त्‍वचा को बेजान बनाता है ब्‍यूटी क्रीम्‍स का अत्‍यधिक इस्‍तेमाल

त्‍वचा

Aaj kal looks hee sab kuch hai. Social circles me ya to professional circles, dikhava agar sahi nahin ho to voh vyakti avkarya nahin hai. Shayad isi karan se khas kar ke mahilao me aur aaj kal purusho me bhi beauty creams ka upyog badhta jaa raha hai. Fairness creams, face glow creams, sunscreen creams, anti-ageing creams aur aise alag prakar ke creams ka khulle hath upyog hota hai. In beauty creams me kai aise chemicals hai jo short term me jaroor fayda dikhati hai magar lambe samay par nuksan pahuncha kar tvacha ko bilkul bejan aur jhurri yukt bana deti hai. 

Shampoo, Nail polish, Perfumes, Lotions ke Nuksan

In sabhi samagri me dibutyl phthalate, dimethyl phthalate aur diethyl phthalate hote hai. Harvard School of Public Health ne study kiya aur yeh paya gaya hai ki phthalate se purusho me shukranu ko hani hota hai. Phthalate se genetic modification ho sakta hai aur garbhvati mahilao ko sambhal ke rehna chahiye in sabhi saundarya prasadhano se. 

Fairness Creams Kare Nuksan

Tvacha gora ho yeh sabhi ki khwaish hai aur purush aur mahila khul ke fairness creams ka upyog karte hai. In fairness creams me hota hai steroids, tretinoin aur hydroquinone. Yeh chemicals dwara liver ko nuksan hota hai. Mercury based compounds ho to yeh atyant zehreele hote hai. Skin cancer hona sambhav hai aur dag dhabbe ho jaate hai jinhe mitana bahut mushkil sabit hota hai. In creams me hote hai BHA aur BHT jo cancer ke karan hai aur yeh thyroid aur sex organs ko bhi hani pahunchata hai. Hydroquinone short term me chehra bleach karta hai magar lambe samay par kale dhabbe ho jate hai tvacha par aur tvacha rukhu aur bejan ho jaati hai. 

Sodium Borate aur Boric Acid 

Yeh baby ke diaper creams me paya jaata hai aur anya face creams me bhi. In chemicals ka asar hormone system par hota hai jis se purusho me banjhpan aa sakta hai. 

Coal Tar Based Products

Hair dye aur psoriasis tatha dandruff treatment shampoo aur hair dyes me upyog hota hai phenlylenediamine, diaminobenze aur aminophenol. In chemicals ke upyog se cancer hone ki puru sambhavna hai.

Preservatives ke Nuksan

Har ek prakar ke creams aur beauty products me preservatives hote hai jaise DMDM hydantoin, diazolidinyl urea, methenamine aur imidazolidinyl urea jo formaldehyde ka utapadan karte hai aur yeh chemical seedha brain par asar karta hai. 

Sunscreen 

Sunscreens me oxybenzone paya jata hai jis ka karya hai UV kirano ko absorb karna. Magar yehi chemical irritation paida karta hai, allergy paida karta hai aur hormone ke karya me badharup ban ke khada ho jaata hai. Sunscreen aur anya lip creams me Retinol bhi ho sakta hai jin ke karan skin cancer ho sakta hai. 

Toothpaste, Deo, Hand Sanitizers

Hand sanitizers ka khoob prachar hota hai aur deo ka bhi. In sabhi me hota hai triclosan. Triclosan thyroid granthi par aur sex organs par hanikarak asar karta hai to bach ke rahe. 

Hair Spray aur Beauty Creams

Balo ko lachila aur silky smooth banane ke liye aur tvacha ke liye jo spray aur cream hai un me methicone chemical upyog kiya jaata hai jo siloxane group ka hai. In se hormones ke karya me badha khadi ho jaati hai aur kam shakti aur fertility par asar hota hai. 

Anti-Aging Creams

Anti-aging creams me hote hai TEA, DEA aur MEA chemicals jo liver aur kidney ko nuksan karte hai aur cancer ke karanrup hote hai. 

Makeup Saundarya Prasadhan

Mascara, foundation, lotion, serum aur creams me dozen se jyada chemicals hote hai. Khas kar ke petroleum based chemicals bahut nuksan dayak hai. Tvacha dwara yeh absorb ho ke khoon me chale jate hai aur sabhi granthi par asar hota hai. Yeh sabhi saundarya prasadhano se pimples aur acne ki samasya badh jaati hai. Skin cancer ka khatra khada ho jaata hai. Lead yane shisha ho to is se cancer hota hai, brain ka kamkaj par asar hota hai, fertility par jhatka lagta hai aur high blood pressure ho jaata hai. Heavy make up karne se sar me dard, chakkar aana, ulti hona aur adhik thakan mehsoos hona aam baat hai. 

Cleansers

Moisturizers aur cleansers ka upyog to jaise compulsory ho gaya hai. Peeling masks bhi bahut popular hai. In sabhi me aise chemicals hote hai jo tvacha ka natural pH balance ko disturb kar dete hai. Vitamin C aur retinoid jyada praman me ho to yeh atyant acidic padarth se tvacha ka prakrutik rakshan UV kirano ke samne jo hai voh disturb ho jaata hai. Kai prasadhano me jyada alkaline padarth hote hai jo pH level ko dusturb kar dete hai. Tvacha rukhi ho jaati hai aur jaldi se jhurriya pad jaati hai. 

To yeh sab ka ilaj kya? Beauty products ka alternative kya hai? World ke top brands ke formulations me bhi nuksaran rasayan hote hai. Far east ke saste products to muft me bhi na le, pachtaoge. 

Ek rasta yeh hai ki sirf organic aur herbal products ka hee upyog kare. Hamesha label padhe aur dekhe ki is me ingredients kaunse hai. Parabens, glycol, retinoids, preservatives aur anya chemicals ho to aise products na khareede. Doosra tarika yeh hai ki ghar par hee natural products ke upyog se banaye beauty products aur gharelu upchar aur gharelu nuskhe apnaye beauty aur skin care ke liye. Ho sake itna kam make up ka upyog kare aur prakrutik samagri ka upyog kare to saundarya me aur dikhav me kuch kami nahin hogi aur tvacha ko nuksan bhi nahin.

TAGS: #side effect of fairness cream in hindi #beauty cream ke sideeffects in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Ruchira Soni, Nov 10, 2017

jaisa ki aapne kaha hai ki jayeda cream aapke chehare ko bejan banata hai isliye main roj raat ko nariyal tel laga kar soti hun lekin mera rang thoda kala hai please aap koi tips bata sakte hain jisse main apna rang nikahr sakun.

Mona Sahni, Nov 07, 2017

Jaisa ki aapne bataye hai ki tavcha ko bejaan banata hai cream lekin kehte hain ki aap apne chehare par mosturizer wala cream lagayen lekin kiya wo face kharab nahin karegi?