Khansi ka Ayurvedic ilaj in Hindi (खांसी का आयुर्वेदिक इलाज) : Khansi itni aam baat hai ki log is par khas baat nahin dete hai. Khansi ke alag prakar hai. Shardi jukham hone se khanshi bhi ho jaata hai. Doosre karan hai ki hamesha dhumrapan karna, dry dust ke kaaran, balgam ke karan cough, swasan tantra me kharabi ke karan, infection ke karan aur gehri bimari jaise cancer aur TB ke kaaran. Ayurved me khansi ko kaasa roga kaha gaya hai. Aaiye jaane ayurved ke drashti se khansi ke prakar aur ayurved mein khansi ke upchar.
खांसी के प्रकार - Alag Prakar ke Khansi
- Dust aur allergic material swasan nali me ho to sooki khansi hoti hai aur tej khansi hoti hai.
- Sans lene me taklif hoti ho aur khansi hoti hai to use wheezing cough kehte hai jo asthma ya swasan nali ke sankuchit hone se hoti hai.
- Balgam vala kaf ho aam taur par shardi aur jukham hone par hota hao. Chaati me balgam paida hota hai viral infection ke karan aur ise bahar nikalne ke liye khansi hoti hai.
- Lung cancer ho jaye to sooki khansi hoti hai aur vajan kam hota jaata hai.
- TB ke karan cough hota hai jis me khoon nikalta hai khanste waqt aur raat ko bukhar rehta hai.
- Pulmonary edema ek haalat hai jis me lungs ke sacs me pani bhar jaata hai aur khansi hone par gulabi lahu se bhara hua thoonk aata hai aur swas lene me taklif hoti hai.
- Smokers cough voh hai jo hamesha dhumrapran karte hai un ko hota hai. Sooki khansi hoti hai.
Kaasa rog yane khansi yeh batati hai ki sharir me sab kuch sahin hai aur asantulan hai jis ka ilaj karna jaroori hai. Khansi se aage jaake bronchitis, pneumonia, asthma, lung cancer hone ki sambhavna rehti hai. Cancer aur TB ke khansi aur anya serious kaaran se hone vali khansi ke alava aam khansi ke liye ayurved me khansi ke liye uttam ilaj hai.
आयुर्वेद में खांसी के आहार
- Ayurved me khansi ke ilaj me aahar ka mahatva hota hai. Paani khoob peete rehna chahiye taki gala sook na jaye.
- Fruit juice le sakte hai.
- Doodh piya jaa sakta hai magar ubla hua.
- Khansi ke liye ayurvedic aahar aur aushadh hai methi ke patte.
- Thande aur tale hue cheez na khaye aur masaledar aahar bhi na le.
- Badam, sing, kaju jaise nuts na khaye aur nariyal bhi na khaye.
आयुर्वेदिक जड़ी बूटी खाँसी के लिए
Ayurved me kai aise jadi booti hai jin ke upyog se khansi ka shaman hota hai. Yeh ayurvedic upchar khansi ke liye aap ghar par kar sakte hai.
- Alsi ke beej ko halka sa sek le aur chaba ke kha le.
- Ek elichi mooh me rakhe to is se gale ki kharash kam hoti hai. Elaichi ka ubla hua paani shahad ke saath sevan kiya jaa sakta hai.
- Ayurved khansi ka uttam jadibooti hai yashtimadhu. Is ke mool ka churan ko kali mirch aur shahad ke sath mila ke chooste rahe to khansi ka shaman hota hai.
- Baheda ka churna, pipermool churna, sendha namak aur shahad ayurvedic upay hai khansi ke liye.
- Ayurved nuskha khansi ke liye hai haldi. Garam doodh me haldi mila ke peene se kaf ka shaman hota hai.
- Ayurved cough treatment me thodese gud ke sath thodese kali mirch chaba ke kha le anyatha kali mirch powder, pipermool aur gud ko mila ke goli banake chooste rahe.
- Dalchini powder aur shahad ka mishran ayurvedic treatment for cough uttam hai.
- Balgam vale khansi me savere uth ke 2 lehsun ki kali chaba ke khaye.
- Kumari yane aloevera ayurved me khansi me upyog hoti hai. Is ke patte ko aag par roast kare aur ras nikal ke shahad ke saath sevan kare.
- Gale me kharash ho to pani me mehndi ke patte ko ubale aur namak mila ke garare kare.
- Pan ke patte me pipermool powder, yashtimadhu powder, elaichi dane aur ek long rakhe aur shahad lagaye. Pan ko potli bana ke mooh me rakhe aur ras chooste rahe.
- Sirf saunf khate rahe to bhi khansi ka shaman hoga.
- Sonth powder aur shahad mila ke sevan karne se bhi balgam vali khansi me raahat milta hai.
- Ayurved me tulsi ka vishesh sthan hai khansi ke liye. Is ka ras ka sevan kare ya patte chabaye.
- Yeh ayurved me nahin hai kyonki eaucalyptus India ka native nahin hai magar is ke patte ko mooh me rakhe aur choose to khansi shighra hee bandh ho jayega.
Yeh jadibooti par adharit ayurvedic khansi ke nuskhe se avashya fayda hoga.
Is ke alava aise bhi ayurvedic ilaj hai alag prakar ke khansi ke liye.
आयुर्वेद में सूखी , पुरानी और तार खाँसी का उपचार
Home remedies for dry cough in hindi: Kai logo ko bina karan ke sooki khansi aati hai aur mooh lal lal ho jaata hai itne khansne se. Aise sukhi khansi ke gharelu nuskhe me yeh prayog kare:
Fitkari 10 gram le aur use tave par garam kare to voh fool jayega. Ise thanda kar ke powder kare. 100 gram chini ko powder kare. Dono ko milaye aur 15 hisse me baate aur har roj ek hissa 100 gram doodh me mila ke sevan kare raat ko. Purani khansi aur sooki khansi is prayog se mit jayenge.
आयुर्वेद में ब्रोंकाइटिस का इलाज - Ayurved Bronchitis ka ilaj
Bronchitis se khansi hoti hai to us ke liye ayurved bronchitis khansi ka ilaj is prakar kare:
- Kali mirch powder, chini powder aur ghee milaye aur goli banaye aur hamesha chooste rahe. Gale ka kharash bhi mit jayega.
- Kali mirch powder ek chamach, ek chamach pipermool powder aur ek chamach yashtimadhu powder mila le aur gud ke saath achchi tarah mila ke goli bana ke chooste rahe to sabhi tarah ke khansi se chutkara milega.
- Munakke ka beej nikale aur andar kali mirch sabut rakhe aur chaba ke khaye.
आयुर्वेद में दमा खांसी का इलाज
Dama (asthma) khansi ka ilaj in hindi: Is prakar ke asthma ke karan hone vale khansi ke liye adrak ka ras, shahad aur yashtimadhu powder mila ke chaate din me 3-4 baar. Ek hafte tak kare to jaroor fayda hota hai.
Yeh hai kai ayurved par adharit khansi ke ilaj, khansi ka ayurvedic ilaj. Prayog kare. Cough medicine se behtar hota hai ayurvedic upchar aur lambe samay ke liye raahat milta hai.
TAGS: #khasi ki ayurvedic dawa #khansi ka ayurvedic ilaj #ayurvedic medicine for cough in hindi #ayurvedic nuskhe for khasi #ayurvedic treatment for cough and cold in hindi #ayurvedic medicine for khasi #ayurvedic treatment for cold and cough in hindi #ayurvedic medicine for cough and cold in hindi #dadima ke nuskhe for cough #khansi ke gharelu upay in hindi #khansi ka desi ilaj in hindi
Ramesh Kumar, Mar 28, 2018
Bahut aachi baaten batayi hai aapne ....aage bhi aise hi batate rehna