Multani mitti jo hum gharelu upyog mein lete hai twacha aur baalo ke liye, technically alag naamo se pehchana jaata hai. Ise angrezi mein Fullers earth ya bentonite kehte hai aur industry mein is ka upyog hota hai tel ko filter karne aur rang nikalne ke liye tatha additives ke roop mein. Mool ismein hota hai hydrous aluminum silicate jis ka gun hai ki yeh dirt, paani aur tel ko absorb kar leta hai. Gharelu upyog mein yeh ek anmol khazana hai twacha aur baalo ki dekhbhaal ke liye. Jaaniye ab multani mitti ke fayde in Hindi.
मुल्तानी मिट्टी से ऐसे निखारे अपनी त्वचा
Multani mitti ek sasta aur lajawaab saundarya prasadhan hai. Multani mitti ke fayde hindi, Multani mitti benefits in Hindi mein bataye to kai hai:
मुल्तानी मिट्टी के फायदे paana ho to sahi tarah se uchit ingredients ke saath kare aur tvacha ya baalo mein thode samay tak lage rehne de.
मुलतानी मिट्टी के चेहरे के लिए फायदे
Kisi ke chehre ka twacha komal hota hai, kisi ka teli to kisi ka rookha. In sabhi prakar ke twacha mein multani mitti ek anmol saundarya prasadhan hai agar us ko alag samagri ke saath joda diya jaaye.Jaaniye multani mitti for face ke alag upay.
Gorepan ke liye multani mitti ka upyog
Multani mitti face pack for gorapan is tarah banaye. Multani mitti mein gulab ki pankhudi ka paste, haldi powder, nimbu ka ras aur dahi mila ke chehre par laga ke raat bhar rehne de aur savere gun gune paani se dho de. How to use multani mitti on face for fairness in hindi mein yeh koi bhi lep ko jitna lamba samay chehre par rehne denge utna asar achcha hoga aur lep laga ke 2-5 minute tak avashya ghiste rahe aur fir aise hi rehne de.
Multani mitti face pack dry skin ke lie
Yeh multani mitti face pack for dry skin avashya use kare, khaas kar ke sardiyon mein.
Multani mitti face pack oily skin ke lie
Oily skin se pareshan hone ki jaroorat nahin hai. Multani mitti face packs for oily skin yaha par bataye gaye hai unme se kisi ka bhi prayog kare.
Multani mitti face ki skin tightening ke lie
Agar aap ke chehre ka tvacha dheela pad gaya hai aur jhurriya dikhai dene lagti hai to multani mitti face pack is tarah banaye.
मुलतानी मिट्टी से करे पिंपल्स का ईलाज
Kyonki oily skin par pimples jaldi se ho jaate hai to aap upyog kare yahan par bataye multani mitti face pack for pimples.
बाल घने और मुलायम बनाए मुलतानी मिट्टी
Jaise tvacha ko fayda pahunchata hai aise hi multai mitti for hair ke liye bhi upyog kiya jaa sakta hai. Multani mitti se scalp par se dead skin nikal jaate hai aur baal ghane aur mulayam ho jaate hai.
Kyonki multani mitti jaldi se sukh jaata hai to nami banaye rakhne ke liye koi bhi face pack banaye to is mein thode boond glycerine milaye. Scrub ki tarah istemal karna hai to multani mitti ka praman kam rakhe aur besan ya chaval ke aate ka praman jyaada rakhe. Dhote samay khas dhyan rakhe ki achchi tarah se dhoye taaki chidro mein koi multani mitti ka bhag reh na jaaye. मुलतानी मिट्टी का प्रयोग bilkul aasaan hai, bina koi haani ke aur sasta bhi hai.
TAGS:#fuller's earth clay #face pack for pimples #multani mitti face pack #benefits of multani mitti #multhani mitti #multani mitti wiki #multani mitti for fairness #multani mitti for face whitening #how to use multani mitti on face
नुपूर वालिया, Sep 09, 2017
मुलतानी मिटी को कैसे यूज करें इसके घरेलू नुस्खे किया हैं तथा किया किया फ़ाएदे हैं इससे शरीर पर लगाने से पहले इसे कैसे तैयार करें फिर कितनी देर तक कहाँ कहाँ पर लगानी है और कैसे कैसे लगानी है सारी बातों की जानकारी संपूर्ण रूप से दें|
jyotsana, Aug 15, 2017
Mai last 1 year se pimples ka treatment kar rahi hun sare finish ho gaye the but abhi phir se pimples aana start ho gaye hain bahut jyada quantity mai suggest me kya karun
monika, Aug 11, 2017
Multaani mitti ko Rose water ke saath kaisy lagaaen isse kya faaeda milega vistaar se bataaen
deeksha, May 30, 2017
Muhanse ke liye multani mitti face pack bataye
Laksha, May 04, 2017
Meri face pe pimple ho rhe the maine bohot upay kiye lekin kuch fark ni pada fir ek din mijhe kisi ni btaya ki multani mitti ar अमरूद ke patto ka ras milake chare pe lga kuch hi dino main thik ho jayegi daily use krna hai ye tarika usne btatya tha mujhe main sachi main keh rha mere sare pimples thik ho gye अमरूद ke patto ka rash chankr nikal kr rakh le ar fir multani mitti me thoda sa dalkar iska leaup bnaye daily one month tk krna hai thik ho jayega 10 days main fark dikh jayega
Multan, May 04, 2017
Multani.mitti ar amrrood ke patto ka ras chare pe lgaye
anushka, May 01, 2017
Sir maine eloson Ht cream lagai thi usse mere face pr daane ho gye h abhi 2-3 din se m kya karu
पूर्वी, Oct 02, 2017
मुलतानी मिटी के क्या फाएेदे हैं इसका प्रयोग कैसे करते हैं यह सभी कुछ बताइए पर पूरे विस्तार के साथ तभी मैं इसे समझ सकूँगी|
khushiran, Apr 29, 2017
Multani mitti we real me chehre per nikhar aata he. Me use bhi krta hu..
inayat, Mar 28, 2017
multani mitti se do mohhe balon se rahat milti hai
Chetna, Mar 25, 2017
keel muhanse ke liye multani miiti face pack bataye
Sahani, Mar 22, 2017
multani mitti mei tamatar ka ras mila ke pack bana ke lagaye
Nihira, Mar 18, 2017
lambe baalo ke liye multani mitti kaise use kare
Madhulika, Mar 16, 2017
aapke diye multani mitti ke fayde prayog acche hai
Suksma, Mar 13, 2017
multani mitti ke fayde bahut badiya hai
yadav , Mar 09, 2017
Multani miitti se bhut fayeda hota h. apke dwara bataye gae multani mitti ke fayde bahut badiya hai.
mola, Mar 02, 2017
multani mitti ke fayde bahut badiya hai
Mahesh, Feb 28, 2017
Hamare Chehre par pimples Hai kil muhase hai jo bhi iski ilaj Ke Liye Koi upay bataiye
Veera, Feb 25, 2017
dahi, anda, multani mitti mix karke pack lage week mei 2-3 baar
Tarini, Feb 20, 2017
badam, dudh aur multani mitti ka pack bana ke lagaye
pooja , Feb 16, 2017
Mere face par pimple ke daag hai to piz Mujhe in ko chudane ka upay bta Dr
daljeet, Feb 16, 2017
pimple ke daag hatane ke upaye mein chandan ke powder mein thoda gulabjal mila len aur chahre per lagain sookhne ke baad dho lein apke daag halke ho jainge
anushka, Oct 31, 2016
bahut badiya tips hain.
Gan Pati , Jan 10, 2018
Very Nice.