Papita khaane ki cheez hai to is ko baalo se kya lena dena? Lena dena hai, mostly dena kyonki jab aap apne baalo ko papeeta ka prasad dete hai to voh chamak aur khil uthenge aur baalo ko hrusht pusht bana denge. Baal aise lehrayenge jaise tiranga. Jaaniye papite(papaya) ka mask banane ki vidhi aur papeeta ke fayde balo ke liye.
Papita Mask Banane ki Vidhi
- Pakka papita le. Chilka nikal de. Chote tukde kare. Mixer mein paste bana de.
- Avocado le, andar ka garbh nikale. Mixer mein paste banaye.
- Adha adha cup leke dono ka mishran kare ek bowl mein.
- Ek chamach jaitun ya nariyal tel daale aur ek chamach shahad aur ek chamach nimbu ka ras.
- Nariyal ke tel ke badle taaja nariyal ko mixer mein paani ke saath blend kar ke chaan le aur nariyal ka doodh daale is papeeta hair mask mein.
- Achchi tarah hila hila ke smooth paste banaye.
- Ab is paste ko apne baalo mein aur jado mein mal de.
- Ek ghante tak relax kare.
- Gun gune paani se dho de. Shampoo ke badle aritha ka upyog kare. Baal sukhne ke baad halka sa nariyal tel ungliyo mein laga ke baalo mein phira de.
- Is papite hair mask mein aap anda, dahi, aloe vera aur kele ka upyog bhi kar sakte hai.
Papite(papaya) ke Fayde
- Papita mein hai vitamin C, antioxidants, potassium, protein, Vitamin D, Vitamin B12, B6, Magnesium aur sharkara padarth hota hai.
- Papeete ke hair mask niyamit upyog karne se fayde hai ki split ends bandh ho jaayenge. Baal ghane ho jaayenge aur kaale lagenge. Baalo ka texture bhi sudhar jaayega.
- Baalo ka jhadna bandh ho jaayega.
- Baal naram aur mulayam ho jaayenge. Chehre ko dekhne ke badle log aap ke baalo ko jyaada dekhenge.
TAGS : #balo ko lamba karne ka tarika hindi me #balo ke liye ayurvedic upay #balo ko lamba karne ka gharelu upay/gharelu nuskhe #home remedies for hair growth in hindi #बालों की देखभाल के नुस्खे #gharelu nuskhe for hair growth #balo ko badhane ke gharelu nuskhe #lambe balo ke liye gharelu upay/gharelu nuskhe #balo ko lamba karne ke tips #balo ke liye gharelu upchar #balo ke liye yoga #balo ko badhane ke upay/tips #balo ko ghana karne ka tarika/gharelu upay #बालों को लम्बा करने का तरीका #बालों को लम्बा करने के उपाय #बालों को लम्बा कैसे करे #लंबे बालों के घरेलू नुस्खे #लंबे बालों के टिप्स
अलका , Feb 07, 2018
पपैइया पैक का बालों के लिए किया बेनिफिट्स हैं इसे कैसे बनाया जा सकता है और इसे कैसे यूज करें इसके बारे में विस्तृत जानकारी दीजिए|