Blue Basil
Different types of tulsi plants ka varnan African Blue Basil ke bina apurna hota hai. Is ka swad kapoor jaisa hota hai aur yeh sirf ornamental upyog mein liya jaata hai. Is ke andar hota hai cineole aur linalool aur ghar ke aas pas rakhne se machar aadi door rehte hai.
Red Rubin Basil
How many thulasi sochte rahe aur jaaniye ek aur tulasi ke baare mein jise red rubin basil kehte hai. Yeh dark opal basil ka ek jaati hai jis ke patte laal aur jamun rang ke hote hai aur jis ka khusbhoo tej hota hai. Is ka upyog salads me jyaada kiya jaata hai.
Dark Opal Basil
How many type of tulsi mein Dark opal basil ke baare me jaaniye. Is ko John Scarchuk aur Joseph Lent ne deveop kiya aur is ke patte par jamun daagh hote hai. Dikhne me bhi sundar hai aur khaane mein bhi patte is ke upyog me liye jaate hai.
Yeh hai different type of tulsi plant. Different types of leaves and their uses in Hindi kahe to swasth ke liye bahut hee faydemand hai. तुलसी के औषधीय गुण bhi bahut hai sardi jukham mein tulsi ke patte ka ras antiviral aur antibacterial hone se jaldi se raahat milta hai. Tulsi ke patte niyamit khane se cancer se suraksha milta hai. Tulsi ka paudha ghar me ho to machchar door rehte hai. Diabetic log तुलसी के बीज का उपयोग kare or khaaye to blood sugar control mein rehta hai. Pet me infection ho to tulsi ka ras se bacteria ka nash hota hai. India mein her gher mein तुलसी का पौधा लगाना bahut shubh mana jata hai yeh ghr ke her prakar ke vikaro ko door kerta hai aur gher mein shudhta lata hai.
TAGS:#tulsi ke beej ke fayde #tulsi ke upyog/faide/ totke in hindi #श्री तुलसी #tulsi ke labh in hindi #tulsi ke patte
Ramesh , Jun 07, 2017
Tulsi ke 2 patton ko roz khali pet subhe 2 saaf karke muhn main rakhkar isska ras peene se sabhi rogon se Mukti milti hai. Isse sabhi roz karen aur chamatkar dekhen ki kaise app dino din tandrust ho rahe hain i
Deepak Kawatra, Jan 16, 2018
Good used of all India Thanks for sharing your article.