कमर दर्द भगाने के आसान देसी घरेलू उपाय - Kamar Dard Ka Gharelu ilaj in Hindi

कमर

Kamar dard ka gharelu ilaj in hindi(कमर का दर्द कैसे ठीक करे): Badhti umar mein, baithe baithe kaam karne se aur vajan badhne se kamar dard hona ek aam shikayat hai. Bhaari vajan uthane se bhi yeh dard pragat ho sakta hai. Kabhi kabhi slip disc ke karan bhi kamar mein dard hota hai jo atyant peeda deta hai kyonki reed ki haddi ke naso par dabav hone lagta hai. Aise halat mein pair mein bhi dard shuru ho jaata hai. Yeh kamar ka dard (Backache) ko agar samaysar ilaj na kare to aage jaake poore lower body mein pain hone lagta hai. In sabhi ke liye aap treatment le sakte hai ya to yahan par bataye gaye desi ilaj for back pain or kamar dard (कमर का दर्द और इलाज) ka upyog kare. 

Kamar Dard ka ilaj in Hindi

  • Apnee jeevenshailee sudharein.
  • Yoga se paya ja sakta hai kamerdard pe kaboo.
  • Roz exercise zaroor karein.
  • Garam pani se sikae kare.
  • Kamar dard mein malish rambaan ilaaj hai.
  • Ajwain ko chabain.
  • Namek ki sikae kare.
  • Hard bister per soe.
  • Apne khane mein tamatar, kheera, kakdi, palak ka upyog kare.
  • Garam cheezo ka upyog karein.

कमर दर्द के कारण - Kamar Dard ke Karan

Back pain ya kamar mein dard ke kai kaaran ho sakte hai. Jisko aadat nahin hai agar us ne ekdum se bhaari vajan uthane ki koshish ki to kamar mein dard hone lagta hai. Achanak jhatka deke jhuke to yeh dard hota hai. Lambe samay tak baith ke kaam karne se back pain ho jaata hai. Sahi tarah se na baithe to bhi back mein pein hota hai. Umar badhne se reed ki haddi mein ghisav hone ke karan bhi yeh taklif hota hai aur slip disc se bhi ho jaata hai. Pet jyada badh jaaye to bhi hota hai aur garbhvati mahila mein yeh sadharan baat hai. Kamar dard ke kai khaas lakshan hai jinka desi dawa se ilaj kiya ja sakta hai.

कमरदर्द के लक्षण -  kamar Dard ke Lakshan

Kamar dard ke kai lakshan pragat hone lagte hai jis se aap ise pehchan sakenge: 

  • Kamar mein dard 
  • Pairo mein dard
  • Pairo mein kamjori
  • Jhukte samay, khade hote samay ya khaaste waqt ek jhatka sa mehsoos hota hai
  • Pair sunn ho jaana
  • Kulho aur jangho ke aspas ki jagah sunn ho jaana
  • Peshab karne mein aur toilet jaane mein taklif

Agar yeh lakshan ho aur kaayam dard rehta ho to yahan par bataye gaye kamar dard ke upay in hindi aap avashya upyog kare.

कमर दर्द से बचने के घरेलू उपाय

Yahan par bataye gaye kamar dard ke upay in hindi(कमर दर्द के घरेलू उपचार) bilkul saral hai aur ghar par hi aap aajmaa sakte hai: 

  • Ek kamar dard ka ilaj homeopathic mein jise har koi try kar sakta hai voh yeh hai ki aap lehsun ko khaane mein jyaada upyog kare. 
  • Kamar dard ka ilaj in hindi mein aap ek kaadha banaye. Us mein samagri hai kaali mirch, laungh aur sonth. Sabhi ko koot ke paani mein ubale aur nimbu ka ras aur shahad mila ke chuski lete hue din mein do baar piye. 
  • Kamar dard ka totka jo sahi mein aaraam deta hai voh hai guggul ka prayog. Guggul ki goli aur churan milti hai. Yograj guggul aur tryodashang guggul lene se fayda hota hai. 
  • Aasaan kamar dard ka desi ilaj kya hai yeh bataye to maalish hai. Sarson ke tel ko garam kar ke kamar par achchi tarah se maalish kare aur phir namak ko tava par garam kar ke kapde mein baadh ke sek kare to raahat milta hai.
  • Kamar pain ka ek aur ilaj hai. Tub mein garam paani rakhe aur is mein 10 minute tak baithe rahe. Kamar ke muscles aur tissues relax ho ke dard kam ho jaayega. 
  • Tub na ho to kamar ka dard ka ilaj ke liye paani garam kare aur thick towel ko is mein bhigo ke aap ulte let jaaye aur kamar par us ko rakh de. 
  • Kamar dard ke gharelu nuskhe in Hindi mein aap lehsun ko kuchal ke sarson aur aerandi ke tel mein mila ke garam kare aur saath mein koote hue ajwain bhi daale. Is tel ko chaan ke thanda kare. Jab bhi dard ho to tel thodasa garam kar ke achchi tarah se maalish kare. 
  • Pair me dard ka ilaj in hindi mein bataye to sarson ke tel ko sadharan garam kare aur is mein haldi mila ke pairo ko maalish kare. Rai ke beej ko bhi aap pees ke haldi ke saath lep bana ke pair dard ka ilaj kar sakte hai. 

कमर दर्द के ळिए उपयुक्त योगा

Yoga for kamar dard: Agar kamar kare dard aur agar apko slip disc nahin hai to aap kamar dard yoga kar sakte hai. Kai aise aasan hai jin ke niyamit roop se karne se aap ke kamar dard mein fayda hoga. Yogasan mein bhujangasan, chakrasan, halasan, ardha matsyendrasan aur makar asan kaafi faydemand hote hai. Kamar dard ke gharelu upay in hindi mein bataye to yogasan ka sahara aap avashya le. 

Kamar dard ke liye yoga karne se kaafi fayda hota hai aur yeh aasan is prakar kare: 

  • Pet ke bal let jaaye. Haath ko peeth ke peeche rakhe. Ab ho sake itna aap ka sar aur chaati ke bhaag ko upar uthaye.
  • Aise hee pairo ko upar uthane ki koshish kare aur yeh position 30 second se leke 2 minute tak hold kare.
  • Ek doosra aasan hai jis mein khade rehke, haatho ko kamar par rakh ke sharir ke upar ke bhaag ko ho sake itna peeche ki taraf mode.
  • Ek aur prayog hai jis mein peeth ke bal let jaaye aur pairo ko seedha rakh ke hawa mein uthaye aur position hold kare. Ab pairo ko mod ke chaati ki taraf laaye aur phir seedha kare upar ki taraf ek angle par. Is se abdominal aur kamar ke muscles majboot banenege. 

कमर दर्द एक्सर्साइज़ से ऐसे करे ठीक 

Yoga ke saath kamar dard ki exercise bhi kare to kamar ke muscles aur spine majboot banenge. Exercise for kamar pain mein aap cycling kar sakte hai, swimming kar sakte hai aur walking kar sakte hai jo halke vyaayaam hai. Aur vyaayaam mein khade rehke haatho ko kandhe tak uthaye aur neeche ka bhaag seedha rakh ke sharir ke upar ke bhaag ko left to right aur right to left swing kare. 

कमर दर्द के लिए उपयुक्त आहार

Aahar bhi kamar dard remedy hota hai. Aahaar mein aap ko calcium aur vitamin D aur protein bhi poore praman mein milna chahiye. Is ke liye paalak, dal, lauki, tamatar, chukandar, kakdi jaisi  sabji, ande, doodh, paneer aur dahi ka sevan karte rahe. Sunlight mein jaana jaroori hai, khaas kar ke savere ya to shaam ko taaki sharir sunlight ka upyog kar ke vitamin D utpann kar sake. kamar dard ke nuskhe estemaal kerne ke sath apnnee diet ka bhi zaroor dhyan rakhna chahie esse jaldi farek padega.

कमर दर्द का आयुर्वेदिक उपचार

Back pen ka ayurvedik upchar bhi aap ko laabh dega. Aamvaat aur vayu vikar se dard hone lagta hai sharir mein. kamar dard ki dawa mein guggul ka upyog aur dosh harne vaale aamla ka upyog karte rahe. Saath mein kamar dard se chutkara ke liye thande jamin par na soye. Teekhe aur masaledar vyanjan ka khaana kam kare aur kabz ho to triphala churna ka avashya sevan kare. Khaana hamesha garam aur taaja khaaye. 

Prayanayam bhi kamar dard ka upay hai. Saath mein anulom-vilom shwasan kirya karte rahe to dosh ka naash hoga aur sharir rog-mukt ho jaayega. 

Kamar Dard ke Gharelu Tips

  • Kamar dard ke aasan gharelu upay aap ko tab aajmaana padega jab dard hota hai. Agar aap bach ke rahe to dard hi na ho. Is ke liye yeh baate dhyaan mein rakhe. 
  • Kamar dard se nijat pane ke lie sabse pehle dhyan rakhin baith ke kaam karna hai to reedh ki haddi ko seedha rakh ke baith ke kaam kare. Peeche full back support hona chahiye. Aage ki aur jhuk ke kaam na kare. 
  • Lagaataar baithe na rahe. Har 10-20 minute ko khade ho ke chaliye ya to ek minute ke liye lambe ho ke let jaaye. 
  • Pet badhne na de. Badh gaya ho to kam karne ke prayas kare. 
  • Sone ke liye gadda bilkul naram pasand na kare. Hard mattress se back pain hone ki sambhavna kam hai. 
  • Kisi bhi bhaari cheez ko jhatke se na uthaye. Jhuke to ghutno ko mode aur kamar seedha rakhe. 
  • High heels ka upyog kam kare ya na kare. 
  • Lambe samay tak walking lagaataar na kare. Beech beech mein baithe. 

Aasha hai ki yeh kamar dard ke gharelu upay in Hindi aap ko kaam mein aayenge kamar dard ka wazifa kuch hi dino mein lag jaega. Gharelu nuskhe for back pain or pain in kamar apnae aur Jeevan shaili aise banaye ki dard hone ka sambhavna na rahe to dard ko treat karne ka saval hi na ho. Tabhi kehte hi kamar ke dard ki dua tabhi kaam karegee jab aap esko theek kerne ke lie sahi tarike se batae gae nuskhe etemaal karenge. 

TAGS:#कमर दर्द के कारण #कमर दर्द भगाने के घरेलू उपाय #kamar dard ka ilaj in hindi/urdu #kamar dard ka ilaj baba ramdev #kamar dard yoga baba ramdev #kamar ka dard #kamar dard ke liye yoga #kamar dard ka yoga#kamar ke dard ka ilaj/ ki dua#kamar dard ke liye gharelu nuskhe in hindi #kamar dard in hindi/english #kamar dard ka ayurvedic ilaj #kamar dard ka rohani/ruhani ilaj #back pain ka ilaj #desi ilaj for back pain #kaumaram

Loading...

Leave a Comment

Your Name

Comment

15 Comments

Shivmohan Patel, Oct 30, 2017

Sir mere kamar aur pair men pichhle 5 Sal se dard hai please koi upay batayen main bahut hi jyaeda pareshan hun maine bahut ilaz karaya fir bhi thik nahin hun please koi bhi dawa ya ilaj bTa den jisse ki main thik jaldi se ho jaaun

शांति देवी, Oct 16, 2017

कमर दर्द दूर करने के घरेलू उपचार इलाज या नुस्खे जो भी आपके पास हों वो सब मुझे बताएँ जिससे मेरी इस कमर दर्द की समस्या का समाधान हो जाए|

सहजो पुश्करना , Sep 25, 2017

मेरी कमर में बहुत दर्द रहता है मुझे कमर दर्द से राहत पाने के लिए कोई घरेलू उपचार उपाय या नुस्खे बताएँ जिससे कि मैं अपनी इस कमर दर्द से राहट पा सकूँ

 

नौशाद अंसारी, Oct 21, 2017

मेरी कमर में बहुत दर्द रहता है मुझे इसको ठीक करने का कोई घरेलू नुस्ख़ा दें?

राजेश कुमार , Aug 24, 2017

मुझे कमर में दर्द होता है झकने में ओर ऐसे भी पिछले 2-3 साल से दर्द है डाक्टर को भी दिखाया तो बताते हैं की नस दब गई है इसका इलाज बताइए

 

विजया, Dec 21, 2017

मेरी कमर में दर्द बहुत दिनो से है इस वजह से मैं बहुत हि परेशान हूँ मुझे इसका कोई देसी इलाज या नुस्ख़ा बताएँ जिनसे कि मेरी कमर दर्द को जल्दी से आराम मिल जाए|

roja, Jul 17, 2017

main periods ke dauran hone wale kamar aur pet ke dard se bahut pareshaan hu mujhe doctor ne kha ki shaadi kebaad ye apne aap kuch kam ho jayega agar abhi aapko dwai se bhi rahat nhi milti to kya aap btayenge ki wakaye mein aisa hota hai kya

Ahmedulla, Jul 06, 2017

Hallo yejo joint pain new pain .back bone pain me like koun sa nuska kare aap thodasa bathayiye

Bidyapati Thakur, May 31, 2017

Mujhe karib 1 marina se gardan mein dard hain. Main jab bhi class mein bench par baithta hu to dard hone lagta hain.Aur haath mein bhi dard hota hain.

chne, Feb 28, 2017

kambar dukhi upay batain mein bahut pareshaan hoon.

 

mona, Jul 17, 2017

aap kamar dard ko thik regular kamar dard ke exercise se tha kamar dard ke upyukt ahar se aram paa sakte hai iske alawa aap kamar dard ke yoga se bhi chutkara paa sakte hai

, Oct 15, 2016

Kamar Dard ki paroblem Kya hai is Parashani ki Jad

vidhi, Oct 14, 2016

mujhe bhut kamar dard rahta hota hai koi gharelu upay btao

riya, Oct 13, 2016

Namak bhi kamar ke dard me bahut rahat deta hai. Iske liye namak ko kisi bartan me daal kar achchi tarah se sek le aur is namak ko suti kapde me baandh kar potli bana le aur is potli se apne kamar ki sikayi Karen

 

My name preeti, Jun 16, 2017

Wow bahut khub

roshni, Oct 11, 2016

Galat tareeke se aur jyada weight ko utha lene se bhi aapki kamar me dard ki shikayat ho sakti hai

dishu, Oct 09, 2016

m pragnant hu mujhe bhut kamar dard rahta hai koi upay btao

nisha, Oct 05, 2016

Kamar ke sabse neeche ka jo hissa hota hai wahan par dard hone ke sath sath jodo ka ye dard badkar kulhon (hips) tak bhi pahuch jata hai. kya karu

aakash, Oct 01, 2016

कमर दर्द भगाने के आसान देसी घरेलू उपाय kya hai

 

sandip, Feb 12, 2017

Backpain kaise theek hoga

 

nurjeha, Mar 30, 2017

Kemer.ka.derd.ka.ilaje.btauo. derd

 

parvesh Kumar Mehta, Dec 24, 2017

Kamar darad karata hai ise thik kis tarah se karun mujhe bataiye