जानें पीरियड के बीच में स्‍पॉटिंग होने का क्‍या है मतलब

जानें

Routine mein mahilao ko 28 se 35 dino par period aate hai. Kai baar aisa hota hai ki kai mahilao ko lmasik dharm ke beech ke samay mein bhi thoda bahut bleeding ho jaata hai. Is ko metrorrhagia kaha jaata hai aur yeh chinta ka karan ho sakta hai. Periods ke dauran zada bleeding hona samanya hai per ager zada ho rahe hai to yeh kisi gambheer samasya ka sanket ho sakta hai. Kabhi kabhi ho jaaye to koi baat nahin magar regular aisa hota rehta hai to doctor ka sampark kare. 

इस के कारण कई होते है 

  • Dawai badlne per bhi spoting samasya ho saktee hai.
  • Kabhi abortion hua ho to yeh sambhavna hai.
  • Yoni sook jaaye to bhi period ke beech mein spotting ho sakta hai.
  • Garbhashay ya to us ke mukh ke aas paas koi growth ho to bhi spotting hota hai.
  • Tanav bhi ek kaaran hai.
  • Progesterone aur estrogen hormones balance mein hona jaroori hai. Agar in ke pramaan mein kam-jyaada ho jaaye to bhi yeh samasya khadi ho jati hai. 
  • Oral contraceptive lena shuru kare tabh bhi yeh spotting ka problem hota hai. Yeh pehle teen mahino tak rehta hai. 
  • Agar ovaries ne sahi tarah se karya karna bandh kar diya to aap ko spotting between periods ka problem hoga. 
  • Kai mahilao ko intrauterine birth control device lagvane par yeh problem ka saamna karna padta hai. 
  • Contraceptive injection lene se bhi spotting hona mamooli baat hai. 
  • Agar mahila sexually transmitted disease ka shikar ho gayi hai to spotting shuruhota hai. 
  • Fibroid ke karan bhi spotting hota hai. Is mein bleeding ka atirek hota hai, sharir mein aithan, jyaada peshab aana aur sambhog dauran dard fibroid ke lakshan hai jo spotting ka karan hai. Doctori treatment ki jaroorat hai. 
  • Spotting to main chinha hai magar is ke saath aur bhi lakshan hai jiase ki bukhar, thakaan, chakkar aana aur dard hona jo hone par aap ko doctor ke paas pahunch jaana chahiye. 
  • Gambhir samasya mein doctor treatment jaroori hai magar saadharan karan mein aap jeevan shaili badal ke spotting ko rok sakti hai. Agar contraceptive pills aur device se hota hai to is ke saath aap ka body familiarize ho jaaye tab spotting bandh hota hai aur agar nahin hua to is ka upyog bandh karna theek hoga. 
Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

10 Comments

tanya, May 04, 2018

mujhe only 2 days k period ho rhe h

Shabana Naaz, Mar 24, 2018

Sir maine period mai recalvi im injection liye to mujhe bleeding heavy hone lagi kiya iska koi nuksaan to nahin hain

Bhoop Singh, Feb 28, 2018

Mujhe periods ke khatam hona ke 10 days pe light blood pinkish paani aa raha hai us day intercourse kiya uske baad se ab white discharge ho raha hai please mujhe bata den aisa mere saath kabhi bhi nahin hua

Neetu, Feb 27, 2018

Mera period 7 din late ho gaya or uske baad period ho gaya hain lekin jaise hota hai vaise nahin hua kiya pregnancy ho Sakti hai please bataiye

 

Poorvi, Mar 17, 2018

Period 10 din late aaye to kiya pregnancy ho Sakti hai mujhe aap sahi samay laane ke liye kiya karna padega batayen

Sivani, Feb 15, 2018

Sir meri pichhli date 11 January ko aayi thi aaj 15 February ho gayi hai date nahin aayi bahut dar lag raha hai kiya main pregnant to nahin ho gayi hu ya kuchch or problem hai please batayen

Anita, Dec 18, 2017

Sir period or blooding mai Kiya antar hai

Bharti, Dec 16, 2017

Mujhe ek hafte baad fir Se MC hui hai aur continue lagbhag ek mahine thoda thoda hui hai iska kiya karan ho sakta hai?

 

Nishu, Jan 06, 2018

Sir main is month mai pehle 3-4 din kam hokar band ho gai thi ab 2 din baad fir se start ho gai & ab 4 din ho gaye abhi bhi continue hun & bleeding bhi jaayeda ho rahi hai KiYa karun please help me.

aman, Jun 01, 2017

Sir main na apni gf ka nal 3 saal phla sex kita se or os ka baad kbi v nahi mila hum par ab osko 2month sa pariod nahi ayi hai ka sir o 3saal phla hum ma jo kuj v hoa hai os da karna o ab pargnt ho sakdi hai

 

नरेश कुमार, Oct 07, 2017

क्या यह मुमकिन है की मासिक धर्म के दोरान सेक्स करने से ग्रभ ठहर सकता है इसकी जानकारी दें और इसके बारे में अच्छे से टिप्स भी दें जिससे हम कुच्छ ज्ञान प्राप्त कर सकें|

Sobha, May 07, 2017

Dr.ji" Mera period month me 2 bar aa rha h or khul k nh aa rha h or period ke dauran pair me bhut bechaini si hoti h.or pair v dard hota h,pet ful jata h.plz help me.

pooja, Feb 09, 2017

Dr.ji mere ege 28hai abhi hal he me 2baar se mujhe masik charm me bauth problem h.sir 10december ko period hona tha per 20 ko hua WO mere 5 Jan ko khatm hua fir 20 Jan ko hua WO bhi 12 din raha Dr ko dokhya to injection aur dawa Di uske bad fir 10 ko he ho gaya pleasebataye ki hum kya kare

 

megha, Feb 09, 2017

Hormonic imbalance ki wajah se bhi aisa hota hai badam khae esmein fiber adhik hota hai sath hi yeh hormons ko balance karne mein bhi fayda kerta hai. soya milk pie esmein kafi nutrition hote hai ubla anda khae esmein protein, vitamin aur calcium adhik hota hai periods sahi samay per ane mein help karta hai aur doctor ki salah se hi chalein apna dhyan rakhain.