Ghutno ke dard se hairan pareshan rehne ki jaroorat nahin hai, bas, yahan bataye tips ko aajmaaye aur rahe dard-mukt!
Allopathy mein uric acid badh jaane se ghutno me dard hota hai aisa kehte hai aur ayurved mein vaat aur vayu ke prakop se ghutno mein dard hota hai aisa kehte hai. Jo bhi kaaran ho, agar aap ko ghutno mein dard hai to jodo ke dard se chutkara paane ke liye aajmaye in mein se koi bhi tips.
- Savere uth ke garam paani mein nimbu ka ras, adrak ka paste, dalchini powder aur kali mirch daal ke peene se ek mahine mein dard kam ho jaata hai.
- Akhrot niyamit savere ek mahine tak khaaye.
- Lehsun ki kali ko kut ke doodh mein ubal ke piye jodo ke dard ke liye.
- Ashwagandha churna, amla aur shatavari churna doodh mein mila ke peeye.
- Methi daane raat ko bhigoye aur savere chaba ke khaa le.
- Din mein 4 liter paani peeye.
- Sarson ke tel aur til ke tel mein kute hue lehsun aur adrak mila ke garam kare aur gunguna hone par kapur milaye. Chaan ke ghutno ke dard ke liye maalish kare. Chahe to is tel mein haldi milaye.
- Bathua ke sabji ka ras nikal ke har roj savere khaali pet peene se ghutno ka dard kam hoga.
- Chuna mein haldi aur pisa hua rai mila ke ghutno par bandh ke rakhe.
- Garam doodh mein haldi ek chamach daal ke raat ko peene se ghutno ke dard mein labh hoga.
- Jamun ke beej ka powder ko paani mein ubal ke ghutno par lagaye.
TAGS:#घुटने के दर्द का उपाय #घुटनों में दर्द #घुटना दर्द की दवा #घुटने के दर्द के कारण #घुटने का दर्द की दवा #घुटने के दर्द का घरेलू उपचार #घुटने की सूजन #घुटने के दर्द का आयुर्वेदिक इलाज