मेल इन्फर्टिलिटी के असरदार घरेलू उपाय

मेल

Infertility in Men : Shadi ke baad bachche. Yeh normal hai. Magar pati ya patni mein infertility ho to bachcha paida karna mumkin nahin hota hai. Aise me hamesha dosh mahila ko dee jaati hai jab ki purush bhi infertile ho sakta hai. Bhale purush sabhi tarah se shaktishali ho aur paurush bhi ho magar shukranu me kami ya dosh hone se mahila ka garbh nahin theherta hai. Ideally, shaadi se pehle mahila aur purush dono ko fertility test karva lena chahiye magar aisa kaun karta hai? Shadi ke baad agar bachche paida karne me adchan aaye tab sajaag hote hai aur jab mahila ka test sabit karta hai ki voh fertile hai tab doctor salah deta hai ki pati ko bhi fertility test karvana chahiye. Sadharan karano se temporary infertility ho to yaha bataye gaye male infertility treatment in Hindi avashya fayda denge. 

क्या है मेल इनफर्टिलिटी या बांझपन?

Jab purush ke virya me shukranu ki maatra kam ho ya to shukranu kamjor ho to aise haalat ko male infertility kaha jaata hai. Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki shukranu jis nali se pasar hote hai voh nali block ho gaya hai to operation se yeh theek ho sakta hai. Yeh tab pata lagta hai jab male infertility test kiya jaata hai. 

पुरुष के वीर्या के परीक्षण से यह पता लगता है:

  • Purush ko oligospermia hai yaane ki shukranu kam hai.
  • Purush ko azoospermia hai yaane ki shukranu virya me maujood nahin hai.
  • Shukranu ki gati vidhi jitni honi chahiye utni nahi hai.
  • Shukranu ke roop aur aakar sahi nahin hai. 

What Causes Male Infertility?

Saval yeh uthata hai “what causes male infertility?” Male infertility causes is prakar ho sakte hai: 

  • Kai purusho me aisa hota hai ki virya ka skhalan ling ke bahar hone ke badle mutrashay me chala jaata hai. 
  • Genetic karano se bhi purush me banjhpan ho sakta hai.
  • Autoimmune disease se male infertility hona sambhav hai
  • Hormone ki kami aur thyroid aur pituitary glands ka theek se karya na karna infertility ke karan ho sakte hai. 
  • Agar purush koi STD yane sexually transmitted disease jaise ki gonorrhea ya syphilis ka shikar ban gaya ho to voh infertile ho sakta hai. 
  • Kai purusho me shighrapatan aur napunskta hoti hai jo infertility ke liye jimmedar hai. 
  • Diabetes, raktchaap, heart problem, cholesterol se aur dawai aur nashili padarth se bhi male infertility hota hai. 
  • Prostate problem, radiation se, varicose vein testes me aur undescended testes (janam se  andkosh neeche utar nahin aate hai) sabhi karan hai male infertility ka. 
  • Koi purush jyaada vyaayam kare ya to jyada steroid hormones le ya dono ka mel ho to bhi infertility hota hai. 
  • Andkosh ko bahut tight underwear me bandh ke rakhe aur tapmaan badh jaaye.
  • Bahut jyaada cycling kare.
  • Bahut jyaada garam paani se nahaye to yeh hai causes for male infertility.

Yeh hai reasons for male infertility. Infertility ke bahari chinha bhi hai aur na bhi ho. 

Signs of Male Infertility

Bahar se kya yeh jaan sakte hai ki male infertile hai ya nahin? Signs of male infertility is prakar ho sakte hai: 

  • Sambhog karne me taklif kyonki purush me ling shithilta hai
  • Skhalan karne me takleef
  • Virya bahut gadha hai (prostate fluid kam banata hai) aur kam hai
  • Shighrapatan hota hai ya to swapnadosh hota hai

Aisa bhi hota hai ki purush sabhi tarah se samarth hai aur virya skhalan bhi hota hai to bahar ke chinha koi dikhai nahin deta hai, sirf male infertility test se hee pata chalta hai ki purush ko infertility hai. Is mein semen analysis kiya jaata hai aur fir treatment kiya jata hai.

Male Infertility Treatment 

  • Jab aise haalat ho ki virya me shukranu nahin hai to male infertility treatment no sperm ka prayog kiya jaata hai. Aise me doctor salah de sakta hai ki couple ko koi male sperm donor ka sahay le. Doctor yeh check karega ki testes me shukranu ka utpadan hota hai aur tube blockage hai ki nahi. Agar aisa hai to shukranu ko vahan se collect kar ke fir mahila ke garbhashay me inject kiya jaata hai. 
  • Male factor infertility jis me hormones ki kami hai ya level sahi nahin hai to doctor hormone treatment se hormones ko balance kar dene ka prayas karta hai. 
  • Agar shukranu ki maatra kam hai to doctor vitamins aur poshtik aahar ki salah dega aur yeh bhi kahega ki sambhog hafte me ek baar kare. Aisa bhi kiya jaata hai ki virya ko ekatrit kar ke fir use injection dwara garbhashay me daakhil kiya jaata hai. Alternative doosra hai ki aise virya aur mahila me se anda ko nikal ke us virya se fertilize kiya jaata hai aur fir vohi ande ko mahila ke garbh me punah sthapit kiya jaata hai. 

मेल इनफर्टिलिटी का घरेलूइलाज

Male infertility treatment home remedies ka prayog bhi kiya jaa sakta hai:

  • Gharelu ilaj infertility in males ke liye aap poshtik aur satvik aahar khaaye aur vajikaran herbs jaise ki pyaj, lehsun, adrak aur mirch ko hamesha khane me shamil kare.
  • Eggs, meat, fresh vegetables, fruits, nuts ka sevan jayada kare aur junk foods bandh kar de. 
  • Meethe cheez khane ka kam kare. 
  • Tamaku aur sharab bandh kar de. 
  • Thande paani se nahaye
  • Loose underwear pehne ya to na pehne. 
  • Tanav se mukt rahe jis ke liye yogasan aur pranayam avashya kare. Kapalbhaati se kai aise sharirik smasya ka hal aaya hai. 

मेल इनफर्टिलिटी का आयुर्वेदिक ईलाज

Ayurveda infertility ke liye yeh dhayn dein agar purush ke ling me uttejana nahin hai, shigrapatan hota hai, virya ki maatra aur shukranu ki maatra me kami hai aur sharirik durbalta hai to jaroor ayurveda madad kar sakta hai. Male infertility treatment in ayurveda is prakar hai: 

  • Kapikachu (kavach beej) ko bhigoye aur doodh me ubale us ka churna aur gaadha hone par ghee aur chini daal ke sone ke pehle sevan kare to virya gadha hoga aur kamshakti badh jaati hai. 
  • Raat ko sone se pehle ashwagandha churna, musli, bidarikand, shatavri, akkarkara, gokhru, punarnava churna ko doodh me milaye aur ghee daal ke peeye. 
  • Bala aur salam misri churna ko ghee aur gud ke saath khaaye. 
  • Guduchi, gokhra churna ko triphla churna ke saath raat ko sevan kare. 
  • Chyavan prash hamesha khaaye. 
  • Bargad ke ped ke chaal ka kaadha bana ke sevan kare chini ke saath. 
  • Raat ko doodh ke saath shilajit ka sevan kare. 

Male infertility temporary ya permanent hota hai. Is ka jaanch karvaye aur baad me uchit male infertility treatment le.

TAGS:#men infertility #infertility treatment for men #infertile men #infertility in men treatment #infertility for men #treatment for infertility in men #infertility in men and women #treatment of infertility in men #infertility treatment in men #infertility treatments men #natural remedies for infertility in men

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

4 Comments

sam, Apr 13, 2018

infertility in men is common now a days may be because of our life style.

रघुबीर, Jan 31, 2018

मेल इनफर्टिलिटी के ट्रीटमेंट नुस्खे उपचार उपाय बताइए जिनसे मैं आपसे इसके बारे में विस्तार से जानकारी प्राप्त कर सकूँ

Vikas, Jan 03, 2018

Male infertility ko herbal treatment ke zariye se iska solution bahut asani se ho sakta hai Hashmi ka baby capsule bahut achcha hai Meri wife pregnant ho gayi hai

सोनू ओर सोनिया , Sep 12, 2017

जब पुरुष के वीर्या मे शुक्राणु की मात्रा कम हो या तो शुक्राणु कमजोर हो तो ऐसे हालत को मेल इनफर्टिलिटी कहा जाता है. कभी कभी ऐसा भी होता है कि शुक्राणु जिस नली में से गुज़रते है वो नली अगर ब्लॉक हो गई है तो ऑपरेशन से यह ठीक हो सकता है. यह तब पता लगता है जब मेल इनफर्टिलिटी टेस्ट किया जाता है|