जाने लहसून के फायदे - Lehsun Garlic Khane ke Fayde in Hindi

जाने

Garlic Benefits in hindi: Sehat ke liye chamatkari roj ke istemal me kiye jaane wale samagri ki baat kare to lehsun uchch koti ka hai. Is me hai aise tatva jo sharir ko kai tarah se fayda pahunchate hai. Aise to har roj lehsun ka istmal sabji vagairah me kiya jaata hai swad badhane ke liye. Lehsun benefits in hindi janiye aur bina hichkichahet ke lahsun ko khate rahie aur apnee twacha aur balon ke bhi upyog karein. Magar aap yeh bhi jaaniye ki lehsun aise regular khayenge to health benefits bhi hai. Is ke alava lehsun aushadh ke roop me bhi istemal kiya jaa sakta hai.

लहसुन के फायदे

  • Lehsun bahut sare aushadhiye gun hote hai.
  • Khalee pet lahsun khane se eske gun bar jate hai.

Lahsun ke Gun - लहसुन के गुण

5000 salo se hum lehsun ka upyog karte aaye hai. Lehsun ke gun anek hai aur unke peeche kaaran hai lehsun me paye jane vale tatva. Yeh tatva hai diallyl sulfide, diallyl trisulfide, allyl methyl trisulfide, dithiin, ajeone, allyl  cysteine, s-allyl mercaptocysteine aur gamma glutamyl cysteine jo sabhi gandhak par adharait hai jis ke kaaran lehsun ka ek khas smell hota hai aur khaane me teekha lagta hai. 

Lehsun khane ke Fayde-Suraksha

  • Lahsun garlic khane ke fayde anek hai. Jo budhape me arteries sankuchut ho jaate hai aur kathor ho jaate hai voh samasya lehsun khane se nahin hota hai. 
  • Lahsun ke fayde aap ke aant ko bhi hai. Yeh sabhi bacteria ka nash karta hai aur antioxidant ka kaam kar ke aap ko cancer se surakshit rakhta hai. . 
  • Khali pet lahsun khane ke fayde yeh hai ki aap ka pet bilkul saaf ho jaata hai, pet me krumi aur bacteria ka nash hota hai, cholesterol kam ho jaata hai aur uchch raktchaap theek ho jaata hai. 
  • Jo purush har roj kachche lehsun khaate hai unhe prostate sambandit taklif nahin hota hai aur prostate cancer bhi hone ki shakyata kam hai. 

Lahsun Khane ka Tarika

Lahsun khane ka tarika sahi hona chahiye aur is ka upyog jis ke liye kiya jaata hai us ke mutabik lehsun ko khaaye. 

  • Uchch raktchaap ho aur thodasa lakva ka asar ho gaya hai to 2 kali lehsun ko mooh me rakhe aur khoob chaba ke khaaye. Paani me ghol banake peene se itna fayda nahin hota hai. 
  • Kai aise bimari hai jis me lehsun ko doodh me ubal kar upyog kiya jaata hai to sahi asar hota hai. 
  • Aam taur par lehsun kaise khaye us ka jawab hai ki adhik fayda chahiye to kachcha khaaye. 
  • Lehsun me kai tatva aise hai jo paani me ghulte hai aur kai tatva tel me. To pet aur gale ke sambandhit samasya ke liye haldi aur lehsun khaana hai to lehsun ko koot ke thodi der hawa lagne de aur fir haldi mila ke ghee ke saat mila ke chaate. 
  • Lehsun khane ka sahi tarike hai ki khali pet khaye to maximum fayda hoga. 
  • Aise aap khane ke saath lehsun, jeera aur hara mirch ka chatni bana ke khaaye to bhi fayda hoga magar dhyan rakhe ki sendha namak aur jeera bharpur ho varna lehsun gas karta hai.

Lahsun Khane ke Fayde in Hindi - Taklif Door Kare

Ab jaaniye niyamit lahsun khane ke fayde in Hindi

  • Niyamit kachcha lahsun khane ke fayde yeh hai ki aap ka khoon saaf hoga, pet saf hoga aur aap ko shardi-khansi hone ki sambhavna kam hoti hai. 
  • Lehsun ke fayde hindi me bataye ki yeh aap ko blood pressure ke problems se bachaye rakhta hai aur high BP ho jaye to bhi ise prakrutik dhang se kam kar deta hai. 
  • Viral fever aur shardi-khansi ho jaaye to lehsun kachcha khaye ya pyaj aur hari mirch ke saath soup bana ke piye to turant fayda hoga. 
  • Lahsun khane kai fayda hindi me jaaniye ki yeh bad cholesterol level ko kam kar deta hai aur dil ko majboot bana deta hai. 
  • Lahsun khane se labh aur bhi hai jaise ki alzheimer’s aur dementia yane pagalpan jaise bimariya budhape me aap ko nahin hongi. 
  • Lahsun ke fayde yeh hai ki aap ki umar badhti hai kyonki aap rehte hai nirogi aur lifestyle related disease aap ko choote nahin hai. 
  • Lahsun ka upyog agar sportsmen aur athletes kare to un ka performance badh jaata hai. 
  • Lahsun ke labh in Hindi kahe to yeh aap ke haddiyo ko majboot banaye rakhta hai aur bone loss nahin hone deta hai jo menopause mahilao aur jyada umar valo ke liye important baat hai. 
  • Kyaa aap ko maaloom hai ki lahsun ke regular khaane se purusho me sex power badh jaata hai? Bazaar me “ek kali” ke lahsun jo sex power badhate hai voh uche daam me bikte hai. 
  • Lahsun khane kai fayda hindi me bataye to yeh dast ko rok deta hai. Khali pet ek kali lehsun chaba le. Kaafi hai. 
  • Lehsun ki jitni tarif kare itni kam. Lahsuk ke fayde hindi me bataye to kshay rog yane TB ke mareez ke liye uttam dawai hai. Yeh dahi me mila ke ya doodh me ubal ke diya jaaye to labh milta hai. 
  • Lahsun ke fayde hindi me un ke liye hai jo vajan kam karna chahte hai. Yeh cholesterol kam karta hai aur lehsun se metabolism tej ho jaata hai. 
  • Lehsun un ke liye bhi upyogi hai jin ko jodo me taklif hai aur soojhan hai. Bas 2 kali kachchi lehsun har roj chabate rahe savere aur yeh pareshani se rahe mukt. 
  • Dama se peedit ho to lehsun ka paste shahad ke saath mila ke chaate. 
  • Lahsun face dag par lagane se kaala pan door ho jaata hai. Behtreen result ke liye haldi aur nimbu ke ras ke saath mila ke lagaye. 
  • Sharidiyo me lehsun khaaye to thandi nahin lagega. 
  • Baal jhadte ho to lehsun khaaye kache savere savere aur baalo me bhi tel me bhun ke lagaye. 
  • Daanto me sadan hai aur dard ho raha hai to lahsun ki kali chaba chaba ke khaaye. 
  • Mota hone ke gharelu tips in Hindi me lehsun ka bhi upyog faydakarak hai kyonki is se sharir me shuddhata aati hai, toxins nikal jaati hai, poshak tatva ka grahan sahi hota hai aur metabolism sudhar jaata hai. Ghee aur lehsun ko koot ke, thodasa tal ke khaaye. 

Lehsun ke Nuksan - लहसुन के नुकसान

Lehsun khaane ke fayde itne hai to aap sochenge ki jyaada khaa lu. Magar aise kare to lahsun ke nuksan hote hai. 

  • Ek lahsun ka nuksan yeh hai ki agar bleeding hai ya pet me ulcer hai to yeh badh jaata hai. 
  • Jinhe acidity hai to jyada lehsun ko kachcha khaye to acidity badh ke jalan hone lagti hai. 
  • Pachan tantra kamjor ho to lahsun khaane se gas jyaada utpann hota hai. 
  • Jin ko lo blood pressure hai to lahsun khane ke nuksan yeh hai ki blood pressure aur bhi low ho jaata hai. 
  • Operation ke 2 hafte pehle lahsun na khaaye kyonki lahsun se bleeding lambe samay tak hota hai. 
  • Jyaada lahsun khaye to khoon patla ho sakta hai. 
  • TB ke mareez jo isoniazid khate hai to lehsun na khaye. 
  • Jo liver, heart aur kidney ke liye goli khaate hai to lehsun ke side effect ho sakte hai. Doctor se pooch ke lehsun khaaye ya to week me 2-3 baar khaaye aur kam maatra me. 
  • Lehsun ko tel me mila ke rakhe to bahar na rehne de kyonki botulism yane food poisoning bacteria is me fail jaata hai. Fridge me hee rakhe. 

Yeh hai lehsun khane ke fayde aur nuksan gharelu tips in hindi. Lehsun avashya khaaye aur rahe tandurast. Hafte me do din na khaaye to is ka karyakshamta aur badh jaati hai.

 ईन नुस्खों के फायदे भी ज़रूर जाने

TAGS:#लहसुन खाने के फायदे #lahsun ke nuksan/labh/ fayde in hindi #garlic benefits #lahsun khane se labh #lahsun kaise khaye#lahsun benefits in hindi/english #benefits of lahsun in hindi #lahsun ka fayda/upyog/faida #lahsun khane se kya hota hai #lahsun ke faide #lahsun ka upchar #lahsun se ilaj

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

6 Comments

भगवान सिंग , Sep 09, 2017

लहसुन खाने के क्या फ़ाएदे हैं और इसके नुकसान क्या हैं किसे खाना चाहिए और किसे नहीं खाना चाहिए यह सारी बातें बताएँगे तो कई इससे लाभ भी उठा सकते हैं और जिसे नहीं खाना वो उसे छोड़कर नुकसान होने से बच सकता हैं| प्लीज़ शेयर मी ईच एंड एवरीथिन्ग

somya, Jun 21, 2017

mana suna hain k lahsun roz subha garam p;ani k saath khali peet lena se motapa kam hota hain !!!kya yeh sach hain ????

vaibhav, Jun 21, 2017

mujha apka batae nuskoon se bhaut faida hua hai mai esa roz parta hu bhaut kuch seekhna ko milta hain .

anushka, Jan 05, 2017

apke dwara batae gae fayde bahut badiya hai.

Mona , Dec 30, 2016

Nice tips

Tinu , Dec 30, 2016

Rukha garlic khata hoon to bara teekha lagta hai khatee pet kids ke sath mila le kha sakte hai