Migraine treatment in ayurveda in hindi : Migraine ko adha sar ka dard kehte hai aur local language me adhashishi bhi kaha jaata hai. Yeh sar ke ek baaju me hi hota hai aur tej dard ke kaaran insaan ko bahut pareshan kar deta hai. Janiye migraine ke baare mein aur migraine treatment in Hindi desi nuskhe dwara kar ke paaye relief.
माइग्रेन क्या है? - What is a Migraine in Hindi
Migraine alag prakar ke hai. Pehle is ke lakshan pragat hote hai aur is ke stages hote hai. Migraine ka karan bataya gaya hai ki brain me neuro transmitter chemicals ke praman me chadhav-utar. Kai baar hormonalchanges se migraine hota hai. Tanav se bhi migraine attack trigger ho sakta hai. Shorgul se bhi migraine attack hone ki sambhavna hai. Kai aise khadya padarthse bhi migraine ho sakta hai.
माइग्रेन के लक्षण - Symptoms of Migraine in Hindi
Migraine ke lakshan in hindi hai sar ke ek side mein dard, jyada light ka ssehan na kar paana aur kabhi kabhi ulti jaisa lagta hai. Migraine attack ke pratham stage me vyakti ko aalas lagta hai. Migraine attack ka ek pattern hota hai jaise ki pehle prarambhik chinha pragat hote hai. Fir tej dard hone lagta hai. Fir dheere se dard ka shaman hone lagta hai. Pratham stage me kabhi kabhi bhook badh jaati hai meethe cheezo ke liye, thakan mehsoos hota hai, pyas lagti hai, gala stiff ho jaata hai aur mood me badlav aata hai. Yeh chinha 1 ghante se 24 ghante tak rehte hai. Aage badhte aur chinha hote hai jaise ki aankho me andhera chaa jaana, dark spots dikhai dena ya taare dikhai dena, ang sunn ho jaana, chakkar aana aur bolne-sunne me taklif. Kai log behoshi jaisa feel karte hai aur kai logo me confusion dekha jaata hai. Ab mukhya migraine attack ka daura padta hai jis me dard teevra aur asahya hota hai. Sar ke ek side mein, do side me ya to aage ke bhaag me dard hota hai magar peeche ke bhaag mein nahin. Yeh stage kai ghanto tak reh sakta hai aur fir is ka shaman hota hai, khaas kar ke let jaane aur aaram karne se. Jab recovery hota hai to tej bhook lagti hai aur vyakti me fir se josh aa jaata hai.
Aise haalaat baar baar ho to routine life ko bahut disturb kar dete hai. Migraine ka ilaj fauran karna chahiye.
माइग्रेन का घरेलू उपचार - Migraine Treatment in Hindi
Doctors aam taur par pain killers prescribe karte hai aur migraine me khaas dee jaane vali dawai hai rizatriptan aur aise dawai jo symptoms ko kam kar de. Magar migraine treatment aap gharelu nuskhe dwara bhi kar sakte hai.
माईग्रेन का इलाज - Hindi Tips For Migraine Headache
Jab bhi migraine attack aaye to yeh Hindi tips for migraine headache follow kare.
माइग्रेन के लिए योग - Yoga for Migraine in Hindi
Prakrutik tarike se migraine ko niyantran me laana hai to aap yoga aur pranayam aaj se shuru kar de. Yogasan meinaap uttanasan, urdhva mukha svanasan, Shishuaasan, Padmasan, Shavasan, Setubandhasan, adho mukha svanasan, Janusirsasan jaise yogasan se aapka condition bahut improve kar sakte hai. Sirf 10 minute tak savere yeh yogasan kare aur fir pranayam aur ant mein anulom-vilom.
माइग्रएन में खास ध्यान रखने वाली बाते - Migraine ke Gharelu Upay in Hindi
माइग्रेन के घरेलू उपाय kerte samay apko en baton ka bhi dhyan rakhna chahie, to yah hai migraine mein khas dhyan rakhne vali baate:
Yeh baate aap dhyan se padhe aur migraine attack ka desi ilaj ka prayog kare. Raahat milegee aur apko migraine ki dawa bhi khanee nahi paregee.
TAGS: #migraine problem in hindi #migraine ke gharelu nuskhe/totke #migraine ke liye yoga #आधा सिर दर्द #मायग्रेन उपचार #Home Remedies To Prevent Migraine #migraine ka desi ilaj treatment at home in hindi #Migraine Home Treatment
सुनेना, Aug 25, 2017
मेरे सिर में बहुत दर्द होता है प्लीज़ इसको रोकने का कोई उपाय बताइए प्लीज़ मैं बहुत परेशान हूँ
लीना, Aug 19, 2017
आपने जो माइग्रेन का ट्रीटमेंट वाला आर्टिकल दिया है वो बहुत अच्छा है बाकी आप अगर टेंशन कम लेंगे तो माइग्रेन का रिस्क थोड़ा कम हो सकता है
शवेता जैन, Aug 28, 2017
मैं 21 साल की हूँ मेरे सिर में बहुत दर्द होता है लेकिन कभी भी किसी भी साइड हो जाता है फिक्स जगह नहीं होता लेकिन हमे कैसे पता चलेगा की ये दर्द माइग्रेन की वजह से ही हो रहा है|