दलिया खाने के फायदे - Wholesome Benefits of Cracked Wheat

दलिया

दलिया खाने के फायदे - Daliya Health Benefits 

  • शरीर में हिमोग्लोबिन की मात्रा बड़ाता है
  • वजन कम करे
  • ब्रेस्ट कैंसर से बचाव
  • हड्डियों को मजबूत बनाएं
  • डायबिटीज में फायदेमंद दलिया
  • पाचन क्रिया को स्वस्थ रखने में सहायक है दलिया
  • मोटापा कम करने में सहायक है दलिया
  • कोलेस्ट्रॉल को कम करने के लिए फायदेमंद है दलिया 

Aaate aur maida se bani cheezo ko khane ke itne aadi ho gaye hai hum ki daliya par dhyan nahin dete hai. Daliya yaane cracked wheat jise bulgur bhi kaha jaata hai, ek anmol khajana hai poshan ka. Hazaro saalo se na sirf India mein balki Middle East, Turkey, Jordan, Syria aur Lebanon mein istemal kiya jaata hai aur aaj bhi itna hee lokpriya hai. Saudi Arabia mein ise Nejd aur Al-Hasa kaha jaata hai.  Badkismati ki baat yehhai ki jahan ek samay par dalia ka khoob upyog hota tha India mein, aaj refined flour yaane ki maida ka chalan badh gaya hai.  Aaiye jaaniye wholesome benefits of cracked wheat or dalia ke fayde hindi me. 

What is daliya : दलिया के बारे में जाने 

What is daliya? Gehu ko is tarah se process karte hai ki is ka bareek aata nahin banta hai magar tukde bante hai. Is ko kehte hai dalia ya daliya. Is process mein gehu ke upar ka chilka aisa hee rehta hai aur kyonki itna garmi paida nahin hota hai, gehu ke poshak tatvo ka nash bhi nahin hota hai. Yeh jyada fayda deta hai aate ki tulna mein. Ab aap cracked wheat in hindi me Dalia ke nutrition ke baare mein jaaniye. 

Wheat Dalia Nutritional Value

Dalia nutrition ke baare mein ab jaaniye: 
Calories in daliya hai karib 440 ek cup mein. Dalia calories bahut kam hai aur energy dheeme se release hota hai isiliye lambe samay tak bhook bhi nahin lagega. 
Dalia nutrition ki baat kare to ek cup kachche daliya mein se milega fats 2 gram, protein 17 gram aur carbohydrates 96 grams. Is ke alava daliya mein se milega 3 mg Sodium, 466 mg Potassium, Calcium 4% aur iron 23%. Dalia mein se milenge thiamine, niacin, vitamin E aur folate. Dalia food ke taur par akele khaaya jaa sakta hai ya to ise aap chicken, mutton aur vegetables ke saath mila ke khaa sakte hai. Aate ki tulna mein benefits of dalia adhik hai.

Dalia Khaane Ke 10 Fayde 

Dalia khaane ke 10 fayde yahan jaaniye:

  1. Ek to daliya benefit yDalia khaane ke 10 fayde eh hai ki is ke process mein poshak tatva aise ke aise rehte hai. 
  2. Benefits of daliya hai ki aap ko poora poshan milta hai aur saath mein fiber bhi. 
  3. Khaas broken wheat health benefits hai ki dalia mein bharpur iron hota hai jo dil ke liye aur hemoglobin banaye rakhne ke liye atyant jaroori hai. 
  4. Dalia ke fayde yeh hai ki yeh bade tukde hote hai aur pachne mein samay lagta hai. Falswarup energy dheere se release hota hai aur din bhar bhook nahin lagta hai. 
  5. Weight watchers ke liye dalia benefit yeh hai ki is mein fat bahut kam hai. Dalia mein saturated fat bilkul nahin hai. Dalia fayda hai ki wajan badhta nahin hai aur jis ka wajan jyaada hai to vajan kam ho jaata hai. 
  6. Kyonki yeh gehu ke tukde hai aur is ke upar ka chilka ke saath hota hai to aap ko chaba chaba ke khaana padta hai. Aisa karne se daant bhi saaf rehte hai voh bhi wheat dalia benefits mein gina jaa sakta hai. 
  7. Dalia benefits in Hindi bataye to yeh dil ke liye gunkari hai aur dil ko majboot rakhne ke saath diabetes se bhi aap ko bacha ke rakhega. Jinhe diabetes hai voh dalia fayde uthaye aur apna blood sugar control mein rakhe is ke sevan se. Dalia mein magnesium bhi hao jo enzyme aur insulin banane mein sahayak hai. 
  8. Mahilao ke liye dalia beneift yeh hai ki voh breast cancer se bach ke rahenge. 1 cup dalia mein aap ko din bhar ke liye jitne fayde chahiye voh mil jaate hai. 
  9. Kabz ki shikayat ho to benefits of eating dalia in dinner yeh hai ki pet saaf ho jaata hai aur aant bhi saaf rehte hai aur body ka pH level yaane acidity kam ho jaata hai.  
  10. Broken wheat benefits dil ke liye kai hai. Is ke khaane se arteries saaf rehte hai aur stenosis yaane ki khoon ki nali ka sankuchit hona, lis se aap bache rahenge. Heart failure se bhi bache rahenge agar har roj savere is ka sevan kare.

Cracked Wheat Health Benefits

Food value of dalia aap badha sakte hai alag alag tarike se. 

  • Savere aap wheat dalia ko akele banaye upma ki tarah aur poora ghee daale to din bhar energy milega kyonki protein aur fat ka uttam mel jod hota hai. 
  • Daliya nutrition badhane ke liye aap is ko bulgur (steamed dalia) banaye aur fir stir fried vegetables ya kachche vegetables aur paneer ke saath mila ke khaaye. Aisa karne se calories kam honge aur lambe samar tak urja milta rahega. 
  • Benefits of deating dalia in dinner mein aap ko neend achchi aayegi, pet saaf hoga doosre din aur energy bhi slow release hota hai. 
  • Dalia advantages yeh hai ki aap is ko 10 minute ke andar paka sakte hai breakfast, lunch, snack ya dinner ke liye. Bus 15-20 minute is ko paani mein ya 10 minute garam paani mein bhigo ke rakhe to aur jaldi pak jaayega. Aap is ko dahi ke saath khaaye to bahut hi faydakarak hai. 
  • Dalia ko sabji ke saath mila ke microwave kar ke khaaye to yeh uttam hai weight loss ke liye. Is ke liye aur bhi alag recipes hai weight loss ke liye. 

Dalia Recipe For Weight Loss

  • Dalia ko adha ghante tak bhigo ke rakhe aur phir is mein pyaj, gajar, kakdi, tamatar, adrak, hara pyaaj, hare matar,  french beans milaye. Thodasa masala milaye aur saath mein thoda jeera, ek tukda dalchini aur laung milaye. Thodasa olive oil daale aur mixture mein paani mila ke ek bartan mein rakh ke pressure cook kare 10 minute tak ya to microwave kare. 
  • Dalia wheat ko bhigoye aur fir steam kare. Is steamed daliya mein dahi mila ke khaaye. Steamed daliya ko salad mein mila ke khaane se complete, low calories meal hota hai jo poshtik bhi hai. 
  • Steamed daliya ko daal ke saath khaaye to energy aur poshan bhi saath mein milega jab ki calories bilkul kam honge jo weight loss ke liye shresht hai. Is mein kachche sabji kaatke daale to aur bhi behtar hai. 

जाने कैसे दलिया शरीर में शक्ति प्रदान करता है

  • Dalia energy ke liye bahut faedemand hota hai. Savere uth ke parathe banana samay khaa jaata hai. Dalia ko raat ko bhigo ke rakhe aur savere uth ke jaldi mein ho to apne liye aur bachcho ke liye banaye ek healthy aur energetic breakfast in do tariko se: 
  • Ek Pan mein ghee daale aur bhigyoye hue dalia ko chaan ke  ghee mein daal ke thodi der bhune thodasa pani ke saath. Paani sookhne par gud daale aur is ko pighalne de. Yeh hai high energy breakfast jo din bhar aapko rakhe sfurtila. Chahe to is mein doodh ya cream mila ke khaaye aur dry fruits add kare. 
  • Dalia recipe in hindi mein aap thoda tel bartan mein daale aur thode paneer ke tukde, matar, sabji aur pyaaj ko stir fry kare 2 minute tak aur fir bhigoye dalia daal ke paani daal ke 5 minute tak pakaye. Yeh bhi high energy food hai jo 5-10 minute main ho jaata hai taiyaar. Noodles se dalia khaana achcha hai. 
  • Dalia cracked wheat ko thodasa gehu ke aate ke saath mila ke ghee aur doodh mila ke aata baandhe aur  baati bana ke khaaye, dal ya sabji ke saath. Thoda khaane par pet bhar jaayega. Benefits of deating daliya in dinner aap ko magnesium milta hai jo dil ke liye fayda deta hai aur Niacin aur thiamine se neend bhi achchi aati hai aur brain ke liye bhi yeh positive effect dene waale hai. 
  • Dalia cracked wheat cook karne hai to pehle 20-30 minute tak bhigoye to jaldi pakega. Agar bhigone ke liye time nahin hai to aise hi tave mein thoda ghee mein bhun le to taste bhi badhiya hoga aur pakne mein bhi aasaani hogi. 

Health benefits of broken wheat dalia anginat hai. Wheat dalia nutritional value bahut hai yeh dil se leke dimag tak aur aanto se leke haddiyo tak sabhi tandurast rahenge. Sirf ek cup dalia chahiye swasth ko banaye rakhne ke liye. Jinhe kidney stone ki taklif hai voh thoda kam khaaye kyonki daliya mein thode bahut oxalate hote hai.

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

11 Comments

Krista, Mar 02, 2019

nice article

Monica, May 26, 2018

dalia khane ke bahut se fayde hai yeh wajan kam karta hai, haddiyon ko majboot karta hai, colestrol ko niyantrit karta hai aise eske aur bhi bahut se fayde hai. eslie mein roz dalia khana pasand karti hoon

sonica, May 05, 2018

daliya khane ke fayde itne hote hai pata nahi tha

Mithilesh, Apr 07, 2018

Kiya daliya kidney Stone aur fatty lever ke patient ko khilaaya ja sakta hai? Please advice me

ऱमोना , Mar 08, 2018

दलिया खाने के किया फाएेदे हैं मुझे बताएँ इसे कब और कैसे खाना है तथा कितनी मात्रा में खाना है वो सभी कुच्छ विस्तार में बताइए|

बसंत, Feb 28, 2018

दलिया खाने के किया फाएेदे हैं मुझे बताएँ जिससे कि मैं इसका लाभ ले सकूँ साथ में मुझे यह भी बताइए की इसे कब और कितनी मात्रा में खाना है|

रोहन कपूर, Feb 23, 2018

दलिया खाने के किया फाएेदे हैं और साथ में मुझे यह भी बताएँ की इसे कब और कैसे खाना चाहिए और कितनी मात्रा में सब कुछ विस्तार में जानकारी चाहिए|

रोमी, Feb 16, 2018

दलिया खाने के फाएेदे किया हैं मुझे बताइए साथ में मुझे यह भी बताइए कि इसे किस समय और कितनी मात्रा में खाएँ

विनीत खन्‍ना, Sep 18, 2017

दलिया खाने के क्या फ़ाएदे हैं इसके बारे में आप पूरी तरह खुल के बताएँ की कब कैसे और कितनी मात्रा में दलिया खाना चाहिए|

Balenderyadav, Mar 04, 2017

Right for weight loose bahut badiya hai daliya khane ke fayde tips

meetanshi, Jan 16, 2017

apke dwara batae gae dalia benefits bahut achcha hai