जाने मासिक धर्म चक्र क्या होता है - Menstruation Cycle in Hindi

जाने

Menstruation Cycle in Hindi (मासिक धर्म चक्र क्या होता है) :Jab ladki jawan hoti hai aur voh seema tak aati hai ki voh adulthood ke dehleez par khadi ho tab sharir me hormonal parivartan hote hai. In hormones ke straav se sharir me golai aati hai, ek nari ki typical komalta dikhai deti hai aur andar me andashay me ab anda taiyar ho ke garbhashay ki taraf prayan karega. Raste mein shukranu mil jaaye to voh garbhvati ho sakti hai. Masik dharm ek chinha hai ki mahila fertile hai aur bachche paida karne ke kabil ho gayi hai aur vansh ko aage badhane ka karya kar sakti hai. Puberty se le ke menopause tak yeh cycle chalta hai. Har ek mahila aur ladki mo masik dharm chakra ke bare me sampoorna gyan hona chahiye. 

मासिक धर्म क्या है

Har 28 din me ek cycle hota hai. Garbhashay ke andar ka layer jise endometrium kehte hai voh thick ho jaata hai fertilized ande ko paane ke liye. Ovaries me se anda nikal ke fallopian tube dwara garbhashay ki taraf prayan karta hai. Is dauran shukranu se fertilize ho jaye to yeh anda garbhashay ke andari star par sthapit ho jaata hai aur garbh theher jaata hai. Agar ande ko shukranu nahin mila to yeh andar ka star apne aap nash hota hai aur menstrual bleeding hota hai jis me yeh tissues bahar chale aate hai mahavri ke dauran. Yeh cycle teenage se leke 50 saal tak chalta hai jab menopause aa jaata hai. Ovary me ab ande ka nirman hona bandh hota hai aur mahavri khatam ho jaati hai hamesh ke liye. 

Menstrual cycle ke baare me ab aage jaane. Menstrual cycle 4 bhago me baata jaa sakta hai. 

महावारी के पहले दिन से पांचवें दिन तक

Mahilao me jab mahavri shuru hota hai to endometrium bahar aa jaata hai yoni marg se. Yeh bleeding ke roop me pragat hota hai jo 3 se 6 dino tak chal sakta hai aur is ke saath pet me dard, pair me aur peeth me dard ho sakta hai. Mahavri ka pehla din menstrual cycle ka pehla din hai.

Follicular Phase (पहले दिन से तेरवें दिन तक)

  • Yeh sthiti mahavri ke pehle din se hee shuru ho jaati hai aur mahavri shuru hone ke 13 din baad samapt hoti hai. Is dauran sharir me yeh sab kuch hota hai: 
  • Pituitary granthi hormone ka utpadan karta hai jo hormone andashay me ande ki vruddhi ke liye jimmedar hai. 
  • Ab ek anda bada hone lagta hai jise follicle kaha jaata hai. Mahavri ka bad 13 din lagte hai ek follicle ko paripakva hone me. 
  • Jab yeh egg cell poora viksit ho jaye tab follicle me se ek hormone ka straav hota hai jo garbhashay ko signal karta hai ki endometrium ka nirman kare. 
  • Ab 13 din ke bad shuru hota hai ovulation phase 

Ovulation Phase (चौदहवां दिन)

Mahavri se theek chaudavi din par pituitary granthi me se  FSH (follice stimulating hormone) hormone ka straav hone ke karan ovary yane andashay me se ek poora viksit anda bahar nikal aata hai aur fallopian tube me dakhil hota hai. Follicle use kehte hai jo pani se bhara barik thaili hai jis me anda hota hai. FSH dwara follicle develop hone lagte hai aur estrogen hormone ka nirman hota hai. Kai aise follicles ka vikas hota hai magar sirf ek ke andar hee ande ka vikas hota hai aur voh ovulation ke samay bahar ki aur prayan karega. Estrogen ke karan mucus ka praman jyada hoga jo lachila chikna hoga, khas kar ke ovulation ke din par. Yeh shukranu ko ande tak pahunchne me madad karte hai.

Agar mahila garbhvati banna chahe to yeh mahavri se 14 mi din important hai aur purna shakyata hai ki shukranu hazir ho yoni ya garbhashay me to ande ko milenge aur fertilization hoga. Shukranu 3 din tak jinda reh sakte hai isiliye ovulation ke 2-3 din pehle aur ovulation ke din aur ek din baad agar sambhog kiya jaye to chances pregnancy ke badh jaate hai.  Pehle to ovulation ke samay follicle me se progesterone hormone ka nirman hota hai. Us ke baad progesterone ke saath estrogen hormone ka bhi straav follice me se hota hai. Agar ande ko shukranu nahin mila to luteal phase ki shuruat hoti hai. Angar ande ko shukranu mil gaya aur fertilization hua to sharir me Human Chorionic Gonadotropin (hCG) hormone ka straav hone lagta hai jo progesterone aur estrogen hormones ke utpadan me jimmedar hai aur garbhashay ke andar ke lining ko yathagat rakhne me jimmedar hai taaki anda vahan par sthapit ho jaaye.

Luteal Phase (पंद्रहवें दिन से अट्ठाइसवें दिन तक)

  • Mahavri se 15 mi din par shuru hota hai luteal phase jo cycle ke ant tak rehta hai yane 15 se leke 28me din tak. Is dauran yeh hota hai sharir me: 
  • 14 mi din par jo anda ovary me se bahar aaya vo fallopian tube me 24 ghante tak rehta hai. 
  • Agar shukranu se mulakat na ho to yeh egg cell ka nash hone lagta hai. 
  • Jo hormone garbhashay me endometrium ka nirman ka sandesh dete hai voh khatam ho jaate hai. 
  • 28me din par mahavri ki shuruat hoti hai. 

Yeh phase ke aakhri 10 dino me mahila ke sharir me dard shuru hone lagta hai pet me aur saath me aur lakshan bhi dikhai dete hai. Yeh phase ko premenstrual stage bhi kaha jaata hai jab mahila ka mood bigad jaana sadharan baat hai. Sharir me water retention hota hai, stan me sensitivity badh jaata hai aur thakan mehsoos hota hai. Kai mahilao ko dast ho jaana, sar me dard, chakkar aana aur ulti hona yeh bhi lakshan dikhai dete hai. Yeh sab laikshan ko pre-menstrual syndrome (PMS) kehte hai. 

Har ek mahila me genetically yeh coded hai ki voh kitne ande paida karegi aur fir is ke baad menopause ka stage shuru hota hai jis me mahavir aniyamit ho jaate hai aur aakhir me bandh ho jate hai. 

Menstrual cycle hamesha 28 din ka ho aisa koi niyam nahin hai. Is me variation hota hai aur aage peeche hota rehta hai.

TAGS: #ovulation period calculator in hindi #menstrual cycle pregnancy hindi #masik dharm in hindi #full form of mc in hindi #मासिक धर्म चक्र क्या है #रजोनिवृति क्या है #मासिक धर्म के नियम #मासिक धर्म कैसे होता है #ovulation cycle meaning in hindi #ovulation period means in hindi #what is ovulation period in a woman in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

9 Comments

Jaya, Mar 03, 2018

MC hue 5 din ho chuke hain 6-7 din sex kar sakte hain kiya please bataiye

Vivek Sarna, Jan 24, 2018

Thank you for the information actually aap ki hi tarah humare Bollywood ke superstar Akshay Kumar logo ko specially mahilaon ko jagruk karne ki koshish kar rahe hai periods ko leke Unka kehna hai abhi bhi humare desh mai 82% mahialyen periods aane par pads ka use nahin karti jiski wajah se kaafi bimariyo ka samana karna padta hai hope aap ki isse unhen proper madad mil jaayegi.

SHOYAB, Dec 18, 2017

MERE GF KA MC TIME SE 10 YA 15 DIN BAAD AATA HAI AISA KIYUN HAI SIR DAWA KOI BATAIYE NA PLEASE USI SE SAADI HONI HAI SIR KOI DAWA BATAIYE JARUR

अनुराग, Dec 13, 2017

सर,मेरी जी एफ का पीरियड 2 मंथ में 1 बार पीरियड आ रहा है ऐसा कुच्छ मंथ से हो रहा है पहले तो सब ठीक था सर ऐसा कियों हो रहा है और यह कैसे ठीक होगा यह बताइए हर मंथ पीरियड आने? प्लीज़ हेल्प मी सर

Punam Mahajan, Nov 10, 2017

Mujhe jab bhi periods hone ko hota hai usse pehle mujhe bahut pet mai dard hota hai kiya aap mujhe bata sakte hain ki aisa kiyun hota hai please aap bataiye.

Taruna devi , Nov 07, 2017

Aapne apne article mai masik chakr bahut hi achche tarike se likha hua hai aur easy to understand bhi hai.

सागर, Oct 27, 2017

मुझे अपनी मासिक धरम के चक्कर की जानकारी चाहिए जिससे भविश्ये में कोई समस्या हि ना आए|

करिश्मा खेत्रपाल, Aug 22, 2017

मैं पिछले दो तीन महीने से प्रेग्नेंट होने के लिए ट्राइ कर रही हूँ लेकिन अभी तक प्रेग्नेंट नहीं हुई हूँ क्या प्राब्लम हो सकती है मुझे प्लीज़ सलुशन बताइए

jully, Jun 01, 2017

Mere ko pehle 27 ko date ati thi but is bar 4 din ho gye date nahi hui ek bar sex bhi kiya thaa but savdhaani varti thii but phir bhi date nahi ayi.koi solution batao