लिपस्टिक कैसे लगाए जानिए कुछ सिंपल स्टेप्स

लिपस्टिक

Chehre ka uthav hontho aur aankho se hai. Ronak aa jaata hai jab aap in ko savarenge. Aankho mein kajal lagaye agar mascara/eyeliner/eyeshadow pasand na ho to aur hontho par lipstick. Stri ke chehra khil uthta hai thodese lipstick se. ladies ko aadat hai ki bahar jaate waqt lipstick uthake jaise taise lips par laga deti hai magar yeh chahiye aise achcha effect nahin deta hai. Jaaniye lipstick kaise lagaye jis se chehra ke uthav aaye. 

Pehle to sahi rang ka lipstick chun le. Tvacha gora ho ya shyam, chehre ka aakaar ko dhyan mein rakh ke pasand kare lipstick. Dark colors jaise ki coffee brown, magenta aur deep red party aur shyam ke samay ke liye reserve kare. Shyam tvacha ko dark colors suit karte hai. Pink, coral, rose pink aur mauve colors gore chehre par aur bhi achcha lagta hai toh soch samajh ke pasand kare aur lagaye.

Lips ko aese kare prepare

Khaas kar ke shardiyon mein chamdi sookh jaati hai. To pehle yeh sukhe chamdi ko toothbrush se ya bheega towel se ghis ke nikal le aur baad mein lipstick lagane ki vidhi shuru kare. 

Lipstick lagane ke liye simple steps

  • Wax based lip balm lagaye, hontho ko ek dusre se ghise aur tissue se excess amount nikal le. 
  • Is ke baad lip pencil le aur honthon par lagaye jis se jhurriya dhak jaaye. Aap chahe to foundation bhi laga sakti hai.
  • Ab lip liner le. Aisa color ka liner le jo aap ke honthon ke rang se milta julta ho. Pehle hontho par alag alag jagah par tika kare aur phir liner pencil ko halke haath se ghumaye. 
  • Ab lipstick lekar lagaye. Hontho ke upari hisse se Madhya bhaag se shuru kar ke kone tak lagaye. Aise hi neechle honth par lagaye. Thodasa powder halka sa honthon par chidak le. Ab ek tissue le ke halke se hontho par dabaye jis se agar jyaada lag gaya ho to nikal jayega. 
  • Agar aur uthav aur bhi badhana ho to lip gloss lagaye. 
  • Light aur dark color ko samajhdari se upyog karne se to aur bhi striking effect laa sakte hai. 

Thoda detail mein dekhe to har ek step par kai baate dhyan rakhne jaisi hai. Is se result mein perfection aayega. 

Lip liner lagate waqt: Agar honthon ko chote dikhana hai to lip ke andar ke side par hi liner lagaye aur aaju baaju concealer lagaye. Agar chote hontho ko bada dikhana hai to lip liner lip ke limit ke bahar tak lagaye. Chauda karne, sankuchit karne ke liye bhi is tarah se side to side kam ya jyaada lagaye. Lipstick lagan eke baad bhi ungli ya rui se kinariyo ko thada sa blend kare aaju baaju ke chamdi mein.

TAGS : #लिपस्टिक कैसे लगाये #lipstick kaise lagaye #lipstick lagane ka method #lipstick lagane ka tarika #lipstick tips in hindi #lipstik lagane ka tarika #lipstick lagane ke tarike #simple makeup kaise kare in hindi

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

0 Comments