Khajur ke fayde in hindi: Khajur ek poshan ka anmol khajana hai jo har ek vyakti ko roj ke aahar me shamil karna chahiye. Hazaro saalo se khajur ka istemal, khaas kar ke Middle East ke desho me, hota aa raha hai aur fasting karte ho Ramzan me to khajur khaa ke fast ko toda jaata hai. Khajur kai alag prakar ke hote hai. Sab se uttam hai Mejdool ho naram aur bahut meetha hai. Zahidi khajoor bhi bahut naram hota hai aur uchch prakar ka hai. Thoory khajoor jara sookha hota hai aur fibre jyaada hota hai. Doosre prakar ke khajoor hai Ajwa, Halawy, Deglet Noor aur Barhi. Khajur me kai swasth vardhak gun hai aur yaha par aap jaaniye khajoor khane ke fayde in Hindi.
खजूर खाने के फायदे - Khajoor Khane Ke Fayde
- Khajoor khane se pachan tantra swasthya rehta hai.
- khajur shareer ko energy pradaan kerta hai.
- khajur shareere ke nervous sysytem ke lie behad labhkari hai.
- Anemia ko theek kerne mein bahut karger hai.
- Sexual stamina ko badhane mein ahem bhumika nibhae.
- Vajan badhane mein madadgar hai.
- Khajur se pet ka cancer theek hota hai.
- Sugar ke sater ko niyantrit kare.
- Stenpan (स्तनपान) karane walee mahilaon ke lie labhkari hai.
- Raat ko bister gila kerne wale bachchon ke lie labhkari hai.
Khajur ke Gun - खजूर के गुण
Khajur ke gun dher saare hai. 100 gram khajur khaye to is mein se aap ko milega fat 0.4 grams, carbohydrate 75 gram jis mein sugar hai 63 grams, Vitamin B6 10%, Magnesium 10%, potassium 656 mg, sodium 2 mg, calcium 3% aur iron 5%. Kyonki is mein fiber jyaada hai to yeh LDL cholesterol ko kam karne me madadgar hai. Khajoor mein hai tannins jo soojan kam kardete hai aur antioxidant ka kam karte hai. Saath me Vitamin A 149 IU hai jo aankhon ke liye uttam hai. Khajoor me hai beta carotene, lutein aur zea xanthin jo powerful antioxidants hai. Ansh maatra mein niacin, pantothenic acid, riboflavin, manganese aur copper hai khajoor mein. Aage jaaniye khajur dates khane ke fayde or benefits in Hindi.
Khajur Khane ke Fayde - खजूर के फायदे
khajur Khane ke fayade in hindi: Jyaada fibre wale variety ke khajur khaaye to aap ke khoon me se LDL cholesterol jo dil ki bimari ke liye jimmedar hai, use khajur kam kar deta hai. Khajur se triglyceride level bhi kam ho jaata hai.
- Khajur khane ke fayde yeh hai ki kabz ki shikayat nahin rehti hai. Din me ek muthi bhar khajoor khaaye aur constipation se rahe mukt.
- Bhook lage shram ke baad to kuch meetha khane ko man karta hai. Khajoor mein sugar hota hai aur workout ke baad thodasa khajur ke khaane se turant energy milta hai. Dopahar ko kaam karke thak jate ho office mein to khajur khaye aur dekhe kaise turant aap taaja ho jaate hai.
- Khajoor ke faide haddiyo ke liye bhi hai. Is me calcium aur phosphorus hone ke kaaran daant aur haddi surakshit rehte hai. Yehi calcium khajur me paaye potassium ke saath dil ko majboot banane me kargaar hai.
- Khajur khane se fayda ek yeh hai ki immunity badhta hai kyonki is mein hai tannin, beta carotene aur zea xanthin jo antioxidant ka kaam karte hai. Zea xanthin se aankho ki roshni lambi umar tak barkarar rehti hai.
- Khajur ke fayde blood ke liye aur sharir ke cells ke liye bhi anginat hai. Khajur me magnesium aur copper hote hai jo nerves ke liye aur rakt koshika ke nirman aur swasth ke liye important hai.
- Khajur ke fayede aur bhi hai jaise ki thakan aur pagalpan se suraksha.
- Khajur khane ke fayde in Hindi bataye to yeh aging yaane budhape ka asar kam kar deta hai.
- Khajoor benefits in Hindi yeh hai ki yeh kidney aur liver ko majboot bana deta hai, mutral hai aur pachne me halka hai. Koi bhi operation ke baad ya rog ke baad recovery hota hai tab khajur avashya khaana chahiye.
- Benefits of khajoor with milk prachur matra mein paya jata hai. Khajur ke upyog sardiyo me kare to sharir me garmi aati hai aur immunity badhta hai. Khaur aise hee khaya jaa sakta hai, ghee me paka ke, doodh me ubal ke aur anya ayurvedic jadi booti ke churna ke saath mila ke to bal aur dimagi tej badhta hai.
- Agar mood down ho jaaye to khajur khaye. Benefit of khajur in Hindi yeh hai ki depression khatam ho jaata hai.
- khajoor benefits for men mein aap janege ki Jo purush pareshan hai kyonki unka vajan nahin badhta hai to doodh khajooor ke labh in Hinde kahe to savere yeh prayog kare aur aap ko dikhai dega ek mahine me ki vajan badhne laga hai. Khajoor ke beej nikal ke tukde kar ke doodh me ubale aur fir ghee mila ke khaye. Yehi doodh khajoor mix me aap chahe to ashwagandha, shatavri aur jaiphal ka churna bhi mila sakte hai.
- Khajoor benefits hindi me kahe to chehre par jhurriya jaldi se nahin padti hai agar khajoor ka regular sevan kare aap.
- Kyonki khajoor me iron hota hai to yeh aap ko anemia se bacha ke rakhta hai aur mahilao ko khaas is ka sevan karna chahiye.
- Yehi ek itna meetha fal hai jo diabetics bhi befikr khaa sakte hai.
- Khajoor calories mein mamle mein bhi labhkari hai her 1 piece khajoor mein 23 calories hotee hai.
Calories in khajur - 23
Jin logo ko apna wajan badhana hai ya mota hona hai unhe calorie zada khanee chahie to vajan jaldi berta hai.
Ajwa Khajoor Ke Faide - अजवा खजूर के फायदे
Ajwa dates benefits: Khajur ke kai varieties hai aur is mein Saudi Arabia mein mashoor hai Ajwa.
- Ajwa khajoor benefits in hindi yeh hai ki is mein iron, calcium, zinc aur potassium jyaada maatra mein hai aur saath mein doosre poshak tatva bhi hai jo dil ke liye, cholesterol ke liye bahut uttam hai.
- Ajwa khajoor se ilaj bhi hota hai. yeh cancer se surakshit rakhta hai. Is ke beej ka powder ka sevan karne se arteries saaf rehte hai. High blood pressure ke mareez ko ajwa khajur ke beej ka powder ka sevan karna chahiye.
- Pregnant mahilao ke liye bhi ajwa khajur gunkari hai.
- Mahila aur purush me infertility ki samasya ka hal hai ajwa khajur.
- Ajwa khajur benefits for men in Hindi kahe to yeh stamina badhata hai, sex power badhata hai aur lambe samay tak paurush banaye rakhta hai.
- Savere doodh aur ghee ke saath khajur khaaye. Saud me ajwa khajur ko jannat ka fal maana gaya hai aur jo har roj thode khajur khayega use vish ya jadu ka koi asar nahin hoga.
- Ajwa data khaye to anxiety, tension aur high BP se mukt rahenge aap.
- Ajwa khajoor ki pehchan alag hi hotee hai yeh kala khajur hota hai. Mardana kamzori kay liay or mardana taqat kay liye bhi ajwa khajur ka istemal kiya jata hai.
Pind Khajoor
- Pind khajoor mein carbohydrates, protein , calcium, potassium aur phosphorous pachur matra mein paya jata hai.
- Sardiyon mein pind khajoor turant shakti aur safoorti deta hai.
- Raat ke samay khajoor bhigo ker subah ghee ke sath khane se mastishek berta hai.
- Vajan badhane mein labhdaee hota hai.
Delivery se Pehle Garbhvati Mahila ke Liye
Khajoor benefits in pregnancy: Kuran me Prophet Mohammed ne salah diya hai ki garbhvati mahilae khajur avashya khaaye. Khajoor khane ke fayde during pregnancy in Hindi jaaniye, jo clinical studies se substantiate hua hai. (Journal of Obstetrics and Gynecology 2011).
- Khajur ke fayde hindi mai garbhvati mahila ke liye yeh hai ki us ka cervix yane garbhashay ka mukh khul jaata hai aur janam dene me aasaani rehti hai.
- Pregnant mahila khajoor khane se kya hota hai? Garbhashay ke andar ke peshiyo ko kam nuksan hota hai aur peeda bhi kam hota hai.
- Bachche ko janam dete samay labor aasaani se ho jaata hai. Labor bhi jaldi se khatam ho jaata hai.
- Khajur agar delivery ke pehle ke dino me khaaye to dawai ki avashyakta kam ho jaati hai.
Khajoor ke fayde in hindi mein garbhwati mahilaon ke lie yeh bataya gya hai ki delivery ke 4 hafte pehle se hee garbhvati mahila ko khajur ka sevan shuru kar dena chahiye.
Khajur ek aisa fal hai jo sirf poshan hi nahin deta hai balki rakshan bhi deta hai aur sudharta bhi hai.
TAGS:#Dates Health Benefits in Hindi #Benefits of Dates in Hindi #ताकत के लिए फल #khajur/khejur in english #khajur tree #benefits of khajur #benefits of khajoor in hindi #khwab mein khajoor dekhna #khajoor k fawaid #what is ajwa khajoor #khajoor vitamins
Zubin, Jun 21, 2018
khajur khane ke fayde bahut acche tarike se bataye gaye hai.