Nanha munha farishta ghar mein khushiya laata hai aur voh jab muskuraye to jaise chand tare khil uthe ho aisa lagta hai. Jab voh rota hai to maa ko dukh hota hai. Rone ke kai karan ho sakte hai. Ek hai ki voh bhukha hai aur doosre karano mein aisa bhi ho sakta hai ki us ke pet mein dard hai ya use bukhar aa gaya hai.
Navjat shishu bukhar hone par sahi dekhbhaal karna chahiye. Pehle to yeh nischit kare ki us ko bukhar hai ya nahin. Aam taur par bachche ko kapdo se dhake rakhe to temperature thoda jyaada hota hai. Isiliye sadharan kapdo mein rakhe aur thermometer se tapamaan check kare. Normal temperature hai 98.6 degree F. Jyaada hai to chinta ka vishay hai. Koi gharelu nuskhe aajmaane se pehle pediatrician ke paas hi le jaaye. Vohi sahi treatment ka rasta dikhayega.
Is dauran aap yeh bhi dhyan rakhe ki navjat shishu ko poorna tarike se stanpaan karaye taaki voh bhookha na rahe aur us ko dehydration na ho jaaye. Doctor ka treatment chalta rahe aur aap us ka taapmaan par bhi dhyan rakhte hue thande paani ke pote firate rahe.
Chote bachcho mein infection ho jaana aam baat hai kyonki hawa mein bahut sare kitanu aur bacteria hote hai. Aise bukhar aur infection ke baad hi us ke sharir mein immunity badhta jaata hai.
TAGS: #बच्चे को तेज बुखार #वायरल बुखार के उपचार #वायरल बुखार क्या है #वायरल फीवर का उपचार #वायरल बुखार का इलाज #वायरल बुखार का उपचार #बुखार के घरेलू नुस्खे #बुखार का घरेलू उपचार