Sir Dard Ka ilaj : नींबू से करे सिरदर्द का घरेलू उपचार

Sir

Sirdard dur karne ka gharelu tarika : Stress, anxiety, tension, bhaag daud, dhoop mein firna, utavlapan, samaysar na khaana, dehydrate ho jaana yeh sabhi se ho sakta hai aap ko sirdard. Aspirin lene ki jaroorat nahin hai. Nimbu hai kaafi sir ke dard ko door karne ke liye. Nimbu mein adhik maatra mein aap ko milega Vitamin C jo blood vessels ko relax kar deta hai. Is ke alava nimbu mein hai terpenes aur polyphenols aur khaas kar ke limonene . Nimbu ka khushbu limonene se hai jis ka dimag par khaas prabhav padta hai. Yeh tanav aur anxiety ko door kar deta hai. Is khushboo se aap ko taazgi mehsoos hogi aur thakan sharir mein se beh jaata hai.

Kaise upyog kare nimbu ko sirdard ke liye?

  • Dhoop mein se aaye ho to thande paani mein shahad milay.
  • Aur pudine ke patte ko kuchal ke daal de.
  • Thodasa adrak kaddu kas kar ke daale to theek nahin daalna hai to aap ki marji.
  • Ab ek nimbu ko do tukdo mein kaate.
  • Ek tukde ko baath se paani ke under dubo ke achchi tarah masal de.
  • Aisa hi doosre nimbu se kare. Nimbu ke ras ke saath limonene bhi paani mein utar aayega.
  • Ab shaukh se pair lambe kar ke yeh nimbu ka sharbat ka lutf le.

Aise bhi kare nimbu ka sirdard main istemaal :

  • Thak ke choor ho gaye ho aur tanav se pise gaye ho office ke kaam ke baad to nimbu ka chai banaye.
  • Paani mein green tea ya black tea daale.
  • Adrak ka ras, pudina ke patte  aur lemon grass daale to aur bhi achcha.
  • Ab is paani mein nimbu ko dubo ke apne ungliyo se masle.
  • Ab is paani ko ubale. Chaan le aur namak ya shahad daal ke piye.
  • Aap ka sirdard door ho ke aap bilkul realx ho jaayenge.
  • Jhatpat upay hai ki nimbu ka ras nichod ke ek baaju rakhe aur chilke ko paste banaye.
  • Is paste mein thode boond nariyal tel daal ke apne maathe par ghise.
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments