PCOS yane polycystic ovarian syndrome vyasak mahilao mein payi jaati hai. What is PCOS meaning in hindi jaaniye. Is ke peeche kaaran hai estrogen aur progesterone hormones mein asantulan ya to fir testosterone ka jyada nirmaan hona. Is ke kaaran andashay mein soojhan ke sath choti choti putiyan ban jaati hai aur andashay mein se ande ka nikalna mushkil hota hai. Aage jaake is ka asar sehat par hota hai jaise ki aniyamit mahavri, soojhan, jyada rakt straav, jyada baal hona sharir par, tvacha shyam ho jaana aur keel muhase. PCOS ek paristhiti hai jis ko nazar andaz kare to aage jaake Polycystic Ovarian Disease yane PCOD mein parivartit hota hai. Is liye PCOS treatment sheeghra hee karvana jaroori hai. To janiye PCOS treatment in ayurveda in Hindi, PCOS ke lakshan, diet chart for pcod patient in hindi me, PCOD problem solution in hindi mein jane aur eska fayda uthaye.
PCOD problem solution in marathi bataye ya hindi mein bataye to yeh bahut mahatvapurna bat hai ki parhez rakhe, khas kar ke doodh ki banavat par magar chaach le sakte hai.
PCOS ke lakshan - Symptoms Of PCOS In Hindi Ayurveda
- Ayurved mein PCOS ka kaaran hai dosha vikar aur agar kaf, pitta ya vata lmein se koi bhi ek badh jaye to PCOS ho sakta hai.
- PCOS treatment in ayurveda in hindi jaan ne se pehle jaaniye PCOS ke kaaran aur PCOS ke lakshan.
- Ayurved mein PCOS hone ka moolbhoot karan maana jaata hai shukra dhatu mein asantulan jis ka ilaj kare to PCOS apne aap mit jaata hai.
- Ovary meaning in Hindi: hai andashay aur PCOS mein es mein soojhan jo jatee hai aur is ke kaaran anda bahar aane ke bajay putiyan ho jaati hai.
- PCOD problem in females in Hindi : Mahilaon mein PCOD hone ke peeche ek karan hai male hormone testosterone ka jyada hona jis ka lakshan hai sharir par adhik baal.
- PCOS mein chehre par keel muhase jyada ubhar aate hai.
- Mahilao mein PCOS problem ho to rakt straav bhi jyaada hota hai aur vajan bhi badh jaata hai.
- PCOS mein male hormone jyada hone se kai mahilao mein ganjapan aa jaata hai.
- Kai mahilae migraine aur sar dard ka shikar ban jaati hai jo PCOS hone ke lakshan hai.
- PCOS ke anya lakshan mein tvacha kali pad jaati hai khas kar ke jahan silvate ho.
PCOS mein upyogi ayurvedic jadi booti - PCOS treatment in ayurveda in Hindi
- Pcos ka desi ilaj ayurvedic jadi booti se kare to raahat hota hai aur pratham PCOS mahila ko har roj raat ko doodh mein shilajit mila ke sevan karna chahiye jis se shareer mein loh tatva badhe.
- Pcos ka ayurvedic ilaj bataye to shatavri aur karela ka sevan khas faydakarak hai kyonki shatavri mein hormone ko santulan mein laane ki shakti hai aur poshtik dravya bhi hai jab ki karela lahu shuddhikaran ka kaam karta hai.
- Jo mahila PCOS se peedit ho veh doodh mein haldi mila ke har roj sevan kare to PCOS se hone vala diabetes, keel muhase aur vish sharir mein se nikal jayega.
- Ayurved mein PCOS ka ilaj vibhitaki (बिभीतकी) jadi booti bahut faydakarak maana jaata hai kyonki is se baal ka jhadna aur andashay ka soojhan mit jaatee hai.
- Guduchi, dalchini aur shahad ko mila ke niyamit sevan kare to PCOS ayurvedic ilaj mein yeh achche parinam dega.
- PCOS grast mahilao ko niyamit amla churna aur neem ka thoda sevan karna jaroori hai kyonki amla se koshika ka nirman hota hai aur neem se khoon shuddh hota hai.
- Ashoka aur lodhra ka kaadha bana ke peene se yeh PCOS ayurvedic ilaj bahut achche parinam dega aniyamit mahavri ke samasya mein.
- PCOS mein ayurvedic ilaj hai haritaki jis ka churna ka sevan kare ya to har roj triphala ka sevan karna.
- Adrak ka ras aur devdaru ka kaadha saath mein mila ke le to yeh PCOS ayurvedic ilaj se dard nahin rehta hai aur cancer ke khatre se rakshan milta hai.
- Arandi ka tel pet par malish kare niyamit roop se to andashay ki putiyan mit jaati hai.
- Vriksh amla, kirayta aur meshashringi ka mishran kar ke sevan kare to yeh ayurvedic PCOS ilaj bahut fayda deta hai insulin niyantran, yakrut ke taklif mein aur vajan niyantran mein.
Panchkarma se PCOS ka ilaj - Pcod problem solution with Panchakarma In Hindi
- PCOD problem ayurved se suljhane mein panchkarma uttam maana jata hai kyonki is kriya se dosho ka shaman hota hai aur shariri ka shuddhikaran.
- Ayurved PCOS treatment mein panchkarma ki ek vidhi hai raktamokshan jis mein naso mein se khoon nikala jaata hai, khas kar ke aise jagah par se jahan tvacha kali pad gayi hai.
- Yeh bhi ek pcod ke gharelu upchar hai aur yeh vidhi bhi panch karma ka ek bhag hai jise kehte hai gudbasti kiya jaata hai aushadh yukt tel ke sahare aur yeh karib ek hafte tak jaari rakhna hota hai.
- Virechan panchkarma ka ek bhag hai jis mein khas jadi booti aur ayurvedic aushadh, jaise ki aerandi ka tel diya jaata hai aur virechan ho ne par pet saaf hota hai.
- Panchkarma ayurvedic upay mein ek kriya hai aushadh yukt tel se maalish karna jis kriya se tvacha ke marg se vish nikal jaata hai aur dosho ka shaman hota hai.
- Ayurved panchkarma PCOS ilaj mein bhaap se ilaj kare aur poore sharir ko steam bath diya jaata hai jis se pasine se vish bahar nikal jaata hai.
- Panchkarma PCOS ilaj mein uttarbasti kriya hai jis mein aushadh yukt tel se garbhashay ka sinchan kiya jaata hai aur aisa karne se yaun vikar samapt hota hai.
- Panchkarma mein vaman se bhi PCOS ka ilaj hota hai aur is kriya mein aushadh de ke mahila ko ulti ho jaata hai jis se pet mein rahe vish bahar nikal ke hormones santulit ho jaate hai.
- Shirodhara bhi ek panchkarma PCOS kriya hai jis mein sar par tel ki dhaar baha diya jaata hai aur tanaav aadi door ho jaate hai.
Sahayak yogasan PCOS Mein - Yogasanas Helpful In PCOS Treatment In Hindi
- Cyst in ovary treatment at home in Hindi: Andashay me ganth ka ilaj yogasan dwara kiya jaa sakta hai jis me aap kar sakte hai naukasan.
- PCOD problem solution in Hindi: Pcod mein sahayak yogasan hai uttanasan jis mein khade rehke upar ke sharir ko jhukaye aur haath lambe kar ke jamin par lagaye aur sar ko ghutno tak lane ka prayas kare.
- Baddhakonasan kare jis mein jamin par baithe, pairo ko failaye aur fir dono pairo ko aise mode ki talve ek dusre se jude aur inhe pet ke neechle hisse par lagaye.
- Sarvangasan kare jis mein peeth par let jaye aur pairo ko seedha upar hawa mein uthaye aur hatho ko kamar par rakh ke sahara de.
- Shalabhasan kathin hai aur is mein pet ke bal let jaye, pairo ko peeche se upar uthaye aur sharir ke aage ke bhag hawa mein upar uthaye.
- Bharadvajasan mein jamin par baith ke pairo ko lamba kare, ek baaju thoda mude aur ghutne mode aur pairo ko ek baaju mode aur ek pair ko doosre par chadha de aur upar ke badan ko viparit disha mein mode.
- Padmasan kar ke baith jaye aur pranayam kare to har taklif door hota hai, khas kar ke 15 minute kapalbhati karne se.
- Suryanamaskar karne se bhi PCOS mein fayda hota hai.
Ayurved suchnae PCOS niyantrit karne ke liye - Important Tips For Controlling Polycystic ovarian disease in hindi
- Polycystic ovarian disease ke bare mein bataye to yeh haalat kaafi kashtdayi ho sakta hai isiliye ayurved ke anusar tanav se bach ke rahe aur 8 ghante poorte praman mein neend le.
- Din mein kabhi neend na le kyonki din mein sone se lakshan ugra ho sakte hai
- PCOS se peedit mahilao ko sabji aur falo par jyada dhyan dena hoga
- Har roj niyamit 8 se 10 glass paani peete rahe to PCOS mein raahat milta hai.
- Satvik aahar le aur tanav se mukt rehne ke liye dhyan kare.
- Har roj kuch na kuch karya mein jute rahe aur yeh khas dhyan de ko aam yane acid badh jaye aise aahar na khaye.
- Chai coffee tyag dega PCOS peedit mahilao ke liye uchit hai.
Kya khaye aur kya na khaye - Foods to Fight PCOD in Women in hindi
- PCOS treatment in ayurveda karenge to aahar par khas dhyan de aur karela aur sahjan ka niyamit upyog kare.
- Maas, machli, gud, ande, caffeine yukt padarth, sharab, fridge mein rakha hua thanda khaana aur ghee ka upyog na kare.
- Sabjiyo mein tamatar, pyaj, pudina, hare patte vali sabji, foolgobhi aur kaddu ka sevan jaroor kare.
- Falo mein seb, kele, aur mosambi jaroor lete rahe.
- Niyamit, nischit samay par bhojan kare aur adhik na khaye aur tej masalevale aahar se door rahe.
- Aahar mein methi daane, dalchini aur lehsun ko shamil kare.
- Spearmint bataye to yeh pahadi pudina hai aur pudine se milta julta hai to pudina aur salad avashya khaate rahe PCOS ko niyantran mein rakhne ke liye.
- Upar bataye anusar ayurvedic jadi booti ka sevan karte rahe.
Yeh hai PCOS ke baare mein jaankari aur aap ne jaan liya what is PCOD in hindi aur kaise harmons problem treatment aap kar sakte hai aur PCOS ko jaldi se kabu mein laa sakte hai. PCOS ke lakshan pehchane aur fauran ayurvedic rasta apnaye.