मेथी दाना खाने के अनेक फायदे - Benefits of Fenugreek/Methi in Hindi

मेथी

Methi aushad bhi hai aur aahaar bhi. Jo hamesha khaye methi voh rahe sada swasth. Methi ki sabji to swadisht hoti hai magar methi dana to aur bhi gunkari hota hai. Janiye methi dana ke fayde or benefits in Hindi aur banaye ise apne roj ke aahaar ka hissa. Aam ke aachar aur nimbu ke aachar mein methi ke daane dale jate hai jo aachar ko ek khaas taste deta hai. yahan aap aage uses of methi janege.

मेथी दाने के अनेक फायदे - Benefits of Methi

  • Twacha rog ko theek kerta hai.
  • Pachan kriya mein sahayta kerta hai.
  • Madhumeh se mukti dilata hai.
  • Balo se rusi door kerta hai.
  • Heart ko swasthya rakhta hai.
  • Joint pain (ghutno ke dard) mein aram dilata hai.
  • Twacha ko nikhare.
  • Peeth ka dard theek kare.
  • Pachan kriya theek kare.
  • Motapa ghatae.
  • Shareer mein rog pratirodek shamta ko barata hai.
  • Masik dharm ki aniyamta ko door kare.
  • Kidney se hone walee bimariyon ko door kare.

Methi ke Fayde - मेथी के फायदे

Health Benefits of Methi Fenugreek in Hindi: Methi se fayde jaanne se pehle jaaniye is ke poshak tatvo ke baare mein. 100 gram Methi me hai 58 gram carbohydrate, 23 gram protein, 6 gram fat, 24 gram fiber aur saath mein hai folate, niacin, pyridoxine, riboflavine, thiamin, vitamin A, vitamin C, sodium, potassium 770 mg, Calcium 176 mg, copper, iron 33 mg, magnesium 191 mg, manganese, phosphorus 296 mg, selenium aur zinc. Yaane ki methi ke sevan se na sirf protein milta hai balki anya poshak tatva bhi. 

  • Khas kar ke methi ke swasth ke fayde milte hai us ke fiber se nis me hai saponin, mucilage, tannin aur pectin jo kharab cholesterol ko bandh ke bahar nikal dete hai aur sharir me vish ko kam kar dete hai. 
  • Methi khane ke fayde kai hai jis me se kabz ki shikayat nahin rehti hai voh important hai. 
  • Methi dana ke fayde in Hindi kahe to diabetics ke liye jyada hai. Is me hai 4 hydroxy isoleucine jo insulin ke nirman mein madadroop hai aur glucose ko dheere se shoshan hone me madadroop hota hai. 
  • Methi dana ke gun in Hindi milte hai us ke aushadi tatvo se. Yeh tatva hai choline, trigonelline, disogenin, gitogenin, tigogenin aur yamogenin. 
  • Methidana ke fyde in Hindi mahilao ke liye hai khas kar ke voh jo apne bachche ko doodh pila rahi hai. Methi dana bhigo ke savere khaaye to stan ke doodh ke praman me vruddhi hoti hai. 
  • Aksar sardiyo me methi or gond ko laddu bana ke sevan kiya jaata hai. Is prakar upyog karne mein methi ke fayede yeh hai ki cartilage joints mein ho voh majboot bante hai aur reed ki haddi bhi majboot banti hai. Ghutno ke dard ho aur gathiya ho to methi avashya khaaye. 
  • Methi ke fayady in Hindi yeh bhi hai ki khoon ki kami ho to is me iron jyada hone se anemia se chutkara milta hai. Mahilao ko to khaas methi ka sevan karna chahiye. 
  • Methi ke powder khane ke fade hindi me kahe to kabz nahin hota hai, lahu shuddh hota hai aur cholesterol kam ho jaata hai. Pachan kriya bhi sudhar jaata hai aur gas ka shaman bhi hota hai. 
  • BP kam karne ke upay mein aap lehsun chaba ke khaate honge. Saath mein savere bhigoye hue metho ko bhi chaba le to aur fayda hoga bp kam karne ke liye. 
  • Methi ka upyog in Hindi kahe to yeh weight loss mein sahayak hai. Har roj methi dane bhigo ke khaaye to vajan kam hone lagega. 
  • Methidane khane ke fayde dil ke liye bhi kaafi hai. Is mein potassium, phosphorus aur iron hai jo dil ko majboot bana ke dil ki bimari se bacha ke rakhega. 
  • Methi khane ke fayde in Hindi  unke liye bhi hai jo bahu mutra ke shikar hai. Niyamit khaane se yeh taklif kam ho jaata hai. 
  • Methi ke fayde aur bhi hai jaise ki pet mein krumi ho jaaye chote bachcho ko methi ke powder ko doodh me mila ke pilaye ya methi ki sabji ka ras nikal ke pilaye to krumi ka nash hota hai. 
  • Jin ke sharir mein kaf ka pramaan jyaada hai unhe methi dane bhigo ke ubalkar tadka deke roti ke saath khaana chahiye. Kaf sharir se bahar nikal jaata hai. 
  • Viral infection se gale mein dard hota hai aur bukhar aata hai. Aise me ek chamach methi dana powder, nimbu ka ras aur shahad mila ke sevan kare. 
  • Agar koi burns ka victim ho gaya hai to yeh burns ke daag hamesha ke liye reh ja sakte hai. Methidane bhigoke paste bana ke lep kare to yeh daag mit jaayenge.

Uses of Methi Dana

Purusho ke Liye Methi Dane ke Fayde

Jyaada kaam kar ke thak jaate ho to methi dane ka upyog kare. Methidane bhigo ke khaaye ya powder ko shahad ke saath mila ke khaye. Methi powder ka fayda aur bhi hai purusho ke liye ki yeh kam shakti badhaata hai. 

Methi Dana Mahilao ke Liye

Methi dana benefits mahilao ke liye bhi hai. Stanpaan karati matao ko doodh badhana hai to methi dane ka upyog kare. Methi ka patte regular week me do baar khaane se periods regular hote hai aur pregnant mahila ko delivery aasaan hota hai. 

Methi Tvacha ke Liye

Methi ke gun jitna swasth ke liye gunkari hai utna hee tvacha ko bhi yeh fayda deta hai. Muhase aur keel ho, kaale daag ho aur tvacha par jhurriya pad gayi ho to methi dane ko bhigo ke paste banaye aur dahi ke saath istemal kare. Yeh sabhi taklifo se chutkara milega. 

Methi Baalo ke Liye

Fenugreek/Methi tips for hair in Hindi :Methi ke fayde balo ke liye bhi anek hai. 

  • Bal majbut aur ghane krne ke upay mein methi ka mahatvapurna role hai. Methi, amla, shikakai aur areetha ko ubal kar bal dhoye to lambe samay tak jhadenge nahin, kaale rahenge aur mulayam rahenge. 
  • Balo ke liye methi dana lagane se jyada fayda karta hai ya khane se? Dono. Khane se iron, zinc, selenium milta hai jo poshan deta hai. Lagane se aur fayde hai jaise ki balo me rusi mit jaati hai. Dahi me methi ka paste lagaye to baal lambe samay tak kale rahenge aur baal teji se ugenge. Balo m methi lgane ke fayde yeh to hai aur saath mein bal mulayam bhi ho jaate hai. Methi dane ko bhigo ke ubale aur yeh paani chaane aur lagake rakhe baalo me 3 ghante tak to dekhiye kitna improvement hota hai baalo mein. balo ke lie methi daane ke fayde bahut hai islie methi daane ko apne roz ke khan paan ka hissa zaroor banae.

Ayurved Mein Methi

Fenugreek health benefits bahut sae hote hai. Ayurved mein mana jata hai ki methi pachne mein halki hotee hai. Yeh garam padati ki hotee hai eslie germiyon mein dahi se ya chaach se eske garam aser ko kaat de. Metho dane se kapha aur vata dosho ka shaman hota hai jo seedha aser apko jodo ke dard, pachan aur cherbi ko kam kerne mein hota hai. Mahilain shwet pardar main methi dane ke paste ko yoni marg mein lep ker saktee hai.

Methi ke upyog ke gharelu tips anek milenge. Ek jamane mein papier mache product banane mein paper pulp ke saath methi ka paste upyog kiya jaata tha. Gujarat mein aam ka achar me methi ka upyog hota hai aur banta hai gor keri, gujarati methia keri achar, chana methi aam ka achar. Methi ke dane ke tukde ka upyog hota hai chilka nikal ke jise methi ka kuria kehte hai. Yeh methi aam ka khattapan aur lal mirch ka teekhapan ko balance karta hai. Aam ka achar mai kya kya padta hai? Gujarati sweet mango pickle me mukhya hai aam, methi ka kuria, lal mirch powder aur gud. Teekha aam ka achar ho to rai ka kuria (chilka nikal ke rai ka dal), methi kuria, lal mirch powder, namak aur chahe to saunf. Khane ke saath methi vala aam ka achar khaye to bhi fayda milta hai methi ka. 

Methi amulya hai. Is ka regular upyog kare to rahenge lambe samay tak nirogi. Yahan apne Fenugreek or methi benefits in hindi jane hai enhe zaroor prayog karein.

TAGS:#methi/Fenugreek seeds benefits in hindi #methi seeds for weight loss/hair #methi ke fayde in hindi #मेथी दाना खाने के फायदे #methi dana benefits in hindi #methi dana ke fayde in hindi #methi dana for weight loss in hindi #methi health benefits in hindi #मेथी के लाभ  or methi benefits in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments