Naaz Celebrity Beauty Tips Secrets in Hindi

Naaz

Naaz beauty ke kshetra main ek jaani maani personality hai. Naaz ne apka khud ka ek identity banaya hai beauty world mein aur aaj uske beauty clinics aur herbal cosmetics bahut hi lokpriya hai. Yeh sabhi gharelu beauty tips in hindi aap aasaani se prayog kar sakte hai bina koi nuksan ke. Bazar mein milne vale cosmetics se bahut hi sasta hai aur saath mein aap ko freedom hai ingredients apne skin ko match karne mein. Tvacha oily ho sakta hai, dry ho sakta hai aur delicate. Har ek prakar ke tvacha ke liye apna alag hi gharelu Naaz beauty tips in hindi hai jo aaj yahan par pesh kiye hai. 

Oily skin ke liye neem aur chandan

  • Aap ki tvacha agar oily hai to pimples hone ki sambhavna hai. Oily skin ke liye yeh lep faydemand hai. 
  • Neem ka patte ko paani mein ubal de aur chaan le. 
  • Chandan ka lakdi pathar par pani dal ke ghise aur paste banaye ya phir sandalwood powder ko paani mein mila ke paste banaye. Thodasa neem ka paani milaye. 
  • Chehre par lep kare aur 30 minute ke baad baaki neem ke paani se chehra dho de. 

Tamatar ka prayog

  • Oily skin ke liye Naaz beauty tip in hindi yeh hai ki aap tamatar ka upyog kare
  • Tamatar ka paste banaye aur dahi mila le aur is paste ko chehre par mal ke rakhe
  • 15 minute ke baad do lijiye to oil nikal jayega aur chehra fresh dikhega

Kakdi, nimbu ka ras aur doodh

  • Kakdi ka chilka nikal ke mixer mein paste banaye
  • Adha chamach nimbu ka ras milaye
  • Do chamach doodh milaye aur mix kare
  • Chehre par lep kare aur 1 ghante ke baad sadharan paani se dho de. 

Dahi aur haldi dry skin ke liye

  • 2 chamach haldi le
  • Is mein do chamach dahi milaye aur fine paste banaye
  • Thodasa cream milaye
  • Is lep ko chehre par achchi tarah mal de.
  • 30 minute ke baad dho le
  • Chehre ke tvacha mein noor aa jayega is prayog se

Black heads

  • Black heads oily skin mein hota hai kyonki skin ka oil pores ko block kar deta hai. Isi liye skin ko hamesha saaf rakhna chahiye is Naaz beauty tip dwara. 
  • Besan, chaval ka aata aur dahi ka mishran kare
  • Is mishran se apne chehre ki tvacha achchi tarah scrub kare
  • Kale dhabbe mit jayenge aur tvacha bhi khil jayega

Dry skin mulayam banaye

  • Dry skin ke liye Naaz beauty tip in hindi yeh hai:
  • Sunflower oil ya phir coconut oil le 4 chamach
  • 2 chamach doodh ya doodh ka malai milaye
  • Chahe to is mein shahad mila le
  • Tvacha ko is lep se saaf kare achchi tarah ungli se ghis ke
  • Chehra ka skin moisturized rahega aur crack nahin hoga. 

Sawle rang ko gore rang mein badalne ke liye

  • Naaz beauty tip in hindi hai dhoop ke karan shyam ho gaye tvacha ko gora bana dega. 
  • 1 anda feta hua
  • 1 bada chamach nimbu ka ras
  • 1 chamach shahad
  • Sabhi ko achchi tarah paste bana ke chehre par achchi tarah ghise aur ek ghante tak rakhe aur sadharan garam pani se dho de. 
  • Ek mahine tak aisa karne se dhoop se shyam pade tvacha ko us ka original fair tone aa jayega.

Nimbu ka ras aur shahad dark patches hataye

  • 4 chamach nimbu ka ras le ek cup mein
  • 2 chamach shahad is mein milaye
  • Chehre par achchi tarah mal de aur ek ghante ke baad dho de
  • Khaas kar ke jahan dark patches ho vahan par achchi tarah ghise to dark patches ek mahine mein gayab honge aur poora chehre ke tvacha ka tone fair ho jayega

Tvacha ko gora banaye

  • Naaz beauty tip aap ke tvacha ko gora banayega:
  • Oats ka aata le
  • Is mein dahi mila le aur saath mein peese hue badam ka paste bhi
  • Is face pack ko apne chehre par laga le aur ek ghante tak rakhe. Phir dho de
  • Is paste ko aur bhi behtar bana le is mein shahad aur nimbu ka ras mila ke. 

Yeh sabhi Naaz beauty tips in hindi gharelu cheezo ka istemal karte hai aur in se aap ko koi nuksaan nahin hoga. Aap chahe to ek saath do ya teen prayog kar sakte hai. Jo aap ko jache us ko aap apnaye. Sirf chehra hi nahi balke gale ka bhaag aur haatho par bhi yeh lep kare. Elbows par aur knuckles par bhi yeh lep lagane se yaath ka beauty badhega aur chehra ke saundarya ko saath dega.

TAGS : #shahnaz hussain beauty tips in hindi #shahnaz hussain beauty tips for brides #shahnaz husain hair care tips #shahnaz hussain tips for glowing skin #shahnaz hussain beauty tips for fair skin #shahnaz hussain beauty tips for glowing skin

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

2 Comments

Simple Kapoor, Mar 30, 2018

आयिली स्किन के लिए नाज़ ब्यूटी टिप इन हिन्दी यह है की आप टमाटर का उपयोग करें टमाटर का पेस्ट बनाएँ और दही मिला लें और इस पेस्ट को चेहरे पर मल के रखें 15 मिनिट के बाद धो लीजिए तो आयिल निकल जाएगा और चेहरा फ्रेश दिखेगा| सिंपल कपूर

pooja jaiswal, Feb 15, 2017

mere hanth kale hai unhe gora krne k lie koi upay bataye plz