जाने लोकी के जूस से कैसे कम करे मोटापा : Lauki Ke juice Ke Fayde

जाने

Lauki Juice Ke Fayde : Vajan badhane se bhale insaan hasht pusht lage magar aage jaake swasthya sambandhit paroblem jeevan ke raste par khadi ho jaati hai. Uttam to yahi hoga ki har koi aisa jeevan acharan kare jis se vajan hi na badhe magar vajan ka kya kehna. Bina bataye hi voh badh jaata hai. Ek din kapde fit nahin hote hai aur tab jaake pata chalta hai ki vajan badh gaya hai aur kuch karna hoga. Phir gym ke chakkar shuru ho jaate hai. Is ke alava bhi raaste hai ki vajan ko kam kar sake aur voh bhi sahaj, aasaan tarike se. In mein se hai lauki ka prayog.

Lauki ka prayog vajan ghatane ke liye

  • Sahi tarike hai ki aap high fiber vegetables ko adhik maatra mein khaaye.
  • High fiber vegetable mein lauki ka ek khaas sthaan hai kyonki fiber ike saath is mein phosphorus jyaada maatra mein hai.
  • Aur calories bilkul kam. Lauki ko steam kar ke thodasa spices aur namak daal ke khaaya jaaye to sabse adhik laabh hoga kyonki is ka full fiber ka fayda milega.
  • Is ke alava aap lauki ka juice savere uth ke khaali pet pee sakte hai.
  • Karib 200 se 300 gram lauki ya jyaada se jyaada 500 gram lauki ka juice bana ke pee le.

Juice Banane ke Tarike

  • Juice banane ke do tarike hai.
  • Ek to tukde karke mixer mein paani ke saath grind kiya jaaye.
  • Doosra juicer mein jis se us ke fibers ek baaju ho jaayenge aur aap ko milega pure juice.
  • Pehla tarike behtar hai kyonki lauki ka koi bhaat waste nahin hota hai.

Lauki Ke Fayde

  • Lauki ka fayda yeh hai ki calories bahut kam hai.
  • water content aur fiber content jyaada hai.
  • Aur is mein voh tatva hai jo vajan kam karne mein madadroop hote hai.

Rakhe Kuch Savdhaaniya

  • Agar yeh koi soch le ki jitana jyaada lauki ka juice piye utna hi jaldi vajan kam hoga to yeh khatarnak ho sakta hai.
  • Dekha gaya hai ki jyaada maatra mein lene se lauki ka ras se pet mein bleeding ho sakta hai.
  • Aur ulcers bhi. Saath mein diarrhea, kidney ke problem aur dard aur khoon ki ulti hoti hai.
  • Isiliye kam matra mein hi piye aur agar koi aad asar mehsoos ho to turant bandh kar de.
  • Dast ho ya khoon ki ulti ho to fauran hospital jaana chahiye.
  • Doosri baat yeh hai ki lauki ke ras ko koi aur vegetable ya fruit ke juice ke saath mila ke na piye.
  • Lauki ka ras nikalne se pehle use chakh le aur agar kadva ho to phenk de.
  • Lauki ka ras koi jaadu nahin hai ki charbi pighal ke adrashya ho jaye. Us ke saath aur tarkib apnana hoga jis se vajan kam ho sake.
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments