Beauty Benefits of Neem in Hindi: Neem ya margosa bahut kadva hai magar us ke fayde meethe hai. Neem ke kai alag alag upyog hai aur is ke regular use karne se aap bilkul nirogi rahenge. Yeh poora ped ek anmol khajana hai kyonki is ki chaal, patte, phool aur beej, sabhi ke upyog kiye jaate hai. Jaaniye neem ke fayd or benefits in Hindi for skin, beauty, health.
नीम के फायदे गुण व उपयोग
- Neem skin allergies or rashes ko door kare.
- Neem acne or pimples ko door kare.
- Skin ke excess oil secretion ko control kare.
- Twacha ki ranget ko nikhare.
- Chehre ke kale dhabbo ko door kare.
- Adhik sookhi twacha ko theek kare.
- Chote chidron (small pores) ki samasya ko door kare.
- Curly hairs ki samaayaon ko door kare.
- Neem ka dia or tel jalane se machar bhaag jate hai.
- Dant aur masudo ko swasth rakhe.
- Neem ke tel ki malish charam rog ko door kare.
- Neem ki jad ko panee mein ubalker pie aur bukhar theek kare.
Neem ke Gun
Neem benefits fayde in hindi: Ayurved me neem ka ullekh Sushruta aur Charak samhita me paaya jaata hai. Is sarva roga nivarini kaha gaya hai. Yeh arishta hai aur is ka naam ka mool hai nimbati syasthyamdadati yaane swasth pradaan karne vala. Ayurved me ise tiktasandha yane kadva maana hai. Yeh khujli mitane vala hai. Pachne me halka aur rookha hai aur pachne par madhur vipak hota hai. Neem sheetal hai gun me. Agni tej ho jaati hai, thakan mit jaata hai, cough ka haran hota hai, bukhar me kaam aata hai, kruminashak hai, aruchi mita deta hai, ulti aur chakkar ko bhaga deta hai aur madhumeha me gunkari hai. Sabhi ango ke liye behtreen hai neem ke gharelu nuskhe sar se leke pair tak.
Neem ke patto ka gun: Pitta ka shaman hota hai, vish bahar nikal jaata hai, vata tej ho jaata hai aur aankhon ke liye gunkari hai neem.
Neem ke phal ka gun: Teli hai, pachne me halka, ushnavirya, gas har, bavasir ka haran karta hai, krumi nashak hai aur madhumeha me fayda deta hai.
Neem beej tel: Tvacha sambandhit rogo me gunkari.
Neem ke chaal: bukhar me gunkari.
Neem ke Fayde in Hindi - नीम के फायदे
Ab jaaniye neem ke patte ke fayde in Hindi.
- Neem antibacterial hai, anti-fungal hai aur anti-viral hai. Neem ke patte ko aap kai alag tarah se upyog kar sakte hai. Ubal ke kaadha banaye aur yeh paani ka istemal kare ya to fir neem ke patte ko pees ke yeh paste ka istemal kare. Is ko aushadh ke roop me sevan kar sakte hai aur tvacha va balo me bhi laga sakte hai. Neem ke patte ka upyog baharuni aur andaruni tarike se kiya jaa sakta hai.
- Pimpals ke daag hatane ke upay me neem ke patte ka paste aur nimbu ka ras ka upyog kare.
- Neem ke patte khane ke fayde anek hai. Ek to aap ka lahu shuddha ho jayega aur is se hone vale pimples aur anya tvacha sambandhit samasya door hoga.
- Neem ke patte aap komal hee khaye aur aisa karne se bukhar se aap bache rahenge, khas kar ke machar se hone vali malarial fever se suraksha milti hai.
- Neem ke patte in Hindi kahe to amrut saman hai kyonki is ke khane se pet ki krumi aur bacteria ka nash hota hai.
- Neem k tips hindi me jaaniye ki agar diabetes ke mareez savere neem ke komal patte chaba ke khaye to blood sugar level control me rehta hai. Magar yeh dhyan rakhe ki jyaada na khaaye.
- Neem ke patte ke fayde chahiye to inhe chabaye to dant ka sadan aur mooh me badboo me rukavat aa jaata hai aur dant majboot bane rehte hai.
- Har roj neem ke dandi se datun kare to dant rahenge saaf. Neem ka datun ke fayde yeh hai ki mooh me bacteria ka nash hota hai aur dant surakshit rehte hai lambi umar tak.
- Neem ke patte ka upyog paste bana ke aap tvacha ke koi bhi rog jaise eczema aur psoriasis aur dermatitis me lagaye to yeh theek ho jaata hai. Baalo me neem ka paste upyog kare to rusi kam ho jaati hai. Herpes me bhi labh hota hai.
- Neem ke fayede uthane hai to is ke patte ka kadha banaye aur piye khali pet to khoon shudh ho jaata hai, uch raktchaap se chutkara milta hai aur dil majboot rehta hai.
- Haldi ke fayde aur badh jaate hai jab ise neem ke patte ka paste ke saath mila ke keel muhaso par lagaya jaaye.
- Nim ki patti fefde ki bimariyo me bhi upyogi hai aur ringworm aur tvacha ke fungal infections me bhi.
- Neem ke patte ka fayda hai ki is ke sevan se aap surakshit rehte hai cancer jaise gambhir bimariyo se. Aap ka yakrut bhi healthy rahega. Jaundice se bache rahenge aur ho gaya hai to nim ke patte khane se jaldi recovery aa jaata hai.
- Neem ke patte ka paste agar kisi jantu ne kaata hai vaha lagaye to vish ko bahar nikal deta hai. Ghaav par bhi neem lagaye to jaldi healing hota hai.
- Pet kam karne ke gharelu upay me savere uth ke neem ke patte ka kaadha piye to cholesterol kam hota hai aur vajan kam ho jayega. Immunity bhi badh jaata hai.
- Neem ke phool vasant rutu me khane se anek labh hai. Pachan sudhar jaata hai, bhuk achchi lagti hai, gas ka haran hota hai aur krumi ka nash hota hai.
- Conjunctivitis ho jaaye to neem ke patte ka kadha bana ke aankho ko dhoye.
Neem ki Chaal
Neem ki chaal mein neem tree benefits for skin, acne, pimples, face in hindi batae gae hai. Neem ki chaal ke bhi kai upyog aur fayde hai.
- Neem ki chaal for skin in Hindi jaaniye ki is ko ubal ke paste bana ke haldi ke saath mila ke pimples par lagaye to yeh mit jaate hai. Ghaav par bhi lagaye to jaldi mit jaate hai. Tel me mila ke eczema, psoriasis, ring worm aur masse par lagaya jaa sakta hai.
- Neem ki chaal ka paste bana ke tel me ubale aur chaan le. Yeh yoni me lagaye ya ling par lagaye to natural spermicide hai aur garbh nahin thehrega.
- Neem ki chaal se datun kare to danto me sadan nahin hota hai aur masudhe majboot ban jaate hai.
Neem ke Tel ke Fayde in Hindi
Neem oil benefits for hair, skin, beauty care in Hindi :Neem ke beej me se tel nikala jaata hai. Neem ke tel ke fayde in Hindi jaaniye.
- Hair oil me neem ka tel mila ke lagaye to rusi, fungal infections aur joo ka nash hota hai.
- Bachho ko pet me krumi ho to neem ka tel do boond dodh me mila ke de to krumi ka nash hota hai.
- Neem ka tel ko natural biocide ki tarah upyog kiya jaata hai.
- Tvacha par neem ka tel lagaye to machchar aap ko nahin katenge.
- Tvacha par fungal infections ho to neem ka tel aur haldi ka lep lagaye.
- Dantmanjan me do boond neem ka tel daal ke danto ko ghise to danto ka sadan nahin hoga.
- Neem ka tel chehre par lagaye to jhurriya nahin padti hai aur daag mit jaate hai.
Neem ke Nuksan
Neem ke nuksan tab hote hai jab aap ise adhik maatra me le. Neem ka kadha 1/4th cup hee lena chahiye. Neem ke patte bhi 4-6 hee chabana chahiye.
- Jyada aur lambe samay tak neem ka sevan se kidney aur liver ko nuksan ho sakta hai.
- Bachcho ko sambhal ke neem de kyonki is se unhe diarrhea aur gambhir samasya ho sakti hai.
- Pregnancy me neem khaane se garbhpat ho sakta hai.
- Neem jyaada khaane se purusho me banjhpan aa sakta hai.
- Jinhe autoimmune disease hai jaise arthritis aur multiple sclerosis to unhe neem nahin khana chahiye kyonki rog ugra ho jaata hai.
- Diabetes me jyada neem khane se blood sugar bahut low ho jaata hai.
Neem ke ped ke fayde yeh hai ki voh vatavaran ko shuddh kar deta hai aur aaju baaju oxygen faila deta hai. Garmiyo me is ke ped ke neeche thandak rehta hai.
Yeh hai neem ke fayde (aur nuksan). Neem ka upyog hamesha kare aur rahe bimariyo se mukt. Humare dwara batae gae neem tree benefits for skin, acne, pimples, face in hindi aapko zaroor pasand aeinge.
TAGS:#neem benefits in hindi #uses of neem in hindi #neem information in hindi #benefits of neem in hindi #uses of neem tree in hindi #neem ke patte ke fayde in hindi #benefits of neem leaves in hindi #neem tree uses in hindi #benefits of neem tree in hindi #neem benefits on skin #neem health benefits #neem tea health benefits #neem benefits for diabetes #Neem juice benefits