सर्दी-जुकाम से लेकर ओरल कैंसर जैसी बीमारियों का तोड़ है पान

सर्दी-जुकाम

Pan ke fayde in hindi :Paan chabana ek andaaz hai jise nawabo ne ek aur hee roop diya hai. Aam log khana khaane ke baad paan khaate hai. Paan bina koi bhi dharmik vidhi karna namumkin hai. Magar aap ab yeh bhi jaaniye ki paan ke aushadhiya gun hai jo aap ko cancer jaise bimariyo se bacha sakti hai. 

  • Daanto me sadan ho aur pyorrhea ho to paan ke patto me thodasa menthol aur kapoor ke crystals daal ke mooh me rakhe aur dheeme se chabata rahe. 3 baar kare to chutkara milega. 
  • Agar khaansi aati hai aur gale me kharaash hai to pan par yashtimadhu powder chidke aur shahad lagaye aur khaaye. Pan me antibacterial aur anti-fungal gun hai. Paan me rahe antioxidants aap ko cancer aur voh bhi oral cancer se surakshit rakhenge aur vajan bhi kam karenge.   
  • Paan khaane se khaana saralta se pach jaata hai. 
  • Mooh me chaale pad gaye ho to bhi paan chabate rahe din bhar.
  • Kidney aur mootra sambandhit samasya me din me 2 baar paan khaaye. Kidney ki karyakshamta badhti hai. Alp Mutra rog me paan ka ras piye doodh aur paani ke saath mila ke. 
  • Chehre par muhase hatane ke liye aur nikhaar lane ke liye paan khaaye. 
  • Paan khaane se purusho me paurash badh jaati hai. 
  • Gathiya jaise rog me paan ke sevan se aur paan ko pees ke aerandi ke tel ke saath mila ke lep karne se fayda hota hai. 
  • Ulcer ho to paan khaaye. 
  • Ghaav par paan par aerandi ka tel laga ke garam kare aur paati baandh de. 
  • Mandagni me paan chabaye to bhook lagega.

“Khai ke paan banaraswala khul jaaye bandh akal ka taala”…ab aap jaan gaye hai ki paan ke aur kaunse upyog hai............और पढ़े>>

TAGS: #paan khane ke nuksan #supari khane ke fayde #paan ke patte ka upyog #paan ke patte ke fayde in hindi #paan ka patta benefits in hindi #paan ke patte ke totke

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

5 Comments

Amit Singh, May 15, 2017

acha to laga but try karna wo bhi daily mushkil hain

Puneet Juneja, May 15, 2017

thanks for the great knowledge sharing

Gurpreet Singh, May 15, 2017

bahut badiya bahut badiya likha hain... wah ji wah

Monu, May 15, 2017

Very nice article and great tips

Malti, May 10, 2017

Bahut ache gharelu nuskhe likhe hain.. thanks for the great inputs